Thursday, 3 November 2016

Gopashtami – Puja Vidhi in Hindi, Importance of Festival of Gopashtami in Hindi

Gopashtami – Puja Vidhi in Hindi, Importance of Festival of Gopashtami in Hindi

Hello friends, today I am going to tell you about Gopashtmi. It is celebrated on eighth day of Kartik Shukla Paksha.

Importance of Gopashtami in Hindi

India mein cows ko bahut hi sacred mana gaya hai. Unhe mother mana gaya hai aur cows ko gau mata kaha jata hai. Gopashtmi ke din cows ki pooja ki jaati hai. Mana jaata hai usse saari manokamnayein poori hoti hain.

Aisa maana jaata hai ki is din Krishna ji ne govardhan parvat ko neeche rakha tha. Indra bhagwan ne apni ego chhod kar Krishna ji se maafi maangi thi. Tab Surabhi naam ki gaaya ne Krishna ji par milk ki bearish ki thi aur unhe Govinda ka title diya tha.

Aisa bhi kaha jaata hai ki is din Krishna ji Gopala bane the, yaani Gopashtmi ke din se unhe cow mata ko sambhalne ki zimmedari di gayi thi. Krishna ji ko cows se bahut prem tha aur wo unki bahut dekh rekh karte the.

Puja Vidhi of Gopashtami in Hindi
Is din morning mein cows ko snan kara kar water, roli, mauli, akshat(rice), gud, pushpa(flowers), sweet, grass, vastra(clothes) aur dhoop-deep, etc. se vidhivat pujan kiya jata hai. Fir diya jalate hain aur feri dedte hain. Agar chahein to vrat bhi kar sakte hain.

Is din bachhde(calves) ka bhi pujan karte hain. Aisi manyata hai ki evening ko gocharan ke baad unhe pranam karke panchopchar vidhi se puja karte hain aur unki charan dhooli ka mastak par tilak karne se saubhagya(luck) badhta hai.


I wish you all a very happy Gopashtami.

No comments:

Post a Comment

Feel free to express.