Ekadashi|Gyaras|Ekadashi
Vrat Vidhi in Hindi|Nirjala Gyaras| Dev Uthani Ekadashi| Dev Soni
Gyaras|Ekadashi ka Janam in Hindi
Ekadashi aka gyaras comes twice in a month. Ekadasi fast is
dedicated to Lord Vishnu. Here I will tell you about all Ekadashi’s in detail.
Here you can know how to observe ekadashi fast in hindi. Do not eat food made
from rice on Ekadashi.
Ekadashi ka vrat bahut faldayi hota hai. Har ekadashi ko
vrat karna chahiye. Is din fruits diet hi leni chahiye. Ratri jagran bhi karte
hain. Agar koi bahut salon se ekadashi vrat kar raha hai to pandit ko pooch kar
uska udyapan karna chahiye.
Ekadashi ka Janam|
Birthday of Ekadashi
Mangsir mahine ke shukla paksha ki gyaras ko ekadashi ka
janma din aata hai. Is din vrat karte hain, naha kar bhajan kirtan karte hain.
Doosre din subah Brahmin ko khana khilate hain aur seedha nikalte hain.
Nirjala Ekadashi|
Gyaras
Hindu calendar ke jyeshtha mahine ke Krishna paksha mein
aane wali ekadashi nirjala ekadashi kehlati hai. Is ekadashi ke vrat mein pani
bhi nahi peete. Agar koi itna bhookha pyasa nahi reh sakta to fruits aur doodh
le sakte hain.
Is din subah surahi/kunja dete hain. Surahi mein jal bhar
kar, safi se cover kar ke, dhakkan mein sugar aur dakshina dete hain. Fruits
bhi dete hain. Bayna bhi nikalte hain. Ek mitti ke karve mein jal, dhakkan mein
cheeni, rupees, aam rakh kar, karve par satiya bana kar tiki dete hain. Fir use
hath fer kar sasu ji ko pair choo kar de dete hain. Apni behan betiyon ko bhi
bayna nikalne ke liye bhejein.
Doosre din baaras ko subah jis pandit ko gyaras ka kunja
diya use hi ek-ek seeda aur sharbat de dein.
Nirjala ekadashi ke udyapan mein ek ekadashi karke ya 24
ekadashi karke hawan karayein. 24 kalash (mitti ya koi bhi) paani chhanne ka
kapda, 24 pankhiyan aur 24 saraswati vrat tyohar ki pustakein dene ka bahut
dharm hai.
Dev Uthni Gyaras
Kartik ke mahine mein shuhla paksh ki gyaras ko dev uthani
gyaras aati hai. Is din zameen par choona aur geru se dev mand kar ek kathuva
rakh dete hain. Sham ko dev ki jal, moli, roli, chawal, fool, gud, ukh, char
suhali, char kela, sawa ser chawal, gwar ki fali, mooli, rui(cotton), aur
dakshina(Rupees) chadha kar puja karein. Diya jalayein. Dev uthane ke teen geet
aur chaar badhawa gayein. Geeton mein bhagmwan ka badal kar apna naam lein.
Dev Uthane ka Geet
Utho devo baitho devo, sotakdi satkao devo|
Aal dhariya paanch pacheta, ye bahu rukman thara beta|
Aal dhariya harshaye jhameer, ye bahu yashodhara thara veer|
Jitni khoontiyan tankguni soot, jitna amber jagma poot|
Jitni abri sok malai, jitna atar bhanvar aayi|
Jitni andhar seenk salai, jitni andhar bhainwad aayi|
Jitni andhar thikriyan, jitni andhar dikriyan|
Jitna andhar ita roda, jitna andhar hathi ghoda|
Dev Soni Gyaras in
Hindi
Ashad mahine ke shukla paksha ki gyaras ko dev sote hain. Is
din vrat karte hain aur bhagwan ji ka naya bichhona bana kar bhagwan ji ko
shayan kara dete hain. In dino mein koi bhi shubh karya nahi hote.
This was all about Ekadashi|Gyaras|Ekadashi
Vrat Vidhi in Hindi|Nirjala Gyaras| Dev Uthani Ekadashi| Dev Soni
Gyaras|Ekadashi ka Janam in Hindi. If you have any doubts or questions
about Ekadashi please feel free to ask.
No comments:
Post a Comment
Feel free to express.