Showing posts with label Gulzar. Show all posts
Showing posts with label Gulzar. Show all posts

Wednesday, 9 January 2013

Koi Hota Jisko Apna!

This one is a very beautiful nd heart touhing song from the movie 'Mere Apne(1971)'.

Music Director: Salil Chowdhary
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Gulzar

Koi Hota Jisko Apna
Hum Apana Keh Lete Yaaron
Paas Nahin To Door Hee Hota
Lekin Koi Mera Apna

Aakhon Mein Neend Na Hoti
Aansoo Hi Tairte Rehte

Khwabon Mein Jaagte Hum Raat Bhar
Koi To Gham Apnataa
Koi To Saathi Hota

Koi Hota Jisko Apna
Hum Apana Keh Lete Yaaron
Paas Nahin To Door Hee Hota
Lekin Koi Mera Apna

Bhoola Hua Koi Waada
Beeti Huyi Kuchh Yaadein
Tanahai Dohraati Hain Raatbhar
Koi Dilasa Hota
Koi To Apna Hota

Koi Hota Jisko Apna
Hum Apana Keh Lete Yaaron
Paas Nahin To Door Hee Hota
Lekin Koi Mera Apna

Sunday, 25 November 2012

Aaj Kal Paon Zameen Par!

A very very lovely song from the movie 'Ghar'. A classic in the real sense.

Music Director: R D Burman
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar

aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere - 2
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jab Bhi Thama Hai Tera Hath To Dekha Hai - 2
Log Kehte Hain Ke Bas Hath Ki Rekha Hai
Humne Dekha Hai Do Taqdeeron Ko Judte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Neend Si Rehti Hai, Halka Sa Nasha Rehta Hai
Rat-Din ankhon Mein Ik Chehra Basa Rehta Hai
Par Lagi ankhon Ko Dekha Hai Kabhi Udte Huye
Bolo Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jane Kya Hota Hai Har Bat Pe Kuchh Hota Hai
Din Mein Kuchh Hota Hai Aur Rat Mein Kuchh Hota Hai
Thaam Lena Jo Kabhi Dekho Humein Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye

Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Friday, 16 November 2012

Bhula Diya!

A sad number from the movie 'Dus Kahaniyan'.

Music Director: Strings, Anu Malik, Anand Raj Anand, Bappi Lahiri, Shibani Kashyap,
Shafqat Ali Khan
Singer: Anand Raj Anand
Lyricist: Gulzar

Kabhi aayaton mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe - 2
Kabhi dil se tujhko pukaar ke, koyi sher apna suna diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Yeh ajeeb ishq ke khel hai, jahaan lajjaton mein kami nahi - 2
Kabhi maine tujho hasa diya - 2, kabhi tune mukjko rula diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Bekhudi mein maza aa raha hai bada, (dil tabaah hai to kya - 2)

Teri raah se jo nikal gaye, woh deewaane banke machal gaye - 2
Kabhi humne ki teri arzoo - 2, toh bata de yeh kya gunaah kiya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Kabhi aayaton mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe - 2
Kabhi dil se tujhko pukar ke, koyi sher apna suna diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2