Monday, 11 March 2013

Mera Naam Joker(1970) - Aye Bhai Zara Dekh Ke Chalo!

Very nice lyrics from the movie Mera Naam Joker(1970).

Singer(s): Manna Dey
Music Director:Shankar Jaikishan
Lyricist:Neeraj

Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai

Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai

Tu jahan aaya hai
 wo tera ghar nahi gaanv nahi
Gali nahi kucha nahi
 rasta nahi basti nahi
Duniya hai
 aur pyare
 duniya ye ek circus hai
Aur is circus mein
 bade ko bhi chhote ko bhi
Khare ko bhi khote ko bhi
 mote ko bhi patle ko bhi
Neeche se upar ko
 upar se neeche ko
Aana jana padta hai
Aur ring master ke kode par
Koda jo bhook hai
 koda jo paisa hai
Koda jo kismat hai
Tarah tarah naach kar
 dikhana yahan padta hai
Baar baar rona aur gaana yahan padta hai
Hero se hero se joker ban jana padta hai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai

Girne se darta hai kyun
 marne se darta hai kyun
Thokar tu tak jab na khayega
Paas kisi gham ko na jab tak tu bulayega
Zindagi hai cheez kya nahi jaan payega
Rota hua aaya hai rota chala jayega
Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai

Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai
Kya hai karishma kaisa khilwad hai
Jaanwar aadmi se zyada wafadaar hai
Khata hai koda bhi rehta hai bhookha bhi
Fir bhi wo maalik par karta nahi vaar hai
Aur insaan ye maal jiska khata hai
Pyar jisse pata hai geet jiske gaata hai
Usi ke hi seene mein bhokta kataar hai
Maal jiska khata hai
Pyar jisse pata hai geet jiske gaata hai
Usi ke hi seene mein bhokta kataar hai
Aye bhai
Aye bhai zara dekh k chalo
Aage hi nahi peeche bhi
Daayein hi nahi baayein bhi
Upar hi nahi neeche bhi
Aye bhai

Haan babu ye circus
Aur ye circus hai show teen ghante ka
Pehla ghanta bachpan hai dusra jawani hai
Teesra budhapa hai
Aur uske baad maa nahi baap nahi
Beta nahi beti nahi tu nahi main nahi
Ye nahi wo nahi kuchh bhi nahi rehta hai
Rehta hai jo kuchh wo khali khali kursiyan hain
Khali khali tambu hai khali khali ghera hai
Bina chidiya ka basera hai na tera hai na mera hai

No comments:

Post a Comment

Feel free to express.