Bach Baras / Govatsa
Dwadashi Puja Process / Vidhi in Hindi | Bachh Baras Katha/Story/Kahani in
Hindi
According to hindu calendar bach baras or govatsa dwadashi
is celebrated in bhadwa month. It comes on bhadwa badi baras. Women keep
fasting and do pooja for well-being of their sons or to have son as a child. Cow
and calf is worshipped on this day that’s why it is named bach( bacchda – calf)
baras.
Bach Baras Puja Vidhi
in Hindi
Is din ek pate par mitti se bach baras mandte hain. Is maande
hue pate par water, bhains ke curd, bhigoye hue moth-bajra, moi ( bajre ka aata
ghee, cheeni, paani se mal kar), roli, rice, doob, thandi roti aur dakshina
(rupees) chadhayein. Fir kahani sunte hain. Moth, bajra aur rupees par bayena
nikal kar mother-in-law ko pair chhoo kar dete hain. Apni behan, betiyon ko bhi
bayena bhejein. Is din thandi roti khate hain. Cow milk, curd aur wheat, rice
nahi khate. Bachh baras ki pooja karne ke baad, apne unmarried ladke ki nabhi
par sabiya bana kar ke dahi, moth, bajra, aur ek rupya rakh kar fudadka karte
hain. Is din kuchh kata hua nahi khate. Bach
Baras beta hone ke baad karte hain.
Bach Baras / Govatsa
Dwadashi ka Udyapan Vidhi in Hindi
Jis saal beta ho us saal bach baras ka ujman/udyapan karte
hain. Baaki pooja to har saal ki tarah hi karte hain, sirf ek thali mein sawa
ser bhigoye hue moth-bajra ki ek thali mein terah kuddi karein. Do do mutthi
moi(bajre ka aata ghee, cheeni, paani se mal kar) aur do do slices kheere ki
terah kuddi par rakhein. Uske upar ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ma ko pair
chhoo kar dein. Baad mein geet gaate hue joda poojne jayein. Gath jode ki pooja
sab samagri se karein, feri dein aur geet gaate hue wapis aayein.
Bach Baras / Govatsa
Dwadahi Story/Katha in Hindi
Ek sahukar tha. Uske seven bête aur bahut saare pote the. Sahukar
ne ek talaab banwaya tha. Banwaye hue twelve years hog aye lekin fir bhi usmein
paani nahi aaya. To usne pandit ko bula kar reason poochha. Pandit bola, ki ya
to tum apne bade bête ya bade pote ki bali doge tabhi ye talaab bharega. Tab sahukar
ne apni badi bahu ko to peehar bhej diya aur bade pote ki bali de di. Itne mein
garajti barasti badly aayi aur talaab bhar gaya. Fir bach baras aayi to sab
bole apna talaab bhar gaya hai, iski pooja karne chalo. Jane lag gaye to apni
dasi ko bole ki gehun la ke paka lena aur dhatula ko bichha dena. Gehula aur
dhatula unki gay eke bachde ka bhi naam tha. To usne unhe paka diya. Wahan par
sahukar aur sahukarni ne gaje-baje se talaab ki pooja ki. Sahukar ke bade bête ki
bahu bhi peehar se talaab ki pooja larne aa gayi. Pooja karne ke baad jab
bachhon ke fudadka karne lage to jiski bali di thi wo pota bhi gobar mitti mein
lipta hua talaab se nikal kar bola ki mere bhi fudadka karo. Tab saas bahu ek
doosre ko dekhne lagi. Saas ne bahu ko bali dene wali saari baat bata di aur
kaha ki bachbaras maata ne apna sat rakha hai aur pota wapas diya hai. Jab wo
ghar aaye to dekha ki dasi ne bachhdon kop aka diya. Tab sahukar bola ki paapni
ek paap to hum utar kar aaye hain aur tune doosra laga diya. Sahukar ne rande
hue bachhe ko mitti mein gaad diya aur mooh ke bal pad gaye. Evening ko gaye
char kar aayi aur apne bachhe ko nahi dekh kar zameen khodne lagi. To bachhda
mitti gobar mein lipta hua aa gaya. Sab ne sahukar ko bola kit ere bachhde aa
gaye. Sahukar ne dekha to bachhde doodh peete hue aa rahe the. Sahukar ne
village mein elaan karwa diya ki sab beton ki mothers bach baras karo aur
talaab ki pooja karo. He ‘Bachbaras’ mata jaisa sahukar sahukarni ko diya waisa
haemin bhi dena. Kehta, suntan , hunkara bharte diyo.
Iske baad bindayak ji ki kahani kehte hain.
Thanks for sharing nice information. know find more details about Puja Item, Click on the below link.
ReplyDeletePuja Item Kits
Pujan Items