How to do Gangaur Puja! Vidhi of Gangaur Puja in Hindi!
Gangaur is primarily a festival
of Rajasthan. Married and unmarried women celebrate it in the month of Chaitra.
Aaj main aap sabhi ko is tyhaar
ke bare mein detail mein bataongi. ‘Gangaur’ – yeh shabd ‘Gan’ aur ‘Gaur’ , do
shabdon se bana hai. Ye chaitra shukla teej ke din aati hai. Gan ka arth Shiv
aur gaur ka arth Parvati hota hai, Shiv ke liye ‘Isar Ji’ shabd bhi use karte
hain. Unmarried girls apne man pasand husband ko pane ke liye aur married women
akhand saubhagya pane ke liye yeh vrat karti hain. Married women 16 times aur
unmarried women 8 times gangaur poojti hain. Is pooja ko ek woman akeli nahi
karti. Ise jodon mein kiya jaata hai.
Gangaur Poojan ki Vidhi – Gangaur
poojan ke din aap sabhi mahilayein gangaur mata aur Isar ji ki pooja karein. Is
pooja ko karne ke beech mein uthte nahi hain.
·
Sabse pehle zameen par gobar aur mitti ka chauka
lagakar, doob, jwara, paate par biccha kar gangaur aur Isar ji ko virajmaan
karvayein. Ek lote mein thoda pani, ek kaudi, ek supari, ek chhalla aur ek
rupya daal kar rakhein. Gaur, isar, kaniram, rova bai ,sova bai n Malan ki
moorti bana kar rakhein. Sab ke liye ornaments bhi bana sakte hain. Wheat flour
mein thodi haldi mila kar ring, necklace, anklet, bichhiya, rakhdi, kardhani
aur bangles bana sakte hain aur unhe kumkum ki bindi laga kar saja sakte hain.
Aap chahein to ek chart paper par ek gangaur ka chart bhi bana sakti hain. Wall
par ek plain white paper bhi lagayein.
·
Gangaur ko phoolon se sajakar jal ka kalash sir
par rakh kar layein. Apne mathe par roli chawal se tilak lagayein.
·
Ab doob lein aur usmein se 7 chhoti sticks le
lein. Jo women shadi ke pehle saal gangaur pooj rahi hain unhein 16 sticks leni
chahiye. Ye sticks sab idols ke datun ke
roop mein rakhte hain. Thoda sa pani lein aur sab ke mooh par lagayein. Ye
karte samay datun ka geet gayein.
·
Thodi si doob hath mein bhi rakhein. Ab sab idols
ke bhi tilak lagayein.
·
Ab sabhi ko moli(lal dhaga) aur flowers
chadhayein. Fruits bhi chadha dein. Chahein to dakshina (money) bhi arpit kar
sakte hain.
·
Daily ek tiki (bindi) roli aur kajal lagayein
aur geet gayein. Jo mahilayein keval akhiri din gangaur pooj rahi ho, wo ek
sath 16 tiki roli, mehandi aur kajal ki lagayein. Roz poojne wali last din
mehandi ki tiki bhi laga de.
·
Roz ki pooja mein is ke baad saver ka geet
gayein. Fir ‘jhunwara’ ka geet gayein.
·
Gangaur wale din aur baki din bhi iske baad ‘Aarti’
karein. Aarti karte time aarti gaate rahein.
·
Fir lota le. Thodi thodi doob aur jhunwara haath
mein le kar jode apni chhoti ungi ek doosre se pakad le. Fir ‘El khel’ ka geet
gate hue dub aur jhunwara ko pani mein dip karein aur moortiyon ke paas
daalein.
·
Ab aapko kahani kehni hai. Iske liye haath mein
wohi doob aur jhunwara rakhein. Gangaur mata ki kahan kehte hue doob aur
jhunwara ko pani mein dip karte jayein aur apne doosre haath mein pani ke moti
banate jayein. Jab kahani finish ho jaye to ye doob aur jhunwara chadha dein. Dhodi
si doob aur jhunwara apni banges ke bhi bandh lein.
·
Iske baad ‘seethna’ gayein. Fir chaar ‘badhawa’
gayein.
·
Fir pani ka lota le kar ghoomte hue pani giraye
ki pani ka ek circle ban jaye.
·
Gangaur mata ko 16 ( unmarried) ya 8(married)
mithai( maida ki bani meethi papdi) chadhayein. Inmein se aadhe ya unke bhi
aadhe Prasad ki tarah utha lein.
·
Fir mithai aur rupayon par kalapna nikal kar
sasuji ko dein.
·
Poojan ke baad din mein gangaur ko jal pilakar
vida karein. Jiske liye vidai ke geet gate huye gangaur ko mishthan aadi dahej
ke sath, isarji ke sath nadi, talab mein visarjan karte hain. Poojan se 16-17
din pehle gangaur ko peehar aayi hui maante hain aur teej ke din visarjan karke
unko sasural bhejte hain. Isliye visarjan se pehle Vidai ke geet gaye jate hain
aur visarjan ke baad women badhave ke geet gate hue wapas aati hain.
Gangaur poojne se pehle din
mehandi zaroor lagayein.
Poojan karte time kahan sunne se
pehle ye geet gayein –
Gor-gor gomti, isar pooje
parvati.
Parvati ka aala geela, gor ka son
aka teeka,
Teeka de tamke de, bala rani vrat
karyo.
Karta karta aas aayo, maas aayo.
Khere khande laadu lyayo, laadu
le veera ne diyo,
Veero mane paal di, paal ko main
vrat karyo.
San man sola, saat kachola, isar
gaura danyu joda,
Jod jawaran gehu gyara, rani
pooje raaj ne.
Me mhaka suhag ne, rani ko raaj
badhto jaaye, mharo suhag badhto jaye.
Kidi kidi kidi le, kidi thari
jaat hai.
Jaat hai Gujarat hai, gujratan ro
pani, de de thamba tani,
Tani mein singhada, badi mein bhi
joda.
Mharo bai emlyo, khemlyo, laadu
lyo, peda lyo sev lyo singhada lyo, jhar jharti jalebi lyo, hari hari doob lyo,
gangaur pooj lyo.
-Ye song 8/16 baar beloin.
Last mein – Ek lyo, do lyo, teen
lyo, chaar lyo, paanch lyo, chhe lyo, saat lyo, aath lyo.
Yadi aap ko koi bhi baat poochni
hai to aap comment kar sakte hain.
Thank you.
All Pooja items available for best price +91 9000666149 / 9000777149
ReplyDeletehttp://www.poojadhravyam18.com/
all pooja
pooja
ganesh pooja
flipkart pooja items
buy pooja thali
diwali pooja samagri list