Friday 10 June 2016

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Doobdi/Doobri Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi

Hello Friends,
Today I am going to tell you about a festival named doobdi saate. It is mostly celebrated in Rajasthan. Some celebrate it on saptmi tithi of bhadrapad shukla paksha while others on ashtmi tithi. It is also known as durvashtmi for those who celebrate it on ashtmi.

Doobdi Saate/Aathe Puja Process in Hindi
Is din thandi roti khate hain. Ek paate par mitti se doobri saate maand kar, water, milk, roli, rice, flowers, moi ( bajre ka aata aur ghee, sugar aur paani se osan kar), bhigoye hue moth-bajre se pooja karein aur dakhshina chadhayein. Fir doobri saate ki katha sunein. Moth-bajra, rupees rakh kar bayna nikalein. Bajre ki moi mein ek kaanta rakh kar khayein. Iske baad bayna nikal karmother-in-law ko bayna nikal kar dein. Apni behan betiyon ke bhi bayna nikalne ke liye bhejein.

Doobdi saate ka Udyapan/Ujman
Jis year ladki ki marriage hoti hai, us year us ladki se doobri saate ka ujman karate hain. Baaki to puja ki vidhi upar likhi hai waise hi karein. Bas bayna nikalte time ek thali mein terah kuddi bhigoye hue moth bajra ki, ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ji ko pair chhoo kar dein.

Doobdi Saate/ Ashtmi ki Story/ Katha
Ek sahukar ke saat bête the, uske bête bade hue to sabse bade bête ki shaadi fix kar di. Muhurt nikalwaya to wo diibri saate ka nikla. Feron ke time use ek snake aa kar das gaya, isi tarah sahukar ke six bête feron mein naag ke dase jane se maare gaye.
Last mein satve bête ki shaadi fix hui. Ladke ki behan kisi village mein rehti thi. Use lene gaye. Use lekar jab wapis aane lage to sister ko pyas lagi aur wo paani peene well par gayi. Wahan ek old woman kuchh bana rahi thi aur bigad rahi thi. Behan ne poochha tum kaun ho aur kya kar rahi ho? Wo boli ki main bemata hoon aur ek sahukar ke satve bête ki shadi hai. Six to mar chuke hain saatva marne wala hai so uske liye dhakni de rahi hoon. Behan ne poochha ki wo kisi tarah bach sakta hai kya? Bemata ne kaha ki haan agar uske door paas ki behan, bua jo doobri saate ki pooja karti ho. Veh ulte ulte neg kare, gali nikale, karad kose yani har tarah ke apshagun kare aur baarat mein sath jaye aur teli se taant laye, kumhar se handi, dhakkan laye aur kacha karva laye aur feron mein naag dasne aaye to use kache karve mein doodh pilaye. Wo peene lage to haandi mein band karke dhakkan laga kar taant se baandh le to kaal ki yeh ghadi tal sakti hai. Behan usi samay galiyan bakti hui bhai ke paas pahunchi. Bhai bola behan tu gayi tab to acchi thi, aayi to galiyan bak rahi hai. Koi bhoot pret to nahi lag gaya. Ram Ram karte ghar pahuche. Bhai ka baan baithne laga to behan ne kaha ki is karamphute ka baan chowki par na baithakar silla par baithaongi. Zid karne lagi to baan silla par baithaya. Bhai ki nikasi hone lagi to behan kehne lagi iski nikasi haveli ki peechhe ki deewar se hi karvao. Saamne se nahi karane doongi. Sabne khoob samjhaya par wo galiyan bakne lagi, zid karne lagi. To fir peechhe se hi nikasi karvayi. Tabhi samne ka darwaza gir gaya. Sabne kaha bhai ko behan ne bacha liya nahi to aaj mar gaya hota.
Fir behan ne kaha ki main baarat ke sath chalungi. Sabhi ne samjhaya ke ladies barat mein nahi jaati aur tu is tarah galiyan degi to accha nahi lagega. Par wo nahi maani aur sath gayi. Raaste mein rest ke liye baarat bad ke tree ke neeche rukne lagi to behan kehne lagi ki is karamfute ki baarat ko ped ke neeche nahi thehrne doongi. Dhoop mein rest karo. Sabne samjhaya par wo nahi maani. Tang aa kar dhoop mein hi baarat ko thehraya. Tabhi ped tootkar aa gira. Sabhi baarati kehne lage ki ye kuchh to jaanti hai. Abhi ped ke neeche na jaane kitne aadmi mar jaate.
Samdhi ked war par behan ne zid ki peeche ked war par toran karo. Uska toran samne ke gate par nahi karne doongi. Aur aarti chaumukhi Deepak se nahi karne doongi. Jagmagate kheere ki thali bhar kar lao usi se aarti karenge. Baratiyon ne samdhi se kaha ki ye kahe wahi karo. Toran marte time aage ka darwaza gir gaya. Aarti karte waqt upar se saanp aa kar gira to jagmagate kheere se jal gaya. Kheere na hote to snake dulhe ko bite kar leta. Fir behan zid karke feron mein saath baithi. Do fere hote hi saanp aaya. Behan ne saanp kea age kaccha doodh ka karwa rakhwa diya. Saanp doodh peene laga to behan ne use taant se baandh kar handi mein daal kar dhakkan laga kar god eke neeche daba diya aur kaha ab relax ho kar fere karo. Usi samay nagin aayi aur kehne lagi ki paapan, hatyaran, chhod mere saanp ko. Behan ne kaha, tu to ek ghadi hi dukhi ho gayi. Meri to chhe bhabhi kab se dikhi baithi hai. Sarpani ne kaha ki ja unko chhoda. Is tarah se behan ne saare bhai jeevit karva liye fir saanp ko chhoda.
Behan apne saaton bhai-bhabhiyon ko lekar baarat ke sath ravana hui. Raste mein hi doobri sate aa gayi to behan ne kaha ki sabke doobri saate ki pooja karwaongi, kahani kahoongi aur par tayyari kaise karoon. Behan ne gaadi rukwayi, neeche utri to dekha ki paata wahin manda pada hai. Ber k aped laga hai. Bheege moth aur puja ki samagri padi hai. Behan ne saaton bhabhiyon ke sath pooja ki. Kaanta fasa aur kahani kahi. Fir bheege moth se sabne bayna nikala. Behan ne bhabhiyon se kaha hamesha bhado sudi dubdi saate ki puja karna, kaanta fasna aur puja karna, katha kehna. Udhar sahukar sahukarni chhat par chadkar barat ka wait kar rahe the. Tabhi paniharino ne aakar bataya ki welcome ki tayyari karo, teri beti bhai, bhabhiyon ko lekar aa rahi hai. Sahukar sahukarni bole, tane maarti ho ya Mazak karti ho? Paniharinon ne kaha ki hum sach keh rahe hain.
Welcome hote hi behan ne kaha ki maa main apne gaon ja rahi hoon. Mother ne kaha, beti kuchh din apni bhabhiyon ke sath raho. Sister boli ki ma poot palne mein, sai sej mein, gaye gawade, bhais bade, chhachh billowed aur doodh chulhe par chhodkar daudi chali aayi thi. Mere kaam bahut hain main nahi ruk sakti. Bhaiyon ne behan ko bahut kuchh de kar sasural pahucha diya. Doobdi saate mata ne jaise unka bhala kiya waise sabka karna. Kahani kehne aur sunne walon ka bhi bhala karna.

Iske baad bindayak ji ki kahani kahen.

Thursday 9 June 2016

Bach Baras / Govatsa Dwadashi Puja Process / Vidhi in Hindi | Bachh Baras Katha/Story/Kahani in Hindi

Bach Baras / Govatsa Dwadashi Puja Process / Vidhi in Hindi | Bachh Baras Katha/Story/Kahani in Hindi

According to hindu calendar bach baras or govatsa dwadashi is celebrated in bhadwa month. It comes on bhadwa badi baras. Women keep fasting and do pooja for well-being of their sons or to have son as a child. Cow and calf is worshipped on this day that’s why it is named bach( bacchda – calf) baras.
Bach Baras Puja Vidhi in Hindi

Is din ek pate par mitti se bach baras mandte hain. Is maande hue pate par water, bhains ke curd, bhigoye hue moth-bajra, moi ( bajre ka aata ghee, cheeni, paani se mal kar), roli, rice, doob, thandi roti aur dakshina (rupees) chadhayein. Fir kahani sunte hain. Moth, bajra aur rupees par bayena nikal kar mother-in-law ko pair chhoo kar dete hain. Apni behan, betiyon ko bhi bayena bhejein. Is din thandi roti khate hain. Cow milk, curd aur wheat, rice nahi khate. Bachh baras ki pooja karne ke baad, apne unmarried ladke ki nabhi par sabiya bana kar ke dahi, moth, bajra, aur ek rupya rakh kar fudadka karte hain. Is din kuchh kata hua nahi khate. Bach Baras beta hone ke baad karte hain.

Bach Baras / Govatsa Dwadashi ka Udyapan Vidhi in Hindi
Jis saal beta ho us saal bach baras ka ujman/udyapan karte hain. Baaki pooja to har saal ki tarah hi karte hain, sirf ek thali mein sawa ser bhigoye hue moth-bajra ki ek thali mein terah kuddi karein. Do do mutthi moi(bajre ka aata ghee, cheeni, paani se mal kar) aur do do slices kheere ki terah kuddi par rakhein. Uske upar ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ma ko pair chhoo kar dein. Baad mein geet gaate hue joda poojne jayein. Gath jode ki pooja sab samagri se karein, feri dein aur geet gaate hue wapis aayein.

Bach Baras / Govatsa Dwadahi Story/Katha in Hindi
Ek sahukar tha. Uske seven bête aur bahut saare pote the. Sahukar ne ek talaab banwaya tha. Banwaye hue twelve years hog aye lekin fir bhi usmein paani nahi aaya. To usne pandit ko bula kar reason poochha. Pandit bola, ki ya to tum apne bade bête ya bade pote ki bali doge tabhi ye talaab bharega. Tab sahukar ne apni badi bahu ko to peehar bhej diya aur bade pote ki bali de di. Itne mein garajti barasti badly aayi aur talaab bhar gaya. Fir bach baras aayi to sab bole apna talaab bhar gaya hai, iski pooja karne chalo. Jane lag gaye to apni dasi ko bole ki gehun la ke paka lena aur dhatula ko bichha dena. Gehula aur dhatula unki gay eke bachde ka bhi naam tha. To usne unhe paka diya. Wahan par sahukar aur sahukarni ne gaje-baje se talaab ki pooja ki. Sahukar ke bade bête ki bahu bhi peehar se talaab ki pooja larne aa gayi. Pooja karne ke baad jab bachhon ke fudadka karne lage to jiski bali di thi wo pota bhi gobar mitti mein lipta hua talaab se nikal kar bola ki mere bhi fudadka karo. Tab saas bahu ek doosre ko dekhne lagi. Saas ne bahu ko bali dene wali saari baat bata di aur kaha ki bachbaras maata ne apna sat rakha hai aur pota wapas diya hai. Jab wo ghar aaye to dekha ki dasi ne bachhdon kop aka diya. Tab sahukar bola ki paapni ek paap to hum utar kar aaye hain aur tune doosra laga diya. Sahukar ne rande hue bachhe ko mitti mein gaad diya aur mooh ke bal pad gaye. Evening ko gaye char kar aayi aur apne bachhe ko nahi dekh kar zameen khodne lagi. To bachhda mitti gobar mein lipta hua aa gaya. Sab ne sahukar ko bola kit ere bachhde aa gaye. Sahukar ne dekha to bachhde doodh peete hue aa rahe the. Sahukar ne village mein elaan karwa diya ki sab beton ki mothers bach baras karo aur talaab ki pooja karo. He ‘Bachbaras’ mata jaisa sahukar sahukarni ko diya waisa haemin bhi dena. Kehta, suntan , hunkara bharte diyo.

Iske baad bindayak ji ki kahani kehte hain.

Wednesday 8 June 2016

Naga/Naag/Nag Panchmi Puja Process/Vidhi and Story | Kahani in Hindi

Naga/Naag/Nag Panchmi Puja Process/Vidhi and Story | Kahani in Hindi
Today I will tell How to do Nag Panchmi puja in Hindi. Also I will tell the significance of Nag panchmi and its story.

Saawan/ Shravan ke mahine mein Krishna panchmi ko ‘Nag Panchmi’ kehte hain. Kahin kahin yeh tyohaar shravan shukla panchmi ko bhi manaya jaata hai. Jyotish ke according panchmi tithi ke swami nag hain. Ye usually July ya August month mein aati hai. Usually ye hariyali Teej ke two days ke baad aati hai. Is din kisan khet nahi jotte. Aisa maana jaata hai ki is din ki gayi puja seedhe nag devta ke paas pahunchti hai. Aur agar wo prasanna hain to nag haemin koi nuksaan nahi pahuchate.

Process/ Vidhi of Nag Panchmi Puja in Hindi
Ek pate par jevdi(rope) se saat ganth(knots) ka saanp bana kar rakhte hain. Kucch log aate mein haldi mix karke nag banate hain ya deewar par nag mand lete hain. Saanp ki jal(water), kaccha milk, moi(baajre kea ate mein ghee aur cheeni milakar), bheega hua moth-bajra, roli, chawal, thandi roti aur dakshina chadhakar puja karni chahiye. Nag ko khushboo wale flowers bhi pasand hote hain. Wo bhi chadhayein. Iske baad Nag panchmi ki kahani sune. After that, moth-bajra aur rupyon par bayna nikal kar mother-in-law ko dein. Apni behan betiyon ko bhi bayna nikal kar bhejen. Is din you should call your daughters at home.

Story/Kahani of Nag Panchmi in Hindi
Ek sahukaar(businessman) tha. Uske saath son aur saat bahu thi. Six bahuon ke to peehar the par seventh ka nahi tha. Wo pregnant hui. Uske pehar to tha nahi jo ghevar late. Use ghevar khane ki iccha ho rahi thi. Wo ek chhota tukda pani bharne gayi tab ghar se le gayi. Tree ke neeche ghevar rakh diya. Usne soch pani bhar ke aaram se ghevar khaungi. Pani bhar kar ghevar lene gayi to wahan ghevar nahi tha.

Tree ke paas ek bambi(snake hole) thi. Usmein ek naagin rehti thi. Wo bhi pregnant thi. Ghevar dekhkar nagin ki iccha bhi use khane ki hui. Usne ghevar kha liya aur socha ki sahukar ke bête ki bahu agar gali degi to use kaat khaungi aur agar kucch nahi bolegi to uska peehar bas doongi. Sahukar ki bahu ne dekha ki ghevar nahi hai to wo boli ki ‘bechari koi mere jaisi hogi so kha gayi hogi. Koi baat nahi.’ Nagin bahut happy hui. Usne apne beton ko sab bata kar kaha ki wo insan ka roop bana kar jayen aur sahukar ke bête ki bahu ko lekar aayein. Nagin ke bacche insan ka roop banakar sahukar ke ghar gaye aur sahukar ki patni se kaha ki ‘hum apni behen ko lene aaye hain, bhej do’. Mother-in-law boli ki ‘itne din kahan the? Pehle to kabhi aaye nahi!’ Nagin ke ladke ne kahan ki aapki bahu bhi haemin nahi pehchanti. Jab uska birth hua tab hum nani ke the aur marriage hui tab hum pardes kamane gaye the. Wo log apni behen ki saas aur jethaniyon ke liye bahut si jewellery, clothes aur sweets le kar aaye the. Mother-in-law was very happy.
Mother-in-law ne bahu ko bhej diya. Bambi ke paas pahuch kar unhone kaha ki behen hum saanp hain. Tumhara ghevar hamari mother ne khaya tha. Unhone tumhe apni beti mana hai. Isliye tum hamari sister hui. Tum hamari tail pakd lo. Darna mat. Wo tail pakad kar bambi mein chali gayi. Wahan unhone use bahut ssuchaur aaram se rakha. Wahin usne ek ladke ko janm diya. Jab uska ladka thoda bada hua to ek neighbour ne use sikha diya ki agar teri maa tujhe itna pyar karti hai to teri maa se kehna ki aaj to saanpon ko doodh main hi pilaongi. Padosan ka tana use sehan nahi hua. Wo apni mother se zid karke snakes ka doodh thanda karne lagi. Milk abhi thanda nahi jua tha ki uske son ne bell baja di. Bell sunte hi chhote bade sab saanp doodh peene daud pade. Doodh mein mooh dalte hi bahuton ka mooh jal gaya. Wo angry ho kar bole ki hum ise kaatenge. Mother said ki ise mat kato yeh tumhe ashish degi. Sahukar ki beti boli – ‘Jeeyo Mhara Naag Nagini, Jeeyo Mhara Khandya Bandya Beer| Beer Uthave Dikhdheero Cheer, Cheer to faat Pan, Khandya Bandya Beer Jeevta Rahe|’

Kuch din baad padesan ne taana maara, teri maa agar tera vishwas karti to tujhe saatve kothe ki key deti. Usne zid karke maa se satve kothe ki chabi le li. Lock khola to dekha baba nag jal mein jhool raha tha. Usne kaha ‘baba aap to mere father hain’. Aur boli – ‘Jeeyo Nag Nagini| Jeevo Baasuki Nag|’

Nag devta ne usko nine crores ka necklace de diya. Maa ne apne sons se kaha ‘ bai to ab bade gharon mein hath dalne lagi hai. Ise ghar pahucha do’. Unhone ne sahukar ke bête ki bahu ko khoob sare gehne aur kapde diye aur ghar pahucha diya. Thode din baat uska baccha jhadu tod raha tha. Tai ne kaha jhadu mat tod aur itna todne ka shauk hai to tere nama-mama ke yahan se laya hota. Saapon ne sun liya. Ma se ja kar kaha. Ma ne kaha ki do gold ki broom banwao, do silver ki banwao aur de aao. Taiyan dekhkar jealous ho gayi. Kehne lagi ise to tane marne se bhi dhan badhta hai.
Chhoti jethani lakdi lene gayi to wahan saanp tha. Usne socha ki sabse chhoti ko bhejna chahiye. Saanp use kha jayega to musibat mit jayegi. Chhpti bahu lakdi lene gayi to wahan snake baitha tha. Boli bhaiya ram ram. Snake ke jhat bichhuye de diye. Pehenkar chham chham karti chali aayi. Jethaniyan dekhkar jealous ho gayi.

Unhone uske pati ko jab wo shop se aaya to sikha diya ki teri wife ki sanp bicchhuon se friendship hai. Sahukar ka beta apni bahu se raat ko kehne laga ki sach sach bata ki saanp bicchoo tere kya lagte hain. Wo tujhe kaatne ke bajaye jewellery dete hain. Fir usne sari baat husband ko batayi. To wo bola ki to kyat ere bhai bhatije tujhe hi bulate hain. Kabhi apne jawai yani mujhe to bulate nahi.

One kone mein chhupe snakes ne ye baat sun li to apni maa se jakar kaha. Ma ne kaha ki dono ko bukao. Insan ka roop rakhkar snakes dono ko aur bacche ko bula le gaye. Khoob kapde gehne rupees dekar teeno ko vida kiya. Jaisa peeharvasa ka such bahu ko mila bhagwan waisa sab ko de. Iske baad Bindayak ji/ Ganesh ji ki kahani kahen.