Showing posts with label Khayyam. Show all posts
Showing posts with label Khayyam. Show all posts

Monday, 18 February 2013

Hazar Rahein Mud Ke Dekhin!

Very true lyrics and very close to my heart from the movie 'Thodi Si Bewafai' (1980).

Music Director: Khayyam
Singers: Kishore Kumar & Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar


Hazar rahein mud ke dekhin
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Jahan se tum mod mud gaye the
Ye mod ab hi wahin pade hain
Hum apne pairon mein jaane kitne
Bhanwar lapete hue khade hain

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Kahin kisi roz yun bhi hota
Hamari haalat tumhari hoti
Jo raat humein guzari marr ke
Vo raat tumne guzari hoti

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Tumhe ye zid thi ke hum bulate
Humein ye ummeed vo pukarein
Hai naam hoton pe ab bhi lekin
Aawaz mein pad gayi dararein

Hazar rahein mud ke dekhim
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Friday, 16 November 2012

Na Jane Kya Hua!

A wonderfully sung song from the movie 'Dard'.

Music Director: Khayyam
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Shakeel Badayeuni

Na jane kya hua, jo tune chhoo liya - 2
Khila gulab ki tarha mera badan
Nikhar nikhar gayei, sanvar sanvar gayei - 2
Banake aina tujhe, aye janeman
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Bikhra hai kajal fiza mein, bhigi bhigi hai shamein
Boondo ki rim jhim se jagi aag thandi hawa mein
Aja sanam, yeh hasin aag hum lein dil mein basa
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Anchal kahan, main kahan hoon, yeh mujhe hosh kya hai
Yeh bekhudi tune di hai, pyar ka yeh nasha hai
Sunle zara saz-e-dil ga raha hai nagma tera
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Kaliyon ki ye sej maheke, rat jage milan ki
Kho jaye dhadkan mein teri dhadkanen mere man ki
Aa paas aa, teri har saans mein main jaoon sama
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Nikhar nikhar gayei, sanvar sanvar gayei
Banake aina tujhe aye janeman
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya