Friday, 10 June 2016

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Hello Friends,
Today I am going to tell you about a festival named doobdi saate. It is mostly celebrated in Rajasthan. Some celebrate it on saptmi tithi of bhadrapad shukla paksha while others on ashtmi tithi. It is also known as durvashtmi for those who celebrate it on ashtmi.

Doobdi Saate/Aathe Puja Process in Hindi
Is din thandi roti khate hain. Ek paate par mitti se doobri saate maand kar, water, milk, roli, rice, flowers, moi ( bajre ka aata aur ghee, sugar aur paani se osan kar), bhigoye hue moth-bajre se pooja karein aur dakhshina chadhayein. Fir doobri saate ki katha sunein. Moth-bajra, rupees rakh kar bayna nikalein. Bajre ki moi mein ek kaanta rakh kar khayein. Iske baad bayna nikal karmother-in-law ko bayna nikal kar dein. Apni behan betiyon ke bhi bayna nikalne ke liye bhejein.

Doobdi saate ka Udyapan/Ujman
Jis year ladki ki marriage hoti hai, us year us ladki se doobri saate ka ujman karate hain. Baaki to puja ki vidhi upar likhi hai waise hi karein. Bas bayna nikalte time ek thali mein terah kuddi bhigoye hue moth bajra ki, ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ji ko pair chhoo kar dein.

Doobdi Saate/ Ashtmi ki Story/ Katha
Ek sahukar ke saat bête the, uske bête bade hue to sabse bade bête ki shaadi fix kar di. Muhurt nikalwaya to wo diibri saate ka nikla. Feron ke time use ek snake aa kar das gaya, isi tarah sahukar ke six bête feron mein naag ke dase jane se maare gaye.
Last mein satve bête ki shaadi fix hui. Ladke ki behan kisi village mein rehti thi. Use lene gaye. Use lekar jab wapis aane lage to sister ko pyas lagi aur wo paani peene well par gayi. Wahan ek old woman kuchh bana rahi thi aur bigad rahi thi. Behan ne poochha tum kaun ho aur kya kar rahi ho? Wo boli ki main bemata hoon aur ek sahukar ke satve bête ki shadi hai. Six to mar chuke hain saatva marne wala hai so uske liye dhakni de rahi hoon. Behan ne poochha ki wo kisi tarah bach sakta hai kya? Bemata ne kaha ki haan agar uske door paas ki behan, bua jo doobri saate ki pooja karti ho. Veh ulte ulte neg kare, gali nikale, karad kose yani har tarah ke apshagun kare aur baarat mein sath jaye aur teli se taant laye, kumhar se handi, dhakkan laye aur kacha karva laye aur feron mein naag dasne aaye to use kache karve mein doodh pilaye. Wo peene lage to haandi mein band karke dhakkan laga kar taant se baandh le to kaal ki yeh ghadi tal sakti hai. Behan usi samay galiyan bakti hui bhai ke paas pahunchi. Bhai bola behan tu gayi tab to acchi thi, aayi to galiyan bak rahi hai. Koi bhoot pret to nahi lag gaya. Ram Ram karte ghar pahuche. Bhai ka baan baithne laga to behan ne kaha ki is karamphute ka baan chowki par na baithakar silla par baithaongi. Zid karne lagi to baan silla par baithaya. Bhai ki nikasi hone lagi to behan kehne lagi iski nikasi haveli ki peechhe ki deewar se hi karvao. Saamne se nahi karane doongi. Sabne khoob samjhaya par wo galiyan bakne lagi, zid karne lagi. To fir peechhe se hi nikasi karvayi. Tabhi samne ka darwaza gir gaya. Sabne kaha bhai ko behan ne bacha liya nahi to aaj mar gaya hota.
Fir behan ne kaha ki main baarat ke sath chalungi. Sabhi ne samjhaya ke ladies barat mein nahi jaati aur tu is tarah galiyan degi to accha nahi lagega. Par wo nahi maani aur sath gayi. Raaste mein rest ke liye baarat bad ke tree ke neeche rukne lagi to behan kehne lagi ki is karamfute ki baarat ko ped ke neeche nahi thehrne doongi. Dhoop mein rest karo. Sabne samjhaya par wo nahi maani. Tang aa kar dhoop mein hi baarat ko thehraya. Tabhi ped tootkar aa gira. Sabhi baarati kehne lage ki ye kuchh to jaanti hai. Abhi ped ke neeche na jaane kitne aadmi mar jaate.
Samdhi ked war par behan ne zid ki peeche ked war par toran karo. Uska toran samne ke gate par nahi karne doongi. Aur aarti chaumukhi Deepak se nahi karne doongi. Jagmagate kheere ki thali bhar kar lao usi se aarti karenge. Baratiyon ne samdhi se kaha ki ye kahe wahi karo. Toran marte time aage ka darwaza gir gaya. Aarti karte waqt upar se saanp aa kar gira to jagmagate kheere se jal gaya. Kheere na hote to snake dulhe ko bite kar leta. Fir behan zid karke feron mein saath baithi. Do fere hote hi saanp aaya. Behan ne saanp kea age kaccha doodh ka karwa rakhwa diya. Saanp doodh peene laga to behan ne use taant se baandh kar handi mein daal kar dhakkan laga kar god eke neeche daba diya aur kaha ab relax ho kar fere karo. Usi samay nagin aayi aur kehne lagi ki paapan, hatyaran, chhod mere saanp ko. Behan ne kaha, tu to ek ghadi hi dukhi ho gayi. Meri to chhe bhabhi kab se dikhi baithi hai. Sarpani ne kaha ki ja unko chhoda. Is tarah se behan ne saare bhai jeevit karva liye fir saanp ko chhoda.
Behan apne saaton bhai-bhabhiyon ko lekar baarat ke sath ravana hui. Raste mein hi doobri sate aa gayi to behan ne kaha ki sabke doobri saate ki pooja karwaongi, kahani kahoongi aur par tayyari kaise karoon. Behan ne gaadi rukwayi, neeche utri to dekha ki paata wahin manda pada hai. Ber k aped laga hai. Bheege moth aur puja ki samagri padi hai. Behan ne saaton bhabhiyon ke sath pooja ki. Kaanta fasa aur kahani kahi. Fir bheege moth se sabne bayna nikala. Behan ne bhabhiyon se kaha hamesha bhado sudi dubdi saate ki puja karna, kaanta fasna aur puja karna, katha kehna. Udhar sahukar sahukarni chhat par chadkar barat ka wait kar rahe the. Tabhi paniharino ne aakar bataya ki welcome ki tayyari karo, teri beti bhai, bhabhiyon ko lekar aa rahi hai. Sahukar sahukarni bole, tane maarti ho ya Mazak karti ho? Paniharinon ne kaha ki hum sach keh rahe hain.
Welcome hote hi behan ne kaha ki maa main apne gaon ja rahi hoon. Mother ne kaha, beti kuchh din apni bhabhiyon ke sath raho. Sister boli ki ma poot palne mein, sai sej mein, gaye gawade, bhais bade, chhachh billowed aur doodh chulhe par chhodkar daudi chali aayi thi. Mere kaam bahut hain main nahi ruk sakti. Bhaiyon ne behan ko bahut kuchh de kar sasural pahucha diya. Doobdi saate mata ne jaise unka bhala kiya waise sabka karna. Kahani kehne aur sunne walon ka bhi bhala karna.

Iske baad bindayak ji ki kahani kahen.

No comments:

Post a Comment

Feel free to express.