Friday 4 November 2016

Amla |Akshay|Aanvla Navmi – Significance, Puja Vidhi, Important Dates, Story|Katha|Kahani in Hindi and English

Amla |Akshay|Aanvla Navmi – Significance, Puja Vidhi, Important Dates, Story|Katha|Kahani in Hindi and English

Amla |Akshay|Aanvla Navmi Puja Vidhi and Significance

Kartik sudi navmi ko amla navmi aati hai. Is din vrat bhi rakha jata hai. Isko karne se vrat, pujan, tarpan, etc. ka fal akshay ho jata hai, isliye ise akshay navmi bhi kehte hain. Ise kumand navmi bhi kehte hain. Is din kumand(kashifal/kaddu) mein secret charity(gold, silver, money, etc.) rakhkar gandh, flowers, akshat se puja kar godhrat, fruits, ann, dakshina ke sath yogya Brahmin ko daan dene se special fal milta hai. Cow, earth, gold aur clothes, jewellery, amla, etc. ka daan karne se brahm hatya jaise mahapaap ka bhi vinash ho jata hai.
Is din aanvle ke tree ki puja karte hain. Water, moli, roli, rice, gud, mithi suhali, batasha, amla, kabja(blouse) aur dakshina chadhate hain. Dhoop aur diya jalate hain. One hundred eight ya eight feri dete hain. Fir story sunte hain. Amle ke neeche brahman-brahmani ko jode se jimate hain. Jimane mein amla jaroor dete hain. Khana khila kar saree, blouse, aur dakshina dete hain. Is din ghar mein jitney log hote hain un sabko amla zaroor khana chahiye.

Story|Katha|Kahani of Amla Navmi

Ek aanvla king tha. Wo daily ek man gold ke aanvle daan karta tha aur baad mein khana khata tha. Ek din uske sons ki bahuon ne socha ki daily itne aanvlon ka daan karenge to saara money finish ho jayega. Isliye inka daan karna band kar dena chahiye. Fir son aaya aur king ko bola ki aap to saara money waste kar denge isliye aap aanvle ka daan karna band kar do. Tab king aur queen ujaad mein ja kar baith gaye. Because wo amlo ka daan nahi kar sake to unhone kuchh bhi nahi khaya. Tab God ne socha ki agar hamne inka maan nahi rakha to world mein haemin koi nahi manega. Tab God ne dream mein kaha ki tum utho, tumhare pehle jaisi kitchen ho gayi hai aur Amle ka tree laga hua hai. Tum charity karo aur khana kha lo. Tak raja-rani ne uthkar dekha to pehle jaise raaj paat hog aye aur gold ke aanvle tree par lage hue hain. Tab wo log sawa man aanvle ka daan karne lage. Wahan par bête bahu ke ghar anndata ka bair pad gaya. Aas paas ke logon ne kaha ki forest mein ek annwaliya king hai, tum uske paas chale jao, to tumhara dukh door ho jayega. Wo dono wahan pahuch gaye. Wahan par queen apne bête aur bahu ko dekh kar pehchan gayi aur apne husband se boli ki in dono se kaam to kam karwayenge aur majdoori zyada denge. Ek din rani ne apni bahu ko bulakar kaha ki mujhe sir sahit nehle do. Bahu sir dhone lagi to bahu ki aankh se tear nikal kar queen ki back par gir gaya. Tab rani boli ki meri peeth par aansoo gire hain. Mujhe reason batao. To bahu boli ki meri mother-in-law ki peeth par bhi aisa hi mas tha. Wo ek man aanvle ka daan karte the, jo hamne unhe karne nahi diya. Tab rani boli ki hum hi tumhare saas sasur hain. Tumne haemin nikal diya tha but God ne hamara sath diya. He Bhagwan jaise Raja rani ka sat rakha waisa hi sabke rakhna.
Is ke baad bindayak ji ki kahani kahein aur sunein.

Important Date of Amla Navmi 2016

This year amla navmi is on 9th November 2016.

Thursday 3 November 2016

Gopashtami – Puja Vidhi in Hindi, Importance of Festival of Gopashtami in Hindi

Gopashtami – Puja Vidhi in Hindi, Importance of Festival of Gopashtami in Hindi

Hello friends, today I am going to tell you about Gopashtmi. It is celebrated on eighth day of Kartik Shukla Paksha.

Importance of Gopashtami in Hindi

India mein cows ko bahut hi sacred mana gaya hai. Unhe mother mana gaya hai aur cows ko gau mata kaha jata hai. Gopashtmi ke din cows ki pooja ki jaati hai. Mana jaata hai usse saari manokamnayein poori hoti hain.

Aisa maana jaata hai ki is din Krishna ji ne govardhan parvat ko neeche rakha tha. Indra bhagwan ne apni ego chhod kar Krishna ji se maafi maangi thi. Tab Surabhi naam ki gaaya ne Krishna ji par milk ki bearish ki thi aur unhe Govinda ka title diya tha.

Aisa bhi kaha jaata hai ki is din Krishna ji Gopala bane the, yaani Gopashtmi ke din se unhe cow mata ko sambhalne ki zimmedari di gayi thi. Krishna ji ko cows se bahut prem tha aur wo unki bahut dekh rekh karte the.

Puja Vidhi of Gopashtami in Hindi
Is din morning mein cows ko snan kara kar water, roli, mauli, akshat(rice), gud, pushpa(flowers), sweet, grass, vastra(clothes) aur dhoop-deep, etc. se vidhivat pujan kiya jata hai. Fir diya jalate hain aur feri dedte hain. Agar chahein to vrat bhi kar sakte hain.

Is din bachhde(calves) ka bhi pujan karte hain. Aisi manyata hai ki evening ko gocharan ke baad unhe pranam karke panchopchar vidhi se puja karte hain aur unki charan dhooli ka mastak par tilak karne se saubhagya(luck) badhta hai.


I wish you all a very happy Gopashtami.

Friday 10 June 2016

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Hello Friends,
Today I am going to tell you about a festival named doobdi saate. It is mostly celebrated in Rajasthan. Some celebrate it on saptmi tithi of bhadrapad shukla paksha while others on ashtmi tithi. It is also known as durvashtmi for those who celebrate it on ashtmi.

Doobdi Saate/Aathe Puja Process in Hindi
Is din thandi roti khate hain. Ek paate par mitti se doobri saate maand kar, water, milk, roli, rice, flowers, moi ( bajre ka aata aur ghee, sugar aur paani se osan kar), bhigoye hue moth-bajre se pooja karein aur dakhshina chadhayein. Fir doobri saate ki katha sunein. Moth-bajra, rupees rakh kar bayna nikalein. Bajre ki moi mein ek kaanta rakh kar khayein. Iske baad bayna nikal karmother-in-law ko bayna nikal kar dein. Apni behan betiyon ke bhi bayna nikalne ke liye bhejein.

Doobdi saate ka Udyapan/Ujman
Jis year ladki ki marriage hoti hai, us year us ladki se doobri saate ka ujman karate hain. Baaki to puja ki vidhi upar likhi hai waise hi karein. Bas bayna nikalte time ek thali mein terah kuddi bhigoye hue moth bajra ki, ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ji ko pair chhoo kar dein.

Doobdi Saate/ Ashtmi ki Story/ Katha
Ek sahukar ke saat bête the, uske bête bade hue to sabse bade bête ki shaadi fix kar di. Muhurt nikalwaya to wo diibri saate ka nikla. Feron ke time use ek snake aa kar das gaya, isi tarah sahukar ke six bête feron mein naag ke dase jane se maare gaye.
Last mein satve bête ki shaadi fix hui. Ladke ki behan kisi village mein rehti thi. Use lene gaye. Use lekar jab wapis aane lage to sister ko pyas lagi aur wo paani peene well par gayi. Wahan ek old woman kuchh bana rahi thi aur bigad rahi thi. Behan ne poochha tum kaun ho aur kya kar rahi ho? Wo boli ki main bemata hoon aur ek sahukar ke satve bête ki shadi hai. Six to mar chuke hain saatva marne wala hai so uske liye dhakni de rahi hoon. Behan ne poochha ki wo kisi tarah bach sakta hai kya? Bemata ne kaha ki haan agar uske door paas ki behan, bua jo doobri saate ki pooja karti ho. Veh ulte ulte neg kare, gali nikale, karad kose yani har tarah ke apshagun kare aur baarat mein sath jaye aur teli se taant laye, kumhar se handi, dhakkan laye aur kacha karva laye aur feron mein naag dasne aaye to use kache karve mein doodh pilaye. Wo peene lage to haandi mein band karke dhakkan laga kar taant se baandh le to kaal ki yeh ghadi tal sakti hai. Behan usi samay galiyan bakti hui bhai ke paas pahunchi. Bhai bola behan tu gayi tab to acchi thi, aayi to galiyan bak rahi hai. Koi bhoot pret to nahi lag gaya. Ram Ram karte ghar pahuche. Bhai ka baan baithne laga to behan ne kaha ki is karamphute ka baan chowki par na baithakar silla par baithaongi. Zid karne lagi to baan silla par baithaya. Bhai ki nikasi hone lagi to behan kehne lagi iski nikasi haveli ki peechhe ki deewar se hi karvao. Saamne se nahi karane doongi. Sabne khoob samjhaya par wo galiyan bakne lagi, zid karne lagi. To fir peechhe se hi nikasi karvayi. Tabhi samne ka darwaza gir gaya. Sabne kaha bhai ko behan ne bacha liya nahi to aaj mar gaya hota.
Fir behan ne kaha ki main baarat ke sath chalungi. Sabhi ne samjhaya ke ladies barat mein nahi jaati aur tu is tarah galiyan degi to accha nahi lagega. Par wo nahi maani aur sath gayi. Raaste mein rest ke liye baarat bad ke tree ke neeche rukne lagi to behan kehne lagi ki is karamfute ki baarat ko ped ke neeche nahi thehrne doongi. Dhoop mein rest karo. Sabne samjhaya par wo nahi maani. Tang aa kar dhoop mein hi baarat ko thehraya. Tabhi ped tootkar aa gira. Sabhi baarati kehne lage ki ye kuchh to jaanti hai. Abhi ped ke neeche na jaane kitne aadmi mar jaate.
Samdhi ked war par behan ne zid ki peeche ked war par toran karo. Uska toran samne ke gate par nahi karne doongi. Aur aarti chaumukhi Deepak se nahi karne doongi. Jagmagate kheere ki thali bhar kar lao usi se aarti karenge. Baratiyon ne samdhi se kaha ki ye kahe wahi karo. Toran marte time aage ka darwaza gir gaya. Aarti karte waqt upar se saanp aa kar gira to jagmagate kheere se jal gaya. Kheere na hote to snake dulhe ko bite kar leta. Fir behan zid karke feron mein saath baithi. Do fere hote hi saanp aaya. Behan ne saanp kea age kaccha doodh ka karwa rakhwa diya. Saanp doodh peene laga to behan ne use taant se baandh kar handi mein daal kar dhakkan laga kar god eke neeche daba diya aur kaha ab relax ho kar fere karo. Usi samay nagin aayi aur kehne lagi ki paapan, hatyaran, chhod mere saanp ko. Behan ne kaha, tu to ek ghadi hi dukhi ho gayi. Meri to chhe bhabhi kab se dikhi baithi hai. Sarpani ne kaha ki ja unko chhoda. Is tarah se behan ne saare bhai jeevit karva liye fir saanp ko chhoda.
Behan apne saaton bhai-bhabhiyon ko lekar baarat ke sath ravana hui. Raste mein hi doobri sate aa gayi to behan ne kaha ki sabke doobri saate ki pooja karwaongi, kahani kahoongi aur par tayyari kaise karoon. Behan ne gaadi rukwayi, neeche utri to dekha ki paata wahin manda pada hai. Ber k aped laga hai. Bheege moth aur puja ki samagri padi hai. Behan ne saaton bhabhiyon ke sath pooja ki. Kaanta fasa aur kahani kahi. Fir bheege moth se sabne bayna nikala. Behan ne bhabhiyon se kaha hamesha bhado sudi dubdi saate ki puja karna, kaanta fasna aur puja karna, katha kehna. Udhar sahukar sahukarni chhat par chadkar barat ka wait kar rahe the. Tabhi paniharino ne aakar bataya ki welcome ki tayyari karo, teri beti bhai, bhabhiyon ko lekar aa rahi hai. Sahukar sahukarni bole, tane maarti ho ya Mazak karti ho? Paniharinon ne kaha ki hum sach keh rahe hain.
Welcome hote hi behan ne kaha ki maa main apne gaon ja rahi hoon. Mother ne kaha, beti kuchh din apni bhabhiyon ke sath raho. Sister boli ki ma poot palne mein, sai sej mein, gaye gawade, bhais bade, chhachh billowed aur doodh chulhe par chhodkar daudi chali aayi thi. Mere kaam bahut hain main nahi ruk sakti. Bhaiyon ne behan ko bahut kuchh de kar sasural pahucha diya. Doobdi saate mata ne jaise unka bhala kiya waise sabka karna. Kahani kehne aur sunne walon ka bhi bhala karna.

Iske baad bindayak ji ki kahani kahen.

Thursday 9 June 2016

Bach Baras / Govatsa Dwadashi Puja Process / Vidhi in Hindi | Bachh Baras Katha/Story/Kahani in Hindi

Bach Baras / Govatsa Dwadashi Puja Process / Vidhi in Hindi | Bachh Baras Katha/Story/Kahani in Hindi

According to hindu calendar bach baras or govatsa dwadashi is celebrated in bhadwa month. It comes on bhadwa badi baras. Women keep fasting and do pooja for well-being of their sons or to have son as a child. Cow and calf is worshipped on this day that’s why it is named bach( bacchda – calf) baras.
Bach Baras Puja Vidhi in Hindi

Is din ek pate par mitti se bach baras mandte hain. Is maande hue pate par water, bhains ke curd, bhigoye hue moth-bajra, moi ( bajre ka aata ghee, cheeni, paani se mal kar), roli, rice, doob, thandi roti aur dakshina (rupees) chadhayein. Fir kahani sunte hain. Moth, bajra aur rupees par bayena nikal kar mother-in-law ko pair chhoo kar dete hain. Apni behan, betiyon ko bhi bayena bhejein. Is din thandi roti khate hain. Cow milk, curd aur wheat, rice nahi khate. Bachh baras ki pooja karne ke baad, apne unmarried ladke ki nabhi par sabiya bana kar ke dahi, moth, bajra, aur ek rupya rakh kar fudadka karte hain. Is din kuchh kata hua nahi khate. Bach Baras beta hone ke baad karte hain.

Bach Baras / Govatsa Dwadashi ka Udyapan Vidhi in Hindi
Jis saal beta ho us saal bach baras ka ujman/udyapan karte hain. Baaki pooja to har saal ki tarah hi karte hain, sirf ek thali mein sawa ser bhigoye hue moth-bajra ki ek thali mein terah kuddi karein. Do do mutthi moi(bajre ka aata ghee, cheeni, paani se mal kar) aur do do slices kheere ki terah kuddi par rakhein. Uske upar ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ma ko pair chhoo kar dein. Baad mein geet gaate hue joda poojne jayein. Gath jode ki pooja sab samagri se karein, feri dein aur geet gaate hue wapis aayein.

Bach Baras / Govatsa Dwadahi Story/Katha in Hindi
Ek sahukar tha. Uske seven bête aur bahut saare pote the. Sahukar ne ek talaab banwaya tha. Banwaye hue twelve years hog aye lekin fir bhi usmein paani nahi aaya. To usne pandit ko bula kar reason poochha. Pandit bola, ki ya to tum apne bade bête ya bade pote ki bali doge tabhi ye talaab bharega. Tab sahukar ne apni badi bahu ko to peehar bhej diya aur bade pote ki bali de di. Itne mein garajti barasti badly aayi aur talaab bhar gaya. Fir bach baras aayi to sab bole apna talaab bhar gaya hai, iski pooja karne chalo. Jane lag gaye to apni dasi ko bole ki gehun la ke paka lena aur dhatula ko bichha dena. Gehula aur dhatula unki gay eke bachde ka bhi naam tha. To usne unhe paka diya. Wahan par sahukar aur sahukarni ne gaje-baje se talaab ki pooja ki. Sahukar ke bade bête ki bahu bhi peehar se talaab ki pooja larne aa gayi. Pooja karne ke baad jab bachhon ke fudadka karne lage to jiski bali di thi wo pota bhi gobar mitti mein lipta hua talaab se nikal kar bola ki mere bhi fudadka karo. Tab saas bahu ek doosre ko dekhne lagi. Saas ne bahu ko bali dene wali saari baat bata di aur kaha ki bachbaras maata ne apna sat rakha hai aur pota wapas diya hai. Jab wo ghar aaye to dekha ki dasi ne bachhdon kop aka diya. Tab sahukar bola ki paapni ek paap to hum utar kar aaye hain aur tune doosra laga diya. Sahukar ne rande hue bachhe ko mitti mein gaad diya aur mooh ke bal pad gaye. Evening ko gaye char kar aayi aur apne bachhe ko nahi dekh kar zameen khodne lagi. To bachhda mitti gobar mein lipta hua aa gaya. Sab ne sahukar ko bola kit ere bachhde aa gaye. Sahukar ne dekha to bachhde doodh peete hue aa rahe the. Sahukar ne village mein elaan karwa diya ki sab beton ki mothers bach baras karo aur talaab ki pooja karo. He ‘Bachbaras’ mata jaisa sahukar sahukarni ko diya waisa haemin bhi dena. Kehta, suntan , hunkara bharte diyo.

Iske baad bindayak ji ki kahani kehte hain.

Wednesday 8 June 2016

Naga/Naag/Nag Panchmi Puja Process/Vidhi and Story | Kahani in Hindi

Naga/Naag/Nag Panchmi Puja Process/Vidhi and Story | Kahani in Hindi
Today I will tell How to do Nag Panchmi puja in Hindi. Also I will tell the significance of Nag panchmi and its story.

Saawan/ Shravan ke mahine mein Krishna panchmi ko ‘Nag Panchmi’ kehte hain. Kahin kahin yeh tyohaar shravan shukla panchmi ko bhi manaya jaata hai. Jyotish ke according panchmi tithi ke swami nag hain. Ye usually July ya August month mein aati hai. Usually ye hariyali Teej ke two days ke baad aati hai. Is din kisan khet nahi jotte. Aisa maana jaata hai ki is din ki gayi puja seedhe nag devta ke paas pahunchti hai. Aur agar wo prasanna hain to nag haemin koi nuksaan nahi pahuchate.

Process/ Vidhi of Nag Panchmi Puja in Hindi
Ek pate par jevdi(rope) se saat ganth(knots) ka saanp bana kar rakhte hain. Kucch log aate mein haldi mix karke nag banate hain ya deewar par nag mand lete hain. Saanp ki jal(water), kaccha milk, moi(baajre kea ate mein ghee aur cheeni milakar), bheega hua moth-bajra, roli, chawal, thandi roti aur dakshina chadhakar puja karni chahiye. Nag ko khushboo wale flowers bhi pasand hote hain. Wo bhi chadhayein. Iske baad Nag panchmi ki kahani sune. After that, moth-bajra aur rupyon par bayna nikal kar mother-in-law ko dein. Apni behan betiyon ko bhi bayna nikal kar bhejen. Is din you should call your daughters at home.

Story/Kahani of Nag Panchmi in Hindi
Ek sahukaar(businessman) tha. Uske saath son aur saat bahu thi. Six bahuon ke to peehar the par seventh ka nahi tha. Wo pregnant hui. Uske pehar to tha nahi jo ghevar late. Use ghevar khane ki iccha ho rahi thi. Wo ek chhota tukda pani bharne gayi tab ghar se le gayi. Tree ke neeche ghevar rakh diya. Usne soch pani bhar ke aaram se ghevar khaungi. Pani bhar kar ghevar lene gayi to wahan ghevar nahi tha.

Tree ke paas ek bambi(snake hole) thi. Usmein ek naagin rehti thi. Wo bhi pregnant thi. Ghevar dekhkar nagin ki iccha bhi use khane ki hui. Usne ghevar kha liya aur socha ki sahukar ke bête ki bahu agar gali degi to use kaat khaungi aur agar kucch nahi bolegi to uska peehar bas doongi. Sahukar ki bahu ne dekha ki ghevar nahi hai to wo boli ki ‘bechari koi mere jaisi hogi so kha gayi hogi. Koi baat nahi.’ Nagin bahut happy hui. Usne apne beton ko sab bata kar kaha ki wo insan ka roop bana kar jayen aur sahukar ke bête ki bahu ko lekar aayein. Nagin ke bacche insan ka roop banakar sahukar ke ghar gaye aur sahukar ki patni se kaha ki ‘hum apni behen ko lene aaye hain, bhej do’. Mother-in-law boli ki ‘itne din kahan the? Pehle to kabhi aaye nahi!’ Nagin ke ladke ne kahan ki aapki bahu bhi haemin nahi pehchanti. Jab uska birth hua tab hum nani ke the aur marriage hui tab hum pardes kamane gaye the. Wo log apni behen ki saas aur jethaniyon ke liye bahut si jewellery, clothes aur sweets le kar aaye the. Mother-in-law was very happy.
Mother-in-law ne bahu ko bhej diya. Bambi ke paas pahuch kar unhone kaha ki behen hum saanp hain. Tumhara ghevar hamari mother ne khaya tha. Unhone tumhe apni beti mana hai. Isliye tum hamari sister hui. Tum hamari tail pakd lo. Darna mat. Wo tail pakad kar bambi mein chali gayi. Wahan unhone use bahut ssuchaur aaram se rakha. Wahin usne ek ladke ko janm diya. Jab uska ladka thoda bada hua to ek neighbour ne use sikha diya ki agar teri maa tujhe itna pyar karti hai to teri maa se kehna ki aaj to saanpon ko doodh main hi pilaongi. Padosan ka tana use sehan nahi hua. Wo apni mother se zid karke snakes ka doodh thanda karne lagi. Milk abhi thanda nahi jua tha ki uske son ne bell baja di. Bell sunte hi chhote bade sab saanp doodh peene daud pade. Doodh mein mooh dalte hi bahuton ka mooh jal gaya. Wo angry ho kar bole ki hum ise kaatenge. Mother said ki ise mat kato yeh tumhe ashish degi. Sahukar ki beti boli – ‘Jeeyo Mhara Naag Nagini, Jeeyo Mhara Khandya Bandya Beer| Beer Uthave Dikhdheero Cheer, Cheer to faat Pan, Khandya Bandya Beer Jeevta Rahe|’

Kuch din baad padesan ne taana maara, teri maa agar tera vishwas karti to tujhe saatve kothe ki key deti. Usne zid karke maa se satve kothe ki chabi le li. Lock khola to dekha baba nag jal mein jhool raha tha. Usne kaha ‘baba aap to mere father hain’. Aur boli – ‘Jeeyo Nag Nagini| Jeevo Baasuki Nag|’

Nag devta ne usko nine crores ka necklace de diya. Maa ne apne sons se kaha ‘ bai to ab bade gharon mein hath dalne lagi hai. Ise ghar pahucha do’. Unhone ne sahukar ke bête ki bahu ko khoob sare gehne aur kapde diye aur ghar pahucha diya. Thode din baat uska baccha jhadu tod raha tha. Tai ne kaha jhadu mat tod aur itna todne ka shauk hai to tere nama-mama ke yahan se laya hota. Saapon ne sun liya. Ma se ja kar kaha. Ma ne kaha ki do gold ki broom banwao, do silver ki banwao aur de aao. Taiyan dekhkar jealous ho gayi. Kehne lagi ise to tane marne se bhi dhan badhta hai.
Chhoti jethani lakdi lene gayi to wahan saanp tha. Usne socha ki sabse chhoti ko bhejna chahiye. Saanp use kha jayega to musibat mit jayegi. Chhpti bahu lakdi lene gayi to wahan snake baitha tha. Boli bhaiya ram ram. Snake ke jhat bichhuye de diye. Pehenkar chham chham karti chali aayi. Jethaniyan dekhkar jealous ho gayi.

Unhone uske pati ko jab wo shop se aaya to sikha diya ki teri wife ki sanp bicchhuon se friendship hai. Sahukar ka beta apni bahu se raat ko kehne laga ki sach sach bata ki saanp bicchoo tere kya lagte hain. Wo tujhe kaatne ke bajaye jewellery dete hain. Fir usne sari baat husband ko batayi. To wo bola ki to kyat ere bhai bhatije tujhe hi bulate hain. Kabhi apne jawai yani mujhe to bulate nahi.

One kone mein chhupe snakes ne ye baat sun li to apni maa se jakar kaha. Ma ne kaha ki dono ko bukao. Insan ka roop rakhkar snakes dono ko aur bacche ko bula le gaye. Khoob kapde gehne rupees dekar teeno ko vida kiya. Jaisa peeharvasa ka such bahu ko mila bhagwan waisa sab ko de. Iske baad Bindayak ji/ Ganesh ji ki kahani kahen.

Friday 8 April 2016

Ekadashi|Gyaras|Ekadashi Vrat Vidhi in Hindi|Nirjala Gyaras| Dev Uthani Ekadashi| Dev Soni Gyaras|Ekadashi ka Janam in Hindi

Ekadashi|Gyaras|Ekadashi Vrat Vidhi in Hindi|Nirjala Gyaras| Dev Uthani Ekadashi| Dev Soni Gyaras|Ekadashi ka Janam in Hindi
Ekadashi aka gyaras comes twice in a month. Ekadasi fast is dedicated to Lord Vishnu. Here I will tell you about all Ekadashi’s in detail. Here you can know how to observe ekadashi fast in hindi. Do not eat food made from rice on Ekadashi.
Ekadashi ka vrat bahut faldayi hota hai. Har ekadashi ko vrat karna chahiye. Is din fruits diet hi leni chahiye. Ratri jagran bhi karte hain. Agar koi bahut salon se ekadashi vrat kar raha hai to pandit ko pooch kar uska udyapan karna chahiye.

Ekadashi ka Janam| Birthday of Ekadashi
Mangsir mahine ke shukla paksha ki gyaras ko ekadashi ka janma din aata hai. Is din vrat karte hain, naha kar bhajan kirtan karte hain. Doosre din subah Brahmin ko khana khilate hain aur seedha nikalte hain.

Nirjala Ekadashi| Gyaras
Hindu calendar ke jyeshtha mahine ke Krishna paksha mein aane wali ekadashi nirjala ekadashi kehlati hai. Is ekadashi ke vrat mein pani bhi nahi peete. Agar koi itna bhookha pyasa nahi reh sakta to fruits aur doodh le sakte hain.
Is din subah surahi/kunja dete hain. Surahi mein jal bhar kar, safi se cover kar ke, dhakkan mein sugar aur dakshina dete hain. Fruits bhi dete hain. Bayna bhi nikalte hain. Ek mitti ke karve mein jal, dhakkan mein cheeni, rupees, aam rakh kar, karve par satiya bana kar tiki dete hain. Fir use hath fer kar sasu ji ko pair choo kar de dete hain. Apni behan betiyon ko bhi bayna nikalne ke liye bhejein.
Doosre din baaras ko subah jis pandit ko gyaras ka kunja diya use hi ek-ek seeda aur sharbat de dein.
Nirjala ekadashi ke udyapan mein ek ekadashi karke ya 24 ekadashi karke hawan karayein. 24 kalash (mitti ya koi bhi) paani chhanne ka kapda, 24 pankhiyan aur 24 saraswati vrat tyohar ki pustakein dene ka bahut dharm hai.

Dev Uthni Gyaras
Kartik ke mahine mein shuhla paksh ki gyaras ko dev uthani gyaras aati hai. Is din zameen par choona aur geru se dev mand kar ek kathuva rakh dete hain. Sham ko dev ki jal, moli, roli, chawal, fool, gud, ukh, char suhali, char kela, sawa ser chawal, gwar ki fali, mooli, rui(cotton), aur dakshina(Rupees) chadha kar puja karein. Diya jalayein. Dev uthane ke teen geet aur chaar badhawa gayein. Geeton mein bhagmwan ka badal kar apna naam lein.

Dev Uthane ka Geet
Utho devo baitho devo, sotakdi satkao devo|
Aal dhariya paanch pacheta, ye bahu rukman thara beta|
Aal dhariya harshaye jhameer, ye bahu yashodhara thara veer|
Jitni khoontiyan tankguni soot, jitna amber jagma poot|
Jitni abri sok malai, jitna atar bhanvar aayi|
Jitni andhar seenk salai, jitni andhar bhainwad aayi|
Jitni andhar thikriyan, jitni andhar dikriyan|
Jitna andhar ita roda, jitna andhar hathi ghoda|

Dev Soni Gyaras in Hindi
Ashad mahine ke shukla paksha ki gyaras ko dev sote hain. Is din vrat karte hain aur bhagwan ji ka naya bichhona bana kar bhagwan ji ko shayan kara dete hain. In dino mein koi bhi shubh karya nahi hote.


This was all about Ekadashi|Gyaras|Ekadashi Vrat Vidhi in Hindi|Nirjala Gyaras| Dev Uthani Ekadashi| Dev Soni Gyaras|Ekadashi ka Janam in Hindi. If you have any doubts or questions about Ekadashi please feel free to ask.

Saturday 2 April 2016

Hanuman Jayanti| Hanuman Jayanti Puja Vidhi in Hindi| Lord Hanuman Bhajan | How to celebrate Hanuman Jayanti| When is Hanuman Jayanti |Hanuman Chalisa With Meaning

Hanuman Jayanti| Hanuman Jayanti Puja Vidhi in Hindi| Lord Hanuman Bhajan | How to celebrate Hanuman Jayanti| When is Hanuman Jayanti |Hanuman Chalisa With Meaning

Hanuman Jayanti is celebrated every year as birthday of Lord Hanuman. It comes on Poornima of Chaitra ( Full moon night of Chaitra month of Hindi Calendar). Lord Hanuman is one of the most devoted God’s in India. He is a very big devotee of Lord Rama. His birthday is celebrated with much enthusiasm throughout the country. Hanumath Jayanti in 2016 is on 22nd April.

Hanuman Jayanti Rituals in Hindi

Hanuman Jayanti ke din evening ko Hanuman ji ka shringar karte hain. Unki puja karte hain, aarti karte hain aur fir rothe, churme ka bhog lagate hain. Is din agar morning mein agar mother apne son ko hath se khilati hai to uski umar increase hoti hai aur pareshaniyan door hoti hain. Is din dan punya bhi karna chahiye. Ghada aur sida daan karne se punya milta hai.

Bhajan of Lord Hanuman

Jai Shri balaji maharaj, anokhi thari jhanki||
Jo sant ki karo sahay, anokhi thari jhanki||
Thar mathe mukut viraje, kaan mein kundal saaj,
Baba gal viraje haar, anokhi thari jhanki||
Thare naina mein surmo saje, mathe par tilak biraje,
Baba much mein nagar paan, anokhi thari jhanki||
Thare ang mein cholo saaje, upar ne vriksh biraje,
Baba rom rom mein Ram, anokhi thari jhanki||
Thare hath mein ladu saje, dooj mein gada viraje,
Baba ghate ki balihaar, anokhi thari jhanki||
Thare pagan paijni saje, chaltan ki chhim chhim baje,
Baba chalgat ki balihaar, anokhi thari jhanki||
Lakshman ne moorchha aayi, sanjeevan booti lyayo,
Baba lyayo pahad uthaye, anokhi thari jhanki||
Lanka mein aag lagayi, sooraj ki chal thamayi,
Ja samundar mein gerya pahad, anokhi thari jhanki||
Ravana ne maar girayo, yo raaj vibhishan paayo,
Baba lyayo Sita ne sath, anokhi thari jhanki|| 
Sita jad pachi aayi, ayodhya mein baje badhai,
Baba laddua ki baichhar, anokhi thari jhanki||
Ja champa ki karo sahay, anokhi thari jhanki||

Hanuman Chalisa with Meaning
Doha

    Shri Guru Charan Saroj Raj
    After cleansing the mirror of my mind with the pollen

    Nij mane mukure sudhar
    dust of holy Guru's Lotus feet. I Profess the pure,

    Varnao Raghuvar Vimal Jasu
    untainted glory of Shri Raghuvar which bestows the four-

    Jo dayaku phal char
    Fold fruits of life.(Dharma, Artha, Kama and Moksha).

    Budhi Hin Tanu Janike
    Fully aware of the deficiency of my intelligence, I

    Sumirau Pavan Kumar
    concentrate my attention on Pavan Kumar and humbly

    Bal budhi Vidya dehu mohe
    ask for strength, intelligence and true knowledge to

    Harahu Kalesa Vikar
    relieve me of all blemishes, causing pain.    

Chopai
     
    Jai Hanuman gyan gun sagar
    Victory to thee, O'Hanuman! Ocean of Wisdom-All

    Jai Kapis tihun lok ujagar
    hail to you O'Kapisa! (fountain-head of power,wisdomand Shiva-Shakti) You illuminate all the three worlds(Entire cosmos) with your glory.

    Ram doot atulit bal dhama
    You are the divine messenger of Shri Ram. The

    Anjani-putra Pavan sut nama
    repository of immeasurable strength, though known only as Son of Pavan (Wind), born of Anjani.

    Mahavir Vikram Bajrangi
    With Limbs as sturdy as Vajra (The mace of God Indra)

    Kumati nivar sumati Ke sangi
    you are valiant and brave. On you attends good Sense and Wisdom. You dispel the darkness of evil thoughts.

    Kanchan varan viraj subesa
    Your physique is beautiful golden coloured and your dress

    Kanan Kundal Kunchit Kesa
    is pretty. You wear ear rings and have long curly hair.

    Hath Vajra Aur Dhuvaje Viraje
    You carry in your hand a lightening bolt along with a victory

    Kandhe moonj janehu sajai
    (kesari) flag and wear the sacred thread on your shoulder.

    Sankar suvan kesri Nandan
    As a descendant of Lord Sankar, you are a comfort and pride

    Tej pratap maha jag vandan
    of Shri Kesari. With the lustre of your Vast Sway, you are propitiated all over the universe.

    Vidyavan guni ati chatur
    You are the repository of learning, virtuous and fully accomplished,

    Ram kaj karibe ko aatur
    always keen to carry out the behest's of Shri Ram.

    Prabu charitra sunibe ko rasiya
    You are an ardent listener, always so keen to listen to the

    Ram Lakhan Sita man Basiya
    narration of Shri Ram's Life Stories. Your heart is filled with what Shri Ram stood for. You therefore always dwell in the hearts of Shri Ram, Lakshman and Sita.

    Sukshma roop dhari Siyahi dikhava
    You appeared before Sita in a Diminutive form and spoke to

    Vikat roop dhari lanka jarava
    her in humility. You assumed an awesome form and struck terror by setting Lanka on fire.

    Bhima roop dhari asur sanghare
    With over-whelming might you destroyed the Asuras

    Ramachandra ke kaj sanvare
    (demons) and performed all tasks assigned to you by Shri Ram with great skill.

    Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye
    You brought Sanjivan (A herb that revives life) and restored

    Shri Raghuvir Harashi ur laye
    Lakshman back to life, Shri Raghuvir (Shri Ram) cheerfully embraced you with his heart full of joy.

    Raghupati Kinhi bahut badai
    Shri Raghupati (Shri Ram) lustily extolled your excellence and

    Tum mam priye Bharat-hi sam bhai
    said: "You are as dear to me as my own brother Bharat."

    Sahas badan tumharo yash gaave
    Thousands of living beings are chanting hymns of your glories;

    Us kahi Shripati kanth lagaave
    saying thus, Shri Ram warmly hugged him (Shri Hanuman).

    Sankadik Brahmadi Muneesa
    When prophets like Sanka, even the Sage like Lord Brahma,

    Narad Sarad sahit Aheesa
    the great hermit Narad himself, Goddess Saraswati and Ahisha (one of immeasurable dimensions).

    Yam Kuber Digpal Jahan te
    Even Yamraj (God of Death) Kuber (God of Wealth) and the Digpals (deputies guarding the four corners of the Universe) have been vying with one another in offering homage to your glories.

    Kavi kovid kahi sake kahan te
    How then, can a mere poet give adequate expression of your super excellence.

    Tum upkar Sugreevahin keenha
    You rendered a great service to Sugriv. You united him with

    Ram milaye rajpad deenha
    Shri Ram and he installed him on the Royal Throne. By heeding

    Tumharo mantra Vibheeshan mana
    your advice, Vibhishan became Lord of Lanka. This is known

    Lankeshwar Bhaye Sub jag jana
    all over the Universe.

    Yug sahastra jojan par Bhanu
    On your own you dashed upon the Sun, which is at a fabulous

    Leelyo tahi madhur phal janu
    distance of thousands of miles, thinking it to be a sweet luscious fruit.

    Prabhu mudrika meli mukh mahee
    Carrying the Lord's Signet Ring in your mouth, there is

    Jaladhi langhi gaye achraj nahee
    hardly any wonder that you easily leapt across the ocean.

    Durgaam kaj jagat ke jete
    The burden of all difficult tasks of the world become light

    Sugam anugraha tumhre tete
    with your kind grace.

    Ram dware tum rakhvare,
    You are the sentry at the door of Shri Ram's Divine Abode.

    Hoat na agya binu paisare
    No one can enter it without your permission,

    Sub sukh lahai tumhari sarna
    All comforts of the world lie at your feet. The devotees enjoy all

    Tum rakshak kahu ko dar na
    divine pleasures and feel fearless under your benign Protection.

    Aapan tej samharo aapai
    You alone are befitted to carry your own splendid valour. All the

    Teenhon lok hank te kanpai
    three worlds (entire universe) tremor at your thunderous call.

    Bhoot pisach Nikat nahin aavai
    All the ghosts, demons and evil forces keep away, with the

    Mahavir jab naam sunavai
    sheer mention of your great name, O'Mahaveer!!

    Nase rog harai sab peera
    All diseases, pain and suffering disappear on reciting regularly

    Japat nirantar Hanumant beera
    Shri Hanuman's holy name.

    Sankat se Hanuman chudavai
    Those who remember Shri Hanuman in thought, words and deeds

    Man Karam Vachan dyan jo lavai
    with Sincerity and Faith, are rescued from all crises in life.

    Sub par Ram tapasvee raja
    All who hail, worship and have faith in Shri Ram as the Supreme

    Tin ke kaj sakal Tum saja
    Lord and the king of penance. You make all their difficult tasks very easy.

    Aur manorath jo koi lavai Sohi amit jeevan phal pavai
    Whosoever comes to you for fulfillment of any desire with faith and sincerity, Will he alone secure the imperishable fruit of human life.

    Charon Yug partap tumhara
    All through the four ages your magnificent glory is acclaimed far

    Hai persidh jagat ujiyara
    and wide. Your fame is Radiantly acclaimed all over the Cosmos.

    Sadhu Sant ke tum Rakhware
    You are Saviour and the guardian angel of Saints and Sages and

    Asur nikandan Ram dulhare
    destroy all Demons. You are the angelic darling of Shri Ram.

    Ashta sidhi nav nidhi ke dhata
    You can grant to any one, any yogic power of Eight Siddhis

    Us var deen Janki mata
    (power to become light and heavy at will) and Nine Nidhis (Riches,comfort,power,prestige,fame,sweet relationship etc.) This boon has been conferred upon you by Mother Janki.

    Ram rasayan tumhare pasa
    You possess the power of devotion to Shri Ram. In all rebirths

    Sada raho Raghupati ke dasa
    you will always remain Shri Raghupati's most dedicated disciple.

    Tumhare bhajan Ram ko pavai
    Through hymns sung in devotion to you, one can find Shri Ram

    Janam janam ke dukh bisravai
    and become free from sufferings of several births.

    Anth kaal Raghuvir pur jayee
    If at the time of death one enters the Divine Abode of Shri Ram,

    Jahan janam Hari-Bakht Kahayee
    thereafter in all future births he is born as the Lord's devotee.

    Aur Devta Chit na dharehi
    One need not entertain any other deity for Propitiation, as

    Hanumanth se hi sarve sukh karehi
    devotion of Shri Hanuman alone can give all happiness.

    Sankat kate mite sab peera
    One is freed from all the sufferings and ill fated contingencies of

    Jo sumirai Hanumat Balbeera
    rebirths in the world. One who adores and remembers Shri Hanuman.

    Jai Jai Jai Hanuman Gosahin
    Hail, Hail, Hail, Shri Hanuman, Lord of senses. Let your victory

    Kripa Karahu Gurudev ki nyahin
    over the evil be firm and final. Bless me in the capacity as my supreme guru (teacher).

    Jo sat bar path kare kohi
    One who recites Chalisa one hundred times, becomes free from the

    Chutehi bandhi maha sukh hohi
    bondage of life and death and enjoys the highest bliss at last.

    Jo yah padhe Hanuman Chalisa
    All those who recite Hanuman Chalisa (The forty Chaupais)

    Hoye siddhi sakhi Gaureesa
    regularly are sure to be benedicted. Such is the evidence of no less a witness as Bhagwan Shankar.

    Tulsidas sada hari chera
    Tulsidas as a bonded slave of the Divine Master, stays perpetually at

    Keejai Das Hrdaye mein dera
    his feet, he prays "Oh Lord! You enshrine within my heart & soul."

    Pavantnai sankat haran,
    Oh! conqueror of the Wind, Destroyer of all miseries, you are a

    Mangal murti roop.
    symbol of Auspiciousness.

    Ram Lakhan Sita sahit,
    Along with Shri Ram, Lakshman and Sita, reside in my heart.

    Hrdaye basahu sur bhoop.

    Oh! King of Gods reside in my heart.

Sunday 20 March 2016

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Puja Vidhi in Hindi! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Fast! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Kahani/Katha in Hindi!

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Puja Vidhi in Hindi! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Fast! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Kahani/Katha in Hindi!

Today I will tell you about all the rituals about Sheetla Mata Puja. I will tell you how to do puja, what all dishes should you make, how to keep the fast and also the story/katha of sheetla mata. All this I will tell in Hindi.

Chait badi mein holi ke 6-7 days baad Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda karte hain. Basoda ke previous day, din mein rabdi banate hain. Rabdi banana ke baad basoda ke din night tak needle hath mein nahi lete. Kundara bharne ke liye ek bada kunda, ten small kundari, ek tutti ki kari aur rabri ke liye ek handi mangakar evening ko pani mein bhigo dein. Next day thandi khane ke liye kitchen mein rabdi, bajre ki roti, sweet rice, gulgule and jo aapka man kare wo banayein. Moth aur bajra bhigoyein. Khana banne ke baad, kitchen mein wall par ghee ka thapa de kar uske samne diya jalayein. Water, roli aur rice se puja karein. Moong rice ki aankhein daalein. Sing 5 songs for sheetla mai, one for Hanuman ji and one for Bhairuji.

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda ke din monrning mein ek thali mein rabri, roti, rice, curd, sugar, moong ki dal, bajre ki moi, paat ki aankh, badkulla ki jel( Ise banane ki vidhi ke Liye dekhein Holi puja ki Vidhi in Hindi), bheege hue moth-bajri, turmeric mein rang ke kukdi, water, roli, moli, rice, diya, dhoopbatti aur dakshina(money) dalkar sab log hath laga kar sheetla mai ke chadhayein. Sheetla mai ke jal ka kalash chadhayein. Puja kiye hue jal ko sab apni eyes par lagayein.

Churma se hanuman ji ki aur jalebi se pittar ji ki dhok de kar dono ke badkullon ki jel chadhayein. Moth, bajra, rupya par bayna nikal kar mother-in-law ke pair touch kar ke dein. Behen betiyon ke bhi baiyna nikal kar bhejein. Ek old misrani aur ek unmarried girl ko thanda khila kar, sab thanda khatein.

Agar kundara bharein, to morning to small kundara mein bheege hue moth aur bajra, rabdi, curd, sweet rice, gulgule bhar ke, holi ki jhal dikhaye hue soot se lappet kar, pisi hui turmeric se sathiya ka ke, bada kundara bhar ke rakhein. Baad mein sab ladies aur gents aur kids kundara ki puja karein. Kari mein jal aur ghee ya butter daal kar, kundara aur puja ka saman le kar, sab koi ‘Sheetla mata ke geet’ gate hue sheetla mai ke jayein. Sheetla mai ki puja karke bahar ki mai ki puja karein aur kahani sunein. Baad mein soil mein doob lagayi hui saag lekar ‘badhava’ gate hue wapis aayein. Doob pende mein rakh dein.

Agar son birth le ya son ki marriage ho, us year ujman karein. Ujman mein jitney kundare hamesha karte hain, utne hi aur karein.

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda ki kahani/katha/story-

Ek budiya mai thi. Wo sheetla ashtmi ke din thandi roti khati thi aur sheetla mai ki puja karti thi. Village mein aur koi bhi nahi karta tha. Ek din sare village mein fire lag gayi. Poora village jal gaya par budhiya mai ki hut nahu jai. Sab log aa kar poochhne lage ki ye kya baat hai ki budhiya mai teri hut nahi jail. Budhiya mai boli ki main basoda ke din thandi roti khati hoon aur sheetla mata ki puja karti hoon isliye nahi jail. Tum sabki jal gayi. Sab koi poore village mein ye baat faila di ki sheetla ashtmi ke din aur Buddha basoda ke din sab log thandi roti khayein aur sheetla mata ki puja karein. Us din se sab log sheetla mata ki puja karne lage. He sheetla mai, jaisi budhiya mai ki protection kari waise hi sab ki karna, bal bacchon ki, hum sab ki karna.

Is ke baad bindayak ji ki kahani kahein.

Tuesday 15 March 2016

Sampda(Sampada) Mata Ka Dora! How to take Sampda ka Dora After Holi in Hindi! Vidhi of aTaking Sampda(Sampada) ka Dora in Hindi! Sampda ki Story(Kahani) in Hindi!

Sampda(Sampada) Mata Ka Dora! How to take Sampda ka Dora After Holi in Hindi! Vidhi of aTaking Sampda ka Dora in Hindi! Sampda(Sampada) ki Story(Kahani) in Hindi!

Today I am going to tell you about the Vidhi of taking Sampda mat aka dora. Here I will tell how to take sampda mat aka dora in hindi along with katha in hindi. Here is the complete step by step process in simple language.

Chaitra Badi Ekaum yani holi ke doosre din chharandi ko ya acchi tithi vaar dekhkar sampda mat aka dora lete hain. Sampda mat aka dora holi ke poojan ke baad bachi hui samagri se hi lete hain. Usi samagri se pujan bhi karte hain. Ekam ko subah gobar mitti mila kar ya keval mitti mein thode pani mein gholkar, das ghar ka chauka dena chahiye. Fir holi ki puja wali haldi ki gaanth ko silbatte par water daal kar ghis lena chahiye. Puja wali kukdi se seventeen ya nineteen taar ki lacchi bana kar usmein small gaanth laga lein. Gaanthein odd numbers mein honi chahiye. 11, 13 or 15 knots should be made. Mother in law ka dora 19 knota ka aur daughter in law ka dora usse kam 17 or 15 knots wala. Aur usse chhoti bahu ka dora usse bhi less 11 or 13 knots ka hona chahiye. Jitni gaanthe lagayi utne hi jau ke daane har dore ke near rakhe. Jiske unmarried so ho, unki 7-7 ki tagdi usi tarah lacche se banaye.  Do not tie knot. Fir un doron ko water mein ghisi hui turmeric se colour kar lena chahiye. Rice aur moong se sab doron ko jimayein. Fir un doron ki puja karein. Water ka chhinta dein, fir in doron ko snan(bath) karayein. Kanku ka chhita dena aur ten houses mein ten tiki lagana. Holi ki puja ke bache hue chawal moong se jimana. Mehandi, lacccha chadana aur water ka chhinta de kar jal pila dena. Jitney taar ka dora liya utne hi aankhein hands mein lekar story(kath) kahein ya yaad karein.

Sampda(Sampada) mata ki Kahani in hindi.
Ek nal king tha, uske damyanti naam ki queen thi. Ek din palace ke neeche ek old woman aayi jo sampda mat aka dora baant rahi thi aur story suna rahi thi. Wahan par bahut crowd ho raha tha. Sab ladies dora le rahi thi. Queen ne upar se dekha aur daasi se boli, ki eeche dekhkar aa kis cheez ki bheed ho rahi hai. To wo dekhkar aayi aur boli ki ek old woman sampda ka dora baant rahi hai. Jisse dhan laxmi hoti hai. Veh dora kacche soot ki 16 taar ki 16 gaanth dekar aur turmeric mein colour karke puja kar ke 16 naye jau ke aankhen hands mein lekar sampda mata ki kahani sunkar gale mein bandhe. Tab queen ne bhi dore ki pooja kar ke apne necklace mein bandh liye. Jab raja bahar se aaya to dora dekhkar bole. Rani aaj necklace mein kya tie kiya hua hai. To queen boli ki sampda mat aka dora baandh rakha hai. Isse wealth increase hoti hai. To raja bola ki apne paas to bahut wealth hai aur raja ne dora throw kar diya. Usi night ko dreams mein sampda mata boli, main to sampda hoon isliye ja rahi hoon. Tere money ka coal ho jayega. Morning mein uth kar jab raja ne dekha to saari wealth ka coal ho gaya. Tab king bola ki rani hum yahan par ek Brahmin ki girl ko chhod denge. Jo daily yahan par diya jala degi, pani bharegi, bhar ki brooming karegi aur ghar mein baithi rahegi. Hum doosre village mein jakar rahenge.

Jab wo talab par pahuche to raja ne wahan par two teetar rani ko la kar diye. Raja bole kit u inhe roast kar ke rakh. Main abhi naha kar aata hoon. Rani ne teetar bhoon liye. Jab dono khane baithe to teetar fly kar gaye. To raja rani apni sister ke yahan pahuche. Sister ne unhe purine ghar mein thehra diya. Us ghar mein sone ka barchhi bachhola pada tha. Wo zameen kha gayi. To raja rani se bola ki yahan se chalo nahi apne sar theft ka ilzam lag jayega. Aur wahan se dono chale gaye. Wahan se raja ke friend keg aye to unhe usne old palace mein thehra diya. Wahan par gaye to wahan sawa karod ka haar hang hua tha. Wahan par peacock bana tha. Wo us necklace ko nigal gaya. Tab raja rani se bole ki yahan se bhi chalo nahi to apne sir necklace ko chori lag jayegi. To rani boli ki kisi ke ghar jane ki bajaye forest mein lakdi kaat kar use sell kar ke hum apna pet bhar lenge. Veh ek sookhe garden mein pahuche to wo green ho gaya. Us garden ka owner bahut khush hua. Usne dekha wahan ek lady aur gents so rahe hain. Unhe jaga kar usne poocha ki tum kaun ho ki tumhare aane se 12 years se dry garden green ho gaya. Tab raja rani me kaha ki hum musafir hain. Kaam ki khoj mein aaye hain. Aur wo wahan par naukri karne lage.

Malan rani se boli ki tu sirf flowers ki mala market mein bech aaya kar. Ek din bagh ki malan katha sun rahi thi aur dora le rahi thi. Rani ne poocha to usne bataya ki ye sampda ka dora hai. Rani ne katha suni aur dora liya. Raja ne apne wife se poochha ki ye dora kiska bandha hai. To rani boli ki ye wahi dora hai jo aapne ek baar tod kar fek diya tha. Usi karan sampda devi hum par angry hai. Rani boli agar sampda maa sachhi hai to fir hamare pehle jaise din aa jayenge. Usi raat raja ko dream mein pehle ki tarah ek ady keh rahi thi, ‘main ja rahi hoon’. Doosri keh rahi thi ki main wapis aa rahi hoon. Raja ne doo ke naam pooche to aane wali ne apna naam laxmi bataya aur jaane wali boli ki main daridrata hoon. To raja ne poocha ki mujhe pata kaise chalega. Tab sampda boli ki jab morning mein well se water fill karne jayega to pehli baar jau niklenge. Doosri baar haldi ki gaathen, teesri baar mein kaccha soot niklega. Sampda mata ne unhe khoob saara dhan diya. Fir raja apni rani se bole ki ab hamare 12 years poore ho gaye aur acche din aa gaye hain, isliye hum apne ghar ja rahe hain. Tab malan ne use bahut sa dhan diya.

Wahan se wo apne friend ke yahan pahucha. To dost ne unhe apne naye mahal mein thehraya. Fir raja bole ki haemin wahin thehrao jahan pehle thehraya tha. Wahan ja kar dekha to jo necklace peacock nigal gaya tha, wo haar khooti par tanga hua tha aur unka kalank utar gaya. Wahan se wo apni sister keg aye, to behan ne unhe new palace mein thehrane ke liye kaha. Fir raja bole ki haemin wahin thehrao jahan pehle thehraya tha. Wahan par gaye to jo dhaarti barchha bachholi nigal gayi thi, veh de gayi. To raja rani se bole ki hamare din acche aa gaye hain. Wahan se raja rani sarovar ke kinare pahuche. Wahan 2 teetar dekh kar wo samajh gaye ki ye wahi teetar  hain jo ud gaye the. Wahan se wo apne palace ki taraf gayi. Unhone dekha ki jo door teda ho gaya thaw o seetha ho gaya hai. Gold ki jhari aa gayi, daatan hari ho gayi, jo Brahmin ki girl Deepak jalane ke liye chhod gaye the, use unhne apni dharm ki beti bana liya. Use bahut saara dhan de kar uski marriage kar di. Rani ne sampda mat aka ujman kiya. 16 brahmani jimayi, 16 items diye, halwa poori ki rasoi banayi. He sampda mata jaise pehle raja se roothi, waise kisi se na roothna, raja ko wapis vaibhav diya, waise sabko dena.
Iske baad bindayak(Ganesh) ji ki kahani kahiye.


Hope the information on How to take Sampda(Sampada) ka dora after holi and Sampda mata ki katha was useful. You can get information about how to doholi pooja and how to do gangaur puja on this blog.

Wednesday 2 March 2016

Mahashivratri! Mahashivratri Vrat Vidhi in Hindi! Mahashivratri Story in Hindi! Shivratri Festival! Mahashivratri Katha!

Mahashivratri! Mahashivratri Vrat Vidhi in Hindi! Mahashivratri Story in Hindi! Shivratri Festival! Mahashivratri Katha!
Today I am going to cover the following topics in the article –
·         Mahashivaratri Festival
·         When is Shivaratri?
·         Shivratri Rituals
·         Shivaratri Celebrations
·         Shivratri Fast Vidhi
·         Shivaratri Katha in Hindi
·         Significance of Shivratri
·         Shivratri Vrat Samagri
·         Shivaratri Pooja
·         Mahashivratri Katha

Mahashivratri is celebrated on ‘Falgun Krishna Teras’ every year. In the year the Shivratri festival will be celebrated on March 7. On this day one should not eat any food and also should not sleep at night. The meaning of the word Shivratri is ‘The night of Lord Shiva’.

Shivratri ka vrat karna bahut hi uttam mana gaya hai. Jo log poori shraddha se is vrat ko karte hain kaha jata hai unhe moksh prapt hota hai. Is vrat ko karne wale ko ‘Om Namah Shivaya’ mantra bolna chahiye.  Is din anna nahi graham karna chahiya. Yadi ko poora din bhookha nahi reh sakta to use din mein ek baar ‘phalahar’ karna chahiye. Ye bhi kaha gaya hai ki mahashivratri vrat se pehle wale din bhi ek time hi khana kkhana chahiye jisse koi bhi undigested khana pet mein nahi reh jaye. Yahan par main poori Shivratri vrat ki vidhi hindi mein bata rahi hoon.
·         Sabse pehle subah jaldi uth kar naha dho kar tayyar ho jayein.
·         Fir Shiv ji aur Parvati ji ki pooja karein.
·         Mahashivratri vrat vidhi ke anusar sun set ke baad is din kuch nahi khana chahiye.
·         Pooja mein shiv ji ko ye sab shivratri vrat samagri chadhayein –
o   Milk
o   Curd
o   Sugar
o   Ghee
o   Honey
o   Panchamrit
o   Bhang
o   Fruits
o   Paan
o   Supari
o   Long
o   Elaichi
o   Moli
o   Janeu
o   Chandan
o   Roli
o   Rice
o   Flowers
o   Bel patta
o   Dhatura
o   Prasad
o   Kamakgatta
o   Dakshina
·         Shivling par chadhaye gaye flowers, fruits aur water nahi graham karna chahiye. Agar Shiv ji ke paas saligram ji ki murti ho to fruits can be eaten.
·         Fir dhoop karein aur diya jalayein.
·         Ratri jagran kar ke kisi Brahmin se puja path karana chahiye.
·         Is din thandai bhi tayyar karni chahiye aur Shiv ji ke bhog lagakar sab ko peeni chahiye.

Hope ye Mahashivratriki pooja vidhi hindi mein aapke liye useful hogi. Ab Mahashivratri ki vrat katha is prakar hai –
Mahashivratri Katha

Ek shikari tha. Wo shikar karke apne parivar ka palan karta tha. Ek baar veh forest mein ek talab ke kinare bel ke tree par hunting ke liye machan banane laga. Us ped ke neeche shivling tha. Ped ki leaves machan banate time shivling par gire. Is tarah din bhar bhuke rehne se shikari ka vrat bhi ho gaya aur shiv ling par bel patra bhi chadh gaye.
Usi samaya garbhini (pregnant) hirni talab par pani peene nikali. Shikari ne use dekh marna chaha tab veh hirni deenta se boli ‘Main garbhvati hoon. Main bacche ko birth de kar jaldi hi tumhare samne aa jaongi’. Hunter ne use chhod diya. Thodi der baar ek doosri hirni udhar se nikli. Shikari ne fir dhanush par baan chadhaya. Hirni ne kaha – ‘Hey vyaghra raj! Main thodi der pehle ritu se nivrit hui hoon. Apne husband se milne par jaldi tumhare paas wapis aa jaungi’. Shikari ne use bhi chhod diya. Night ke last pahar mein ek mrigi apne bacchon ke sath udhar se nikli. Shikari ne shikar ke liye dhanush par baan chadhaya. Tab weh mragi boli – ‘Main in kids ko inke father ke paas chhod aaon, tab mujhe maar dalna’. Shikari ko us par bhi daya aa gayi aur use chhod diya. Morning hui to ek hiran aata dikhai diya. Shikari uska shikar karne ke liye utha to hiran bola- ‘vyaghra raj! Agar tumne isse pehle teen mragiyon aur unke bacchon ko maar diya ho to mujhe bhi maar dijiye taki mujhe unka viyog na sehna pade. Main un teenon ka pati hoon. Mujh par bhi kuchh samay ke liye kripa karein. Main unse milkar tumhare samne upasthit ho jaoonga’.
                Mrag ki baat sunkar raat ki saari baatein usne mragi ko bata di. Vrat, raatri jagran aur shiv ling par bel patra chadhne se usmein bhagwad bhakti ka jagran ho gaya. Usne mrag ko chhod diya. Uska heart pure ho gaya. Apne pehle ke kaam ko yaad karke wo regret karne laga. Thodi der baad hiran with family shikari ke saamne aa gaya. Jungle pashuon ki satya priyata, satvikta aur samuhik prem bhavna dekhkar use apne par badi guilt hui. Uski eyes se aansuon ki jhadi lag gayi. Usne deer ko free kar diya. Devtaon ne aakash se us par flowers ki bearish ki. Shikari parivar sahit moksh ko prapt ho gaya. Aansu shivling par gir rahe the. Sirf itne se hi shiv ji ati prasann hog aye. Shiv ji ko jo manushya shiv ji par bilvpatra chadhata hai, puja karta hai aur vrat karta hai usse Shiv ji bahut prasann rehte hain aur moksh dete hain.

Friday 26 February 2016

Holi Puja Process Hindi! How to do Holi puja! Holi pujan Vidhi in Hindi! Step by Step Process of holi pujan in Hinglish!

Holi Puja Process Hindi! How to do Holi puja! Holi pujan Vidhi in Hindi! Step by Step Process Hinglish!

Holi festival is celebrated on full moon night of hindi month of falgun. On this day holika dahan is done. Next day is celebrated as ‘dhulandi’. On this day people play with colours and enjoy this festival of colours.

Holi manane ke peechhe ek story hai. Mana jaata hai ki King Hiranyakashyipu ke son Prahlad Lord Vishnu ke bhakt the. Lekin king ko ye pasand nahi tha. Isliye unhone uski sister Holika jise na jalne ka vardaan tha, use lap mein le kar baithne ko kaha. Pahalad apne father ki baat maan kar baith gaya aur Vishnu ji ka jaap karta raha. Fal swaroop holika to jal gayi lekin Prahalad bina jale wapis aa gaya. Isliye is din evil par good ki victory ko celebrate karne ke liye holi manate hain.

Holika dahan wale din holika ki puja karte hain.
Puja samagri –
1.       Jal ka lota
2.       Roli and Rice
3.       Moli
4.       Prasad ( any sweet)
5.       Kaccha Papad
6.       Kacche soot ki kookdi
7.       Haldi ki Gaanth – 3-4
8.       Chane aur Gehun ki hari bali
9.       Coconut
10.   Flowers
11.   Agarbatti or dhoop
12.   Badkula – made of cow dung
13.   Diya
Holi ke Badkulle banane ki Vidhi –
Holi ke 10 days pehle shubh din dekhkar gobar ( cow dung) se saat badkulle banate hain. Coconut, paan, pata, peeda, tava, belan, chakla aur kai tarah ke toya banayein. Cow dung ki paanch dhal, ek talwar, ek moon, sun, ek nariyal, roti, ek tongue, ek holika mai, ek paan banayein. Agar aapke beta hua ho ya bête ki marriage hui ho to ujman karein. 13 supari bhi gobar ki banayein. Dhal etc. banana ke baad badkulla nahi banayein. Holi mai ki aankh banana ke liye usmein kodi laga dein. Sab ko sookhne ke liye rakh dein.

Holi wale din badkulle mala mein piroyein. Usmein sab type ke toys, holika mai, dhal, talvar, sab cheezein piroyein. Ek pitron ki, ek hanuman ki, ek ghar ki, ek sheetla mai ki aur ek ghar mein jitney aadmi aur ladke ho utni mala piroye. Ek ek mala mein 8-8 badkulla, ek paan, supari badi, nariyal piro kar holi ga lein. Agar ujman ki ho to 13 supari mala mein piroyein. Sing songs at night.
Holi ki puja karne ka step by step tarika/vidhi –
·         Is din subah naha dho kar hanuman ji aur pittar ji ki dhok late hain. Jal, roli, rice, flowers, Prasad, coconut, gulal aur dakshina chadhate hain. Dhoop aur diya karte hain.
·         Sab children ke hand se paise laga kar, aur us money se oil purchase kar ke bahar se hi bhairuji ke ya kisi chaurahe par chadhayein.
·         Evening ko accha accha khana banayein jaise halwa, poori, bade, pakodi, saag, fali kairiya, tale hue papad, aur jo man kare.
·         In sab cheezon ko ek thali mein thodi si alag nikal ke bhagwan ke chadha dein. Use kisi Brahmin ko de de.
·         Jab bhadra nahi ho tab badkulle ki mala piro lein. Beech mein holika aura gal bagal mein baaki cheezin daal dein.
·         Holika dahan ke thodi der pehle un badkullon ki puja karein. Puja mein zameen par gobal aur jal se choka ( draw) de kar sari mala saja dein. Fir unki puja karein. Usmein jal, rili,moli, rice, gulal, flowers, gud aur dakshina chadhayein. Dhoop deep karein. Char feri  (rounds) dein.
·         Puja karne ke baad sari malayein le lein, sivaye sheetla mata ki mala ke. Unke sath pooja ki thali, kacche soot ka kookadiya, ek nariyal, papad, jal ka lota, aur lakdi mein band kar chana, jau le jayein.
·         Jahan holika dahan ho raha ho wahan sari malayein chadha dein, papad sekein, jal warm karein, chana aur jau ko sekein, nariyal padharein. Kookadiya ko agni dikha dein, fir holi ki rakh aur baki cheezein wapis le aayein.
·         Ghar aa kar agarbatti jala kar saare ghar mein ghuma dein.


Yadi aapko holi puja process ya vidhi mein koi baat poochni ho to comment kar sakte hain.Holi ke next day Sampada/sampda ka dora lete hain. Us ke baare mein information ke liye Sampda(Sampada) Mata Ka Dora! How to take Sampda ka Dora After Holi in Hindi! visit karein.