Sunday, 20 March 2016

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Puja Vidhi in Hindi! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Fast! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Kahani/Katha in Hindi!

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Puja Vidhi in Hindi! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Fast! Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda Kahani/Katha in Hindi!

Today I will tell you about all the rituals about Sheetla Mata Puja. I will tell you how to do puja, what all dishes should you make, how to keep the fast and also the story/katha of sheetla mata. All this I will tell in Hindi.

Chait badi mein holi ke 6-7 days baad Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda karte hain. Basoda ke previous day, din mein rabdi banate hain. Rabdi banana ke baad basoda ke din night tak needle hath mein nahi lete. Kundara bharne ke liye ek bada kunda, ten small kundari, ek tutti ki kari aur rabri ke liye ek handi mangakar evening ko pani mein bhigo dein. Next day thandi khane ke liye kitchen mein rabdi, bajre ki roti, sweet rice, gulgule and jo aapka man kare wo banayein. Moth aur bajra bhigoyein. Khana banne ke baad, kitchen mein wall par ghee ka thapa de kar uske samne diya jalayein. Water, roli aur rice se puja karein. Moong rice ki aankhein daalein. Sing 5 songs for sheetla mai, one for Hanuman ji and one for Bhairuji.

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda ke din monrning mein ek thali mein rabri, roti, rice, curd, sugar, moong ki dal, bajre ki moi, paat ki aankh, badkulla ki jel( Ise banane ki vidhi ke Liye dekhein Holi puja ki Vidhi in Hindi), bheege hue moth-bajri, turmeric mein rang ke kukdi, water, roli, moli, rice, diya, dhoopbatti aur dakshina(money) dalkar sab log hath laga kar sheetla mai ke chadhayein. Sheetla mai ke jal ka kalash chadhayein. Puja kiye hue jal ko sab apni eyes par lagayein.

Churma se hanuman ji ki aur jalebi se pittar ji ki dhok de kar dono ke badkullon ki jel chadhayein. Moth, bajra, rupya par bayna nikal kar mother-in-law ke pair touch kar ke dein. Behen betiyon ke bhi baiyna nikal kar bhejein. Ek old misrani aur ek unmarried girl ko thanda khila kar, sab thanda khatein.

Agar kundara bharein, to morning to small kundara mein bheege hue moth aur bajra, rabdi, curd, sweet rice, gulgule bhar ke, holi ki jhal dikhaye hue soot se lappet kar, pisi hui turmeric se sathiya ka ke, bada kundara bhar ke rakhein. Baad mein sab ladies aur gents aur kids kundara ki puja karein. Kari mein jal aur ghee ya butter daal kar, kundara aur puja ka saman le kar, sab koi ‘Sheetla mata ke geet’ gate hue sheetla mai ke jayein. Sheetla mai ki puja karke bahar ki mai ki puja karein aur kahani sunein. Baad mein soil mein doob lagayi hui saag lekar ‘badhava’ gate hue wapis aayein. Doob pende mein rakh dein.

Agar son birth le ya son ki marriage ho, us year ujman karein. Ujman mein jitney kundare hamesha karte hain, utne hi aur karein.

Sheetla Ashtmi/Sheetla Saptmi/Basoda ki kahani/katha/story-

Ek budiya mai thi. Wo sheetla ashtmi ke din thandi roti khati thi aur sheetla mai ki puja karti thi. Village mein aur koi bhi nahi karta tha. Ek din sare village mein fire lag gayi. Poora village jal gaya par budhiya mai ki hut nahu jai. Sab log aa kar poochhne lage ki ye kya baat hai ki budhiya mai teri hut nahi jail. Budhiya mai boli ki main basoda ke din thandi roti khati hoon aur sheetla mata ki puja karti hoon isliye nahi jail. Tum sabki jal gayi. Sab koi poore village mein ye baat faila di ki sheetla ashtmi ke din aur Buddha basoda ke din sab log thandi roti khayein aur sheetla mata ki puja karein. Us din se sab log sheetla mata ki puja karne lage. He sheetla mai, jaisi budhiya mai ki protection kari waise hi sab ki karna, bal bacchon ki, hum sab ki karna.

Is ke baad bindayak ji ki kahani kahein.

Tuesday, 15 March 2016

Sampda(Sampada) Mata Ka Dora! How to take Sampda ka Dora After Holi in Hindi! Vidhi of aTaking Sampda(Sampada) ka Dora in Hindi! Sampda ki Story(Kahani) in Hindi!

Sampda(Sampada) Mata Ka Dora! How to take Sampda ka Dora After Holi in Hindi! Vidhi of aTaking Sampda ka Dora in Hindi! Sampda(Sampada) ki Story(Kahani) in Hindi!

Today I am going to tell you about the Vidhi of taking Sampda mat aka dora. Here I will tell how to take sampda mat aka dora in hindi along with katha in hindi. Here is the complete step by step process in simple language.

Chaitra Badi Ekaum yani holi ke doosre din chharandi ko ya acchi tithi vaar dekhkar sampda mat aka dora lete hain. Sampda mat aka dora holi ke poojan ke baad bachi hui samagri se hi lete hain. Usi samagri se pujan bhi karte hain. Ekam ko subah gobar mitti mila kar ya keval mitti mein thode pani mein gholkar, das ghar ka chauka dena chahiye. Fir holi ki puja wali haldi ki gaanth ko silbatte par water daal kar ghis lena chahiye. Puja wali kukdi se seventeen ya nineteen taar ki lacchi bana kar usmein small gaanth laga lein. Gaanthein odd numbers mein honi chahiye. 11, 13 or 15 knots should be made. Mother in law ka dora 19 knota ka aur daughter in law ka dora usse kam 17 or 15 knots wala. Aur usse chhoti bahu ka dora usse bhi less 11 or 13 knots ka hona chahiye. Jitni gaanthe lagayi utne hi jau ke daane har dore ke near rakhe. Jiske unmarried so ho, unki 7-7 ki tagdi usi tarah lacche se banaye.  Do not tie knot. Fir un doron ko water mein ghisi hui turmeric se colour kar lena chahiye. Rice aur moong se sab doron ko jimayein. Fir un doron ki puja karein. Water ka chhinta dein, fir in doron ko snan(bath) karayein. Kanku ka chhita dena aur ten houses mein ten tiki lagana. Holi ki puja ke bache hue chawal moong se jimana. Mehandi, lacccha chadana aur water ka chhinta de kar jal pila dena. Jitney taar ka dora liya utne hi aankhein hands mein lekar story(kath) kahein ya yaad karein.

Sampda(Sampada) mata ki Kahani in hindi.
Ek nal king tha, uske damyanti naam ki queen thi. Ek din palace ke neeche ek old woman aayi jo sampda mat aka dora baant rahi thi aur story suna rahi thi. Wahan par bahut crowd ho raha tha. Sab ladies dora le rahi thi. Queen ne upar se dekha aur daasi se boli, ki eeche dekhkar aa kis cheez ki bheed ho rahi hai. To wo dekhkar aayi aur boli ki ek old woman sampda ka dora baant rahi hai. Jisse dhan laxmi hoti hai. Veh dora kacche soot ki 16 taar ki 16 gaanth dekar aur turmeric mein colour karke puja kar ke 16 naye jau ke aankhen hands mein lekar sampda mata ki kahani sunkar gale mein bandhe. Tab queen ne bhi dore ki pooja kar ke apne necklace mein bandh liye. Jab raja bahar se aaya to dora dekhkar bole. Rani aaj necklace mein kya tie kiya hua hai. To queen boli ki sampda mat aka dora baandh rakha hai. Isse wealth increase hoti hai. To raja bola ki apne paas to bahut wealth hai aur raja ne dora throw kar diya. Usi night ko dreams mein sampda mata boli, main to sampda hoon isliye ja rahi hoon. Tere money ka coal ho jayega. Morning mein uth kar jab raja ne dekha to saari wealth ka coal ho gaya. Tab king bola ki rani hum yahan par ek Brahmin ki girl ko chhod denge. Jo daily yahan par diya jala degi, pani bharegi, bhar ki brooming karegi aur ghar mein baithi rahegi. Hum doosre village mein jakar rahenge.

Jab wo talab par pahuche to raja ne wahan par two teetar rani ko la kar diye. Raja bole kit u inhe roast kar ke rakh. Main abhi naha kar aata hoon. Rani ne teetar bhoon liye. Jab dono khane baithe to teetar fly kar gaye. To raja rani apni sister ke yahan pahuche. Sister ne unhe purine ghar mein thehra diya. Us ghar mein sone ka barchhi bachhola pada tha. Wo zameen kha gayi. To raja rani se bola ki yahan se chalo nahi apne sar theft ka ilzam lag jayega. Aur wahan se dono chale gaye. Wahan se raja ke friend keg aye to unhe usne old palace mein thehra diya. Wahan par gaye to wahan sawa karod ka haar hang hua tha. Wahan par peacock bana tha. Wo us necklace ko nigal gaya. Tab raja rani se bole ki yahan se bhi chalo nahi to apne sir necklace ko chori lag jayegi. To rani boli ki kisi ke ghar jane ki bajaye forest mein lakdi kaat kar use sell kar ke hum apna pet bhar lenge. Veh ek sookhe garden mein pahuche to wo green ho gaya. Us garden ka owner bahut khush hua. Usne dekha wahan ek lady aur gents so rahe hain. Unhe jaga kar usne poocha ki tum kaun ho ki tumhare aane se 12 years se dry garden green ho gaya. Tab raja rani me kaha ki hum musafir hain. Kaam ki khoj mein aaye hain. Aur wo wahan par naukri karne lage.

Malan rani se boli ki tu sirf flowers ki mala market mein bech aaya kar. Ek din bagh ki malan katha sun rahi thi aur dora le rahi thi. Rani ne poocha to usne bataya ki ye sampda ka dora hai. Rani ne katha suni aur dora liya. Raja ne apne wife se poochha ki ye dora kiska bandha hai. To rani boli ki ye wahi dora hai jo aapne ek baar tod kar fek diya tha. Usi karan sampda devi hum par angry hai. Rani boli agar sampda maa sachhi hai to fir hamare pehle jaise din aa jayenge. Usi raat raja ko dream mein pehle ki tarah ek ady keh rahi thi, ‘main ja rahi hoon’. Doosri keh rahi thi ki main wapis aa rahi hoon. Raja ne doo ke naam pooche to aane wali ne apna naam laxmi bataya aur jaane wali boli ki main daridrata hoon. To raja ne poocha ki mujhe pata kaise chalega. Tab sampda boli ki jab morning mein well se water fill karne jayega to pehli baar jau niklenge. Doosri baar haldi ki gaathen, teesri baar mein kaccha soot niklega. Sampda mata ne unhe khoob saara dhan diya. Fir raja apni rani se bole ki ab hamare 12 years poore ho gaye aur acche din aa gaye hain, isliye hum apne ghar ja rahe hain. Tab malan ne use bahut sa dhan diya.

Wahan se wo apne friend ke yahan pahucha. To dost ne unhe apne naye mahal mein thehraya. Fir raja bole ki haemin wahin thehrao jahan pehle thehraya tha. Wahan ja kar dekha to jo necklace peacock nigal gaya tha, wo haar khooti par tanga hua tha aur unka kalank utar gaya. Wahan se wo apni sister keg aye, to behan ne unhe new palace mein thehrane ke liye kaha. Fir raja bole ki haemin wahin thehrao jahan pehle thehraya tha. Wahan par gaye to jo dhaarti barchha bachholi nigal gayi thi, veh de gayi. To raja rani se bole ki hamare din acche aa gaye hain. Wahan se raja rani sarovar ke kinare pahuche. Wahan 2 teetar dekh kar wo samajh gaye ki ye wahi teetar  hain jo ud gaye the. Wahan se wo apne palace ki taraf gayi. Unhone dekha ki jo door teda ho gaya thaw o seetha ho gaya hai. Gold ki jhari aa gayi, daatan hari ho gayi, jo Brahmin ki girl Deepak jalane ke liye chhod gaye the, use unhne apni dharm ki beti bana liya. Use bahut saara dhan de kar uski marriage kar di. Rani ne sampda mat aka ujman kiya. 16 brahmani jimayi, 16 items diye, halwa poori ki rasoi banayi. He sampda mata jaise pehle raja se roothi, waise kisi se na roothna, raja ko wapis vaibhav diya, waise sabko dena.
Iske baad bindayak(Ganesh) ji ki kahani kahiye.


Hope the information on How to take Sampda(Sampada) ka dora after holi and Sampda mata ki katha was useful. You can get information about how to doholi pooja and how to do gangaur puja on this blog.

Wednesday, 2 March 2016

Mahashivratri! Mahashivratri Vrat Vidhi in Hindi! Mahashivratri Story in Hindi! Shivratri Festival! Mahashivratri Katha!

Mahashivratri! Mahashivratri Vrat Vidhi in Hindi! Mahashivratri Story in Hindi! Shivratri Festival! Mahashivratri Katha!
Today I am going to cover the following topics in the article –
·         Mahashivaratri Festival
·         When is Shivaratri?
·         Shivratri Rituals
·         Shivaratri Celebrations
·         Shivratri Fast Vidhi
·         Shivaratri Katha in Hindi
·         Significance of Shivratri
·         Shivratri Vrat Samagri
·         Shivaratri Pooja
·         Mahashivratri Katha

Mahashivratri is celebrated on ‘Falgun Krishna Teras’ every year. In the year the Shivratri festival will be celebrated on March 7. On this day one should not eat any food and also should not sleep at night. The meaning of the word Shivratri is ‘The night of Lord Shiva’.

Shivratri ka vrat karna bahut hi uttam mana gaya hai. Jo log poori shraddha se is vrat ko karte hain kaha jata hai unhe moksh prapt hota hai. Is vrat ko karne wale ko ‘Om Namah Shivaya’ mantra bolna chahiye.  Is din anna nahi graham karna chahiya. Yadi ko poora din bhookha nahi reh sakta to use din mein ek baar ‘phalahar’ karna chahiye. Ye bhi kaha gaya hai ki mahashivratri vrat se pehle wale din bhi ek time hi khana kkhana chahiye jisse koi bhi undigested khana pet mein nahi reh jaye. Yahan par main poori Shivratri vrat ki vidhi hindi mein bata rahi hoon.
·         Sabse pehle subah jaldi uth kar naha dho kar tayyar ho jayein.
·         Fir Shiv ji aur Parvati ji ki pooja karein.
·         Mahashivratri vrat vidhi ke anusar sun set ke baad is din kuch nahi khana chahiye.
·         Pooja mein shiv ji ko ye sab shivratri vrat samagri chadhayein –
o   Milk
o   Curd
o   Sugar
o   Ghee
o   Honey
o   Panchamrit
o   Bhang
o   Fruits
o   Paan
o   Supari
o   Long
o   Elaichi
o   Moli
o   Janeu
o   Chandan
o   Roli
o   Rice
o   Flowers
o   Bel patta
o   Dhatura
o   Prasad
o   Kamakgatta
o   Dakshina
·         Shivling par chadhaye gaye flowers, fruits aur water nahi graham karna chahiye. Agar Shiv ji ke paas saligram ji ki murti ho to fruits can be eaten.
·         Fir dhoop karein aur diya jalayein.
·         Ratri jagran kar ke kisi Brahmin se puja path karana chahiye.
·         Is din thandai bhi tayyar karni chahiye aur Shiv ji ke bhog lagakar sab ko peeni chahiye.

Hope ye Mahashivratriki pooja vidhi hindi mein aapke liye useful hogi. Ab Mahashivratri ki vrat katha is prakar hai –
Mahashivratri Katha

Ek shikari tha. Wo shikar karke apne parivar ka palan karta tha. Ek baar veh forest mein ek talab ke kinare bel ke tree par hunting ke liye machan banane laga. Us ped ke neeche shivling tha. Ped ki leaves machan banate time shivling par gire. Is tarah din bhar bhuke rehne se shikari ka vrat bhi ho gaya aur shiv ling par bel patra bhi chadh gaye.
Usi samaya garbhini (pregnant) hirni talab par pani peene nikali. Shikari ne use dekh marna chaha tab veh hirni deenta se boli ‘Main garbhvati hoon. Main bacche ko birth de kar jaldi hi tumhare samne aa jaongi’. Hunter ne use chhod diya. Thodi der baar ek doosri hirni udhar se nikli. Shikari ne fir dhanush par baan chadhaya. Hirni ne kaha – ‘Hey vyaghra raj! Main thodi der pehle ritu se nivrit hui hoon. Apne husband se milne par jaldi tumhare paas wapis aa jaungi’. Shikari ne use bhi chhod diya. Night ke last pahar mein ek mrigi apne bacchon ke sath udhar se nikli. Shikari ne shikar ke liye dhanush par baan chadhaya. Tab weh mragi boli – ‘Main in kids ko inke father ke paas chhod aaon, tab mujhe maar dalna’. Shikari ko us par bhi daya aa gayi aur use chhod diya. Morning hui to ek hiran aata dikhai diya. Shikari uska shikar karne ke liye utha to hiran bola- ‘vyaghra raj! Agar tumne isse pehle teen mragiyon aur unke bacchon ko maar diya ho to mujhe bhi maar dijiye taki mujhe unka viyog na sehna pade. Main un teenon ka pati hoon. Mujh par bhi kuchh samay ke liye kripa karein. Main unse milkar tumhare samne upasthit ho jaoonga’.
                Mrag ki baat sunkar raat ki saari baatein usne mragi ko bata di. Vrat, raatri jagran aur shiv ling par bel patra chadhne se usmein bhagwad bhakti ka jagran ho gaya. Usne mrag ko chhod diya. Uska heart pure ho gaya. Apne pehle ke kaam ko yaad karke wo regret karne laga. Thodi der baad hiran with family shikari ke saamne aa gaya. Jungle pashuon ki satya priyata, satvikta aur samuhik prem bhavna dekhkar use apne par badi guilt hui. Uski eyes se aansuon ki jhadi lag gayi. Usne deer ko free kar diya. Devtaon ne aakash se us par flowers ki bearish ki. Shikari parivar sahit moksh ko prapt ho gaya. Aansu shivling par gir rahe the. Sirf itne se hi shiv ji ati prasann hog aye. Shiv ji ko jo manushya shiv ji par bilvpatra chadhata hai, puja karta hai aur vrat karta hai usse Shiv ji bahut prasann rehte hain aur moksh dete hain.