Naga/Naag/Nag Panchmi
Puja Process/Vidhi and Story | Kahani in Hindi
Today I will tell How to do Nag Panchmi puja in Hindi. Also
I will tell the significance of Nag panchmi and its story.
Saawan/ Shravan ke mahine mein Krishna panchmi ko ‘Nag
Panchmi’ kehte hain. Kahin kahin yeh tyohaar shravan shukla panchmi ko bhi
manaya jaata hai. Jyotish ke according panchmi tithi ke swami nag hain. Ye usually
July ya August month mein aati hai. Usually ye hariyali Teej ke two days ke
baad aati hai. Is din kisan khet nahi jotte. Aisa maana jaata hai ki is din ki
gayi puja seedhe nag devta ke paas pahunchti hai. Aur agar wo prasanna hain to
nag haemin koi nuksaan nahi pahuchate.
Process/ Vidhi of Nag
Panchmi Puja in Hindi
Ek pate par jevdi(rope) se saat ganth(knots) ka saanp bana
kar rakhte hain. Kucch log aate mein haldi mix karke nag banate hain ya deewar
par nag mand lete hain. Saanp ki jal(water), kaccha milk, moi(baajre kea ate mein
ghee aur cheeni milakar), bheega hua moth-bajra, roli, chawal, thandi roti aur
dakshina chadhakar puja karni chahiye. Nag ko khushboo wale flowers bhi pasand hote
hain. Wo bhi chadhayein. Iske baad Nag panchmi ki kahani sune. After that,
moth-bajra aur rupyon par bayna nikal kar mother-in-law ko dein. Apni behan
betiyon ko bhi bayna nikal kar bhejen. Is din you should call your daughters at
home.
Story/Kahani of Nag
Panchmi in Hindi
Ek sahukaar(businessman) tha. Uske saath son aur saat bahu
thi. Six bahuon ke to peehar the par seventh ka nahi tha. Wo pregnant hui. Uske
pehar to tha nahi jo ghevar late. Use ghevar khane ki iccha ho rahi thi. Wo ek
chhota tukda pani bharne gayi tab ghar se le gayi. Tree ke neeche ghevar rakh
diya. Usne soch pani bhar ke aaram se ghevar khaungi. Pani bhar kar ghevar lene
gayi to wahan ghevar nahi tha.
Tree ke paas ek bambi(snake hole) thi. Usmein ek naagin
rehti thi. Wo bhi pregnant thi. Ghevar dekhkar nagin ki iccha bhi use khane ki
hui. Usne ghevar kha liya aur socha ki sahukar ke bête ki bahu agar gali degi
to use kaat khaungi aur agar kucch nahi bolegi to uska peehar bas doongi. Sahukar
ki bahu ne dekha ki ghevar nahi hai to wo boli ki ‘bechari koi mere jaisi hogi
so kha gayi hogi. Koi baat nahi.’ Nagin bahut happy hui. Usne apne beton ko sab
bata kar kaha ki wo insan ka roop bana kar jayen aur sahukar ke bête ki bahu ko
lekar aayein. Nagin ke bacche insan ka roop banakar sahukar ke ghar gaye aur
sahukar ki patni se kaha ki ‘hum apni behen ko lene aaye hain, bhej do’. Mother-in-law
boli ki ‘itne din kahan the? Pehle to kabhi aaye nahi!’ Nagin ke ladke ne kahan
ki aapki bahu bhi haemin nahi pehchanti. Jab uska birth hua tab hum nani ke the
aur marriage hui tab hum pardes kamane gaye the. Wo log apni behen ki saas aur
jethaniyon ke liye bahut si jewellery, clothes aur sweets le kar aaye the. Mother-in-law
was very happy.
Mother-in-law ne bahu ko bhej diya. Bambi ke paas pahuch kar
unhone kaha ki behen hum saanp hain. Tumhara ghevar hamari mother ne khaya tha.
Unhone tumhe apni beti mana hai. Isliye tum hamari sister hui. Tum hamari tail
pakd lo. Darna mat. Wo tail pakad kar bambi mein chali gayi. Wahan unhone use
bahut ssuchaur aaram se rakha. Wahin usne ek ladke ko janm diya. Jab uska ladka
thoda bada hua to ek neighbour ne use sikha diya ki agar teri maa tujhe itna
pyar karti hai to teri maa se kehna ki aaj to saanpon ko doodh main hi
pilaongi. Padosan ka tana use sehan nahi hua. Wo apni mother se zid karke
snakes ka doodh thanda karne lagi. Milk abhi thanda nahi jua tha ki uske son ne
bell baja di. Bell sunte hi chhote bade sab saanp doodh peene daud pade. Doodh mein
mooh dalte hi bahuton ka mooh jal gaya. Wo angry ho kar bole ki hum ise
kaatenge. Mother said ki ise mat kato yeh tumhe ashish degi. Sahukar ki beti
boli – ‘Jeeyo Mhara Naag Nagini, Jeeyo
Mhara Khandya Bandya Beer| Beer Uthave Dikhdheero Cheer, Cheer to faat Pan,
Khandya Bandya Beer Jeevta Rahe|’
Kuch din baad padesan ne taana maara, teri maa agar tera
vishwas karti to tujhe saatve kothe ki key deti. Usne zid karke maa se satve
kothe ki chabi le li. Lock khola to dekha baba nag jal mein jhool raha tha. Usne
kaha ‘baba aap to mere father hain’. Aur boli – ‘Jeeyo Nag Nagini| Jeevo Baasuki Nag|’
Nag devta ne usko nine crores ka necklace de diya. Maa ne
apne sons se kaha ‘ bai to ab bade gharon mein hath dalne lagi hai. Ise ghar
pahucha do’. Unhone ne sahukar ke bête ki bahu ko khoob sare gehne aur kapde
diye aur ghar pahucha diya. Thode din baat uska baccha jhadu tod raha tha. Tai ne
kaha jhadu mat tod aur itna todne ka shauk hai to tere nama-mama ke yahan se
laya hota. Saapon ne sun liya. Ma se ja kar kaha. Ma ne kaha ki do gold ki
broom banwao, do silver ki banwao aur de aao. Taiyan dekhkar jealous ho gayi. Kehne
lagi ise to tane marne se bhi dhan badhta hai.
Chhoti jethani lakdi lene gayi to wahan saanp tha. Usne socha
ki sabse chhoti ko bhejna chahiye. Saanp use kha jayega to musibat mit jayegi. Chhpti
bahu lakdi lene gayi to wahan snake baitha tha. Boli bhaiya ram ram. Snake ke
jhat bichhuye de diye. Pehenkar chham chham karti chali aayi. Jethaniyan dekhkar
jealous ho gayi.
Unhone uske pati ko jab wo shop se aaya to sikha diya ki
teri wife ki sanp bicchhuon se friendship hai. Sahukar ka beta apni bahu se
raat ko kehne laga ki sach sach bata ki saanp bicchoo tere kya lagte hain. Wo tujhe
kaatne ke bajaye jewellery dete hain. Fir usne sari baat husband ko batayi. To wo
bola ki to kyat ere bhai bhatije tujhe hi bulate hain. Kabhi apne jawai yani
mujhe to bulate nahi.
One kone mein chhupe snakes ne ye baat sun li to apni maa se
jakar kaha. Ma ne kaha ki dono ko bukao. Insan ka roop rakhkar snakes dono ko
aur bacche ko bula le gaye. Khoob kapde gehne rupees dekar teeno ko vida kiya.
Jaisa peeharvasa ka such bahu ko mila bhagwan waisa sab ko de. Iske baad
Bindayak ji/ Ganesh ji ki kahani kahen.
No comments:
Post a Comment
Feel free to express.