Doobdi/Doobri
Saate/Aathe / Durvashtmi Puja Vidhi in Hindi | Doodi Saate Kahani in Hindi
Hello Friends,
Today I am going to tell you about a festival named doobdi
saate. It is mostly celebrated in Rajasthan. Some celebrate it on saptmi tithi
of bhadrapad shukla paksha while others on ashtmi tithi. It is also known as
durvashtmi for those who celebrate it on ashtmi.
Doobdi Saate/Aathe
Puja Process in Hindi
Is din thandi roti khate hain. Ek paate par mitti se doobri
saate maand kar, water, milk, roli, rice, flowers, moi ( bajre ka aata aur
ghee, sugar aur paani se osan kar), bhigoye hue moth-bajre se pooja karein aur
dakhshina chadhayein. Fir doobri saate ki katha sunein. Moth-bajra, rupees rakh
kar bayna nikalein. Bajre ki moi mein ek kaanta rakh kar khayein. Iske baad
bayna nikal karmother-in-law ko bayna nikal kar dein. Apni behan betiyon ke bhi
bayna nikalne ke liye bhejein.
Doobdi saate ka
Udyapan/Ujman
Jis year ladki ki marriage hoti hai, us year us ladki se
doobri saate ka ujman karate hain. Baaki to puja ki vidhi upar likhi hai waise
hi karein. Bas bayna nikalte time ek thali mein terah kuddi bhigoye hue moth
bajra ki, ek tiyal aur rupees rakh kar sasu ji ko pair chhoo kar dein.
Doobdi Saate/ Ashtmi
ki Story/ Katha
Ek sahukar ke saat bête the, uske bête bade hue to sabse
bade bête ki shaadi fix kar di. Muhurt nikalwaya to wo diibri saate ka nikla.
Feron ke time use ek snake aa kar das gaya, isi tarah sahukar ke six bête feron
mein naag ke dase jane se maare gaye.
Last mein satve bête ki shaadi fix hui. Ladke ki behan kisi
village mein rehti thi. Use lene gaye. Use lekar jab wapis aane lage to sister
ko pyas lagi aur wo paani peene well par gayi. Wahan ek old woman kuchh bana
rahi thi aur bigad rahi thi. Behan ne poochha tum kaun ho aur kya kar rahi ho? Wo
boli ki main bemata hoon aur ek sahukar ke satve bête ki shadi hai. Six to mar
chuke hain saatva marne wala hai so uske liye dhakni de rahi hoon. Behan ne
poochha ki wo kisi tarah bach sakta hai kya? Bemata ne kaha ki haan agar uske
door paas ki behan, bua jo doobri saate ki pooja karti ho. Veh ulte ulte neg
kare, gali nikale, karad kose yani har tarah ke apshagun kare aur baarat mein
sath jaye aur teli se taant laye, kumhar se handi, dhakkan laye aur kacha karva
laye aur feron mein naag dasne aaye to use kache karve mein doodh pilaye. Wo peene
lage to haandi mein band karke dhakkan laga kar taant se baandh le to kaal ki
yeh ghadi tal sakti hai. Behan usi samay galiyan bakti hui bhai ke paas
pahunchi. Bhai bola behan tu gayi tab to acchi thi, aayi to galiyan bak rahi
hai. Koi bhoot pret to nahi lag gaya. Ram Ram karte ghar pahuche. Bhai ka baan
baithne laga to behan ne kaha ki is karamphute ka baan chowki par na baithakar
silla par baithaongi. Zid karne lagi to baan silla par baithaya. Bhai ki nikasi
hone lagi to behan kehne lagi iski nikasi haveli ki peechhe ki deewar se hi
karvao. Saamne se nahi karane doongi. Sabne khoob samjhaya par wo galiyan bakne
lagi, zid karne lagi. To fir peechhe se hi nikasi karvayi. Tabhi samne ka
darwaza gir gaya. Sabne kaha bhai ko behan ne bacha liya nahi to aaj mar gaya
hota.
Fir behan ne kaha ki main baarat ke sath chalungi. Sabhi ne
samjhaya ke ladies barat mein nahi jaati aur tu is tarah galiyan degi to accha
nahi lagega. Par wo nahi maani aur sath gayi. Raaste mein rest ke liye baarat
bad ke tree ke neeche rukne lagi to behan kehne lagi ki is karamfute ki baarat
ko ped ke neeche nahi thehrne doongi. Dhoop mein rest karo. Sabne samjhaya par wo
nahi maani. Tang aa kar dhoop mein hi baarat ko thehraya. Tabhi ped tootkar aa
gira. Sabhi baarati kehne lage ki ye kuchh to jaanti hai. Abhi ped ke neeche na
jaane kitne aadmi mar jaate.
Samdhi ked war par behan ne zid ki peeche ked war par toran
karo. Uska toran samne ke gate par nahi karne doongi. Aur aarti chaumukhi Deepak
se nahi karne doongi. Jagmagate kheere ki thali bhar kar lao usi se aarti
karenge. Baratiyon ne samdhi se kaha ki ye kahe wahi karo. Toran marte time
aage ka darwaza gir gaya. Aarti karte waqt upar se saanp aa kar gira to
jagmagate kheere se jal gaya. Kheere na hote to snake dulhe ko bite kar leta. Fir
behan zid karke feron mein saath baithi. Do fere hote hi saanp aaya. Behan ne
saanp kea age kaccha doodh ka karwa rakhwa diya. Saanp doodh peene laga to
behan ne use taant se baandh kar handi mein daal kar dhakkan laga kar god eke neeche
daba diya aur kaha ab relax ho kar fere karo. Usi samay nagin aayi aur kehne
lagi ki paapan, hatyaran, chhod mere saanp ko. Behan ne kaha, tu to ek ghadi hi
dukhi ho gayi. Meri to chhe bhabhi kab se dikhi baithi hai. Sarpani ne kaha ki
ja unko chhoda. Is tarah se behan ne saare bhai jeevit karva liye fir saanp ko
chhoda.
Behan apne saaton bhai-bhabhiyon ko lekar baarat ke sath
ravana hui. Raste mein hi doobri sate aa gayi to behan ne kaha ki sabke doobri
saate ki pooja karwaongi, kahani kahoongi aur par tayyari kaise karoon. Behan ne
gaadi rukwayi, neeche utri to dekha ki paata wahin manda pada hai. Ber k aped laga
hai. Bheege moth aur puja ki samagri padi hai. Behan ne saaton bhabhiyon ke
sath pooja ki. Kaanta fasa aur kahani kahi. Fir bheege moth se sabne bayna
nikala. Behan ne bhabhiyon se kaha hamesha bhado sudi dubdi saate ki puja
karna, kaanta fasna aur puja karna, katha kehna. Udhar sahukar sahukarni chhat
par chadkar barat ka wait kar rahe the. Tabhi paniharino ne aakar bataya ki
welcome ki tayyari karo, teri beti bhai, bhabhiyon ko lekar aa rahi hai. Sahukar
sahukarni bole, tane maarti ho ya Mazak karti ho? Paniharinon ne kaha ki hum
sach keh rahe hain.
Welcome hote hi behan ne kaha ki maa main apne gaon ja rahi
hoon. Mother ne kaha, beti kuchh din apni bhabhiyon ke sath raho. Sister boli ki
ma poot palne mein, sai sej mein, gaye gawade, bhais bade, chhachh billowed aur
doodh chulhe par chhodkar daudi chali aayi thi. Mere kaam bahut hain main nahi
ruk sakti. Bhaiyon ne behan ko bahut kuchh de kar sasural pahucha diya. Doobdi saate
mata ne jaise unka bhala kiya waise sabka karna. Kahani kehne aur sunne walon
ka bhi bhala karna.
Iske baad bindayak ji ki kahani kahen.