Mahashivratri! Mahashivratri Vrat
Vidhi in Hindi! Mahashivratri Story in Hindi! Shivratri Festival! Mahashivratri
Katha!
Today I am going to cover the
following topics in the article –
·
Mahashivaratri
Festival
·
When is
Shivaratri?
·
Shivratri
Rituals
·
Shivaratri
Celebrations
·
Shivratri
Fast Vidhi
·
Shivaratri
Katha in Hindi
·
Significance
of Shivratri
·
Shivratri
Vrat Samagri
·
Shivaratri
Pooja
·
Mahashivratri
Katha
Mahashivratri is celebrated on
‘Falgun Krishna Teras’ every year. In the year the Shivratri festival will be
celebrated on March 7. On this day one should not eat any food and also should
not sleep at night. The meaning of the word Shivratri is ‘The night of Lord
Shiva’.
Shivratri ka vrat karna bahut hi
uttam mana gaya hai. Jo log poori shraddha se is vrat ko karte hain kaha jata
hai unhe moksh prapt hota hai. Is vrat ko karne wale ko ‘Om Namah Shivaya’
mantra bolna chahiye. Is din anna nahi
graham karna chahiya. Yadi ko poora din bhookha nahi reh sakta to use din mein
ek baar ‘phalahar’ karna chahiye. Ye bhi kaha gaya hai ki mahashivratri vrat se
pehle wale din bhi ek time hi khana kkhana chahiye jisse koi bhi undigested
khana pet mein nahi reh jaye. Yahan par main poori Shivratri vrat ki vidhi
hindi mein bata rahi hoon.
·
Sabse pehle subah jaldi uth kar naha dho kar
tayyar ho jayein.
·
Fir Shiv ji aur Parvati ji ki pooja karein.
·
Mahashivratri vrat vidhi ke anusar sun set ke
baad is din kuch nahi khana chahiye.
·
Pooja mein shiv ji ko ye sab shivratri vrat samagri chadhayein –
o
Milk
o
Curd
o
Sugar
o
Ghee
o
Honey
o
Panchamrit
o
Bhang
o
Fruits
o
Paan
o
Supari
o
Long
o
Elaichi
o
Moli
o
Janeu
o
Chandan
o
Roli
o
Rice
o
Flowers
o
Bel patta
o
Dhatura
o
Prasad
o
Kamakgatta
o
Dakshina
·
Shivling par chadhaye gaye flowers, fruits aur
water nahi graham karna chahiye. Agar Shiv ji ke paas saligram ji ki murti ho
to fruits can be eaten.
·
Fir dhoop karein aur diya jalayein.
·
Ratri jagran kar ke kisi Brahmin se puja path
karana chahiye.
·
Is din thandai bhi tayyar karni chahiye aur Shiv
ji ke bhog lagakar sab ko peeni chahiye.
Hope ye Mahashivratriki pooja
vidhi hindi mein aapke liye useful hogi. Ab Mahashivratri ki vrat katha is
prakar hai –
Mahashivratri Katha
Ek shikari tha. Wo shikar karke
apne parivar ka palan karta tha. Ek baar veh forest mein ek talab ke kinare bel
ke tree par hunting ke liye machan banane laga. Us ped ke neeche shivling tha. Ped
ki leaves machan banate time shivling par gire. Is tarah din bhar bhuke rehne
se shikari ka vrat bhi ho gaya aur shiv ling par bel patra bhi chadh gaye.
Usi samaya
garbhini (pregnant) hirni talab par pani peene nikali. Shikari ne use dekh
marna chaha tab veh hirni deenta se boli ‘Main garbhvati hoon. Main bacche ko
birth de kar jaldi hi tumhare samne aa jaongi’. Hunter ne use chhod diya. Thodi
der baar ek doosri hirni udhar se nikli. Shikari ne fir dhanush par baan
chadhaya. Hirni ne kaha – ‘Hey vyaghra raj! Main thodi der pehle ritu se nivrit
hui hoon. Apne husband se milne par jaldi tumhare paas wapis aa jaungi’. Shikari
ne use bhi chhod diya. Night ke last pahar mein ek mrigi apne bacchon ke sath
udhar se nikli. Shikari ne shikar ke liye dhanush par baan chadhaya. Tab weh
mragi boli – ‘Main in kids ko inke father ke paas chhod aaon, tab mujhe maar
dalna’. Shikari ko us par bhi daya aa gayi aur use chhod diya. Morning hui to
ek hiran aata dikhai diya. Shikari uska shikar karne ke liye utha to hiran
bola- ‘vyaghra raj! Agar tumne isse pehle teen mragiyon aur unke bacchon ko
maar diya ho to mujhe bhi maar dijiye taki mujhe unka viyog na sehna pade. Main
un teenon ka pati hoon. Mujh par bhi kuchh samay ke liye kripa karein. Main unse
milkar tumhare samne upasthit ho jaoonga’.
Mrag
ki baat sunkar raat ki saari baatein usne mragi ko bata di. Vrat, raatri jagran
aur shiv ling par bel patra chadhne se usmein bhagwad bhakti ka jagran ho gaya.
Usne mrag ko chhod diya. Uska heart pure ho gaya. Apne pehle ke kaam ko yaad
karke wo regret karne laga. Thodi der baad hiran with family shikari ke saamne
aa gaya. Jungle pashuon ki satya priyata, satvikta aur samuhik prem bhavna
dekhkar use apne par badi guilt hui. Uski eyes se aansuon ki jhadi lag gayi. Usne
deer ko free kar diya. Devtaon ne aakash se us par flowers ki bearish ki. Shikari
parivar sahit moksh ko prapt ho gaya. Aansu shivling par gir rahe the. Sirf itne
se hi shiv ji ati prasann hog aye. Shiv ji ko jo manushya shiv ji par bilvpatra
chadhata hai, puja karta hai aur vrat karta hai usse Shiv ji bahut prasann
rehte hain aur moksh dete hain.
Really its enlightening…..I agree with you on various points………please keep it up…….
ReplyDeleteOnline puja booking
Maha Shivaratri holds immense value for Hindus and is a big day for the devotees of Lord Shiva.
ReplyDeleteNice blog.Thank you for sharing the information.Ekadasa Rudra Homam is dedicated to Lord Shiva.This homam helps to neutralises karmic effects and brings success in all matters.It is performed on the most auspicious day of Maha Shivratri.It not only wipes out harmful karmas of previous birth but also steadies one’s mind to lead a successful life.
ReplyDeleteMore information click here