Tuesday, 27 November 2012

Zindagi Ki Yahi Reet Hai!

Quite a motivational one from the movie 'Mr. India'.

Music Director: Laxmikant Pyarelal
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Javed Akhtar

Ooh ooh, ooh ooh, ooh ooh, ooh ooh

(Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baad hi jeet hai) - 2
Thode aansu hain, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi
Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baaz hi jeet hai
Thode aansu hai, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi
Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baad hi jeet hai

Zindagi raat bhi hai, savera bhi hai zindagi - 2
Zindagi hai safar aur basera bhi hai zindagi - 2
Ek pal dard ka daanv hai
Dusra sukh bhari chhaaon hai
Har naye pal naya geet hai
Zindagi ki yahi reet hai - 3

Gham ka baadal jo chhaaye to hum muskuraate rahe - 2
Apni aankhon mein aashaaon ke deep jalaate rahe
Aaj bigde to kal phir bane
Aaj roothe to kal phir mane
Waqt bhi jaise ek meet hai
Zindagi ki yahi reet hai - 2
Haar ke baad hi jeet hai
Thode aansu hai, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi

Kasmein Wade Pyar Wafa!

A sad one from the movie 'Upkaar'.

Music Director: Kalyanji Anandji
Singer: Manna Dey
Lyricist: Indeewar

Koyi kisi ka nahi ye jhoothe,
Naate hain naato ka kya
Kasmein Wade Pyar Wafa sab,
Baatein hain baaton ka kya

Hoga masiha ...
Hoga masiha saamne tere,
Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagayega
Aasmaan mein ...
Aasmaan mein udne waale mitti mein mil jaayega
Kasmein Wade Pyar Wafa sab, baatein hain baaton ka kya

Sukh mein tere ...
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya wale ...
Duniya wale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain ...
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhodenge
Kasmein Wade Pyar Wafa sab,
Baatein hain baaton ka kya

Monday, 26 November 2012

Aaj Kehna Zaroori Hai!

A melodious romantic number from the movie 'Andaaz'.

Music Director: Nadeem Shravan
Singer: Udit Narayan, Alka Yagnik
Lyricist: Sameer

Aaj Kehna Zarori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Badi Mushkil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

(Teri Chaahate Tera Andaaz Dil Mein
Chupaye Hai Barson Se Yeh Raaz Dil Ne ) - 2
Baate Karoon Main Hamesha Tumhari
Bada Di Hai Tumne Meri Bekarari
Ab Har Pal Sindoori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

Badi Mushkil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

(Zamane Ko Peeche Kahin Chode Hum
Chalo Aaj Saari Hade Tod De Hum ) - 2
Sanam Aashiqi Ka Kaisa Asar Hai
Kaha Aagaye Hai Nahin Aab Khabar Hai
Saans Tumbin Adhuri Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Aaj Kehna Zarori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Badi Mushkuil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 4

Sunday, 25 November 2012

Aaj Kal Paon Zameen Par!

A very very lovely song from the movie 'Ghar'. A classic in the real sense.

Music Director: R D Burman
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar

aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere - 2
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jab Bhi Thama Hai Tera Hath To Dekha Hai - 2
Log Kehte Hain Ke Bas Hath Ki Rekha Hai
Humne Dekha Hai Do Taqdeeron Ko Judte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Neend Si Rehti Hai, Halka Sa Nasha Rehta Hai
Rat-Din ankhon Mein Ik Chehra Basa Rehta Hai
Par Lagi ankhon Ko Dekha Hai Kabhi Udte Huye
Bolo Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jane Kya Hota Hai Har Bat Pe Kuchh Hota Hai
Din Mein Kuchh Hota Hai Aur Rat Mein Kuchh Hota Hai
Thaam Lena Jo Kabhi Dekho Humein Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye

Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Tuesday, 20 November 2012

Bedardi Tere Pyar Ne!

A sad one in a very beautiful voice, rfom the movie 'Heena'.

Music Director: Ravindra Jain
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Ravindra Jain

Bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne

Apni khabar hain na dil ka pata
Kuch mujhe yaad nahi tere siva
Dekhoon jidhar tu hi nazar aaye dilruba
Duniya ke har khayal se begana kar diya
Duniya ke har khayal se begana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne

Kho gayi yoon tere pyar me sanam
Kahi rakhti hoon kahi pade hain kadam
Nayi khushi tadap nayi tera hai karar
Mujhko meri hi rah se anjana kar diya
Mujhko meri hi rah se anjana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne

Monday, 19 November 2012

Ghunghroo Ki Tarah!

This song has got beautiful lyrics. The movie 'Chor Machaye Shor' was really a good one.

Music Director: Ravindra Jain
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Ravindra Jain

Ghunghroo ki tarah bajta hi raha hoon main
Kabhi is pag main kabhi us pag main
Bandhta hi raha hoon main

Kabhi toot gaya kabhi todha gaya
Sau bar mujhey phir joda gaya
Yunhi toot toot ke aur mit mit ke
Banta hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajta hi raha hoon main

Main karta raha auron ki kahi
Meri baat mere man hi main rahi
Kabhi mandir main kabhi mehfil main
Sajta hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajta hi raha hoon main

Apnon mein rahe ya gairon mein
Ghunghroo ki jagah toh hai pairon mein
Phir kaisa gila jag se jo mila
Sehta hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajta hi raha hoon main

Friday, 16 November 2012

Na Jane Kya Hua!

A wonderfully sung song from the movie 'Dard'.

Music Director: Khayyam
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Shakeel Badayeuni

Na jane kya hua, jo tune chhoo liya - 2
Khila gulab ki tarha mera badan
Nikhar nikhar gayei, sanvar sanvar gayei - 2
Banake aina tujhe, aye janeman
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Bikhra hai kajal fiza mein, bhigi bhigi hai shamein
Boondo ki rim jhim se jagi aag thandi hawa mein
Aja sanam, yeh hasin aag hum lein dil mein basa
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Anchal kahan, main kahan hoon, yeh mujhe hosh kya hai
Yeh bekhudi tune di hai, pyar ka yeh nasha hai
Sunle zara saz-e-dil ga raha hai nagma tera
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Kaliyon ki ye sej maheke, rat jage milan ki
Kho jaye dhadkan mein teri dhadkanen mere man ki
Aa paas aa, teri har saans mein main jaoon sama
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya
Khila gulab ki tarha mera badan
Nikhar nikhar gayei, sanvar sanvar gayei
Banake aina tujhe aye janeman
Na jane kya hua, jo tune chhoo liya

Bhula Diya!

A sad number from the movie 'Dus Kahaniyan'.

Music Director: Strings, Anu Malik, Anand Raj Anand, Bappi Lahiri, Shibani Kashyap,
Shafqat Ali Khan
Singer: Anand Raj Anand
Lyricist: Gulzar

Kabhi aayaton mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe - 2
Kabhi dil se tujhko pukaar ke, koyi sher apna suna diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Yeh ajeeb ishq ke khel hai, jahaan lajjaton mein kami nahi - 2
Kabhi maine tujho hasa diya - 2, kabhi tune mukjko rula diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Bekhudi mein maza aa raha hai bada, (dil tabaah hai to kya - 2)

Teri raah se jo nikal gaye, woh deewaane banke machal gaye - 2
Kabhi humne ki teri arzoo - 2, toh bata de yeh kya gunaah kiya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Kabhi aayaton mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe - 2
Kabhi dil se tujhko pukar ke, koyi sher apna suna diya
Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya - 2

Thursday, 15 November 2012

Kahin Karti Hogi Wo Mera Intezar!

Quite a happy-go-lucky song from the movie 'Phir Kab Milogi'.

Music Director: R D Burman
Singer: Mukesh
Lyricist: Majrooh Sultanpuri

Kahin karti hogi, wo mera intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon beqarar
Kahin karti hogi, wo mera intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon beqarar

Door zulfon ki chhaon se,
Kahta hoon main hawaon se
Usi but ki adaon ke, afsane hazar

Wo jo bahon mein machal jati,
Hasrat hi nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jata qarar
Kahin karti hogi, wo mera intezar
Jiski tamanna mein, phirta hoon beqarar

Arman hai koyi pas aye,
In hathon mein wo hath aye,
Phir khwabon ki ghata chhaye, barsaye khumar
Phir unhin beeti din raton pe,
Matwali mulaqaton pe,
Ulfat bhari baton pe, ham hote nisar
Kahin karti hogi, wo mera, intzar
Jiski tamanna mein, phirta hoon beqarar
Jiski tamanna mein, phirta hoon beqarar

Saturday, 10 November 2012

Dil De Diya Hai!

A not a masti song from the movie 'Masti'.

Music Director: Anand Raj Anand
Singer: Anand Raj Anand
Lyricist: Samir

Dil de diya hai, jaan tumhe denge,
(Dil de diya hai, jaan tumhe denge
Daga nahi karenge sanam) - 2
Ho… Rab di kasam yaara, rab di kasam
(Dil de diya hai, jaan tumhe denge
Daga nahi karenge sanam) - 2

(Rukh zindagi ne mod liya kaisa
Humne socha nahi tha kabhi aisa) - 2
Aata nahi yakin, kya se kya ho gaya
Kis tarah main tumse bewafa ho gaya
Insaaf kar do, mujhe maaf kar do,
 itna hi kar do karam
Dil de diya hai jan tumhe denge,
Daga nahi karenge sanam...

(Awaaragi me ban gaya diwaana
Maine kyun sadagi ko nahi jaana) - 2
Chaahat yahi hai ke, is kadar pyaar doon
Kadmon mein tere main, do jahaan waar doon
Chain mera le lo khushi meri le lo, de do mujhe dedo saare gham
Dil de diya hai jaan tumhe denge, daga nahi karenge sanam

(Mere ashk keh rahe meri kahani
Inhein samjho na tum sirf pani) - 2
Ro ro ke aansuo ke daag dhul jaayenge
In mein wafa ke rang aaj ghul jaayenge
Paas tum rahogi bhul ab na hogi, karunga na tumpe sitam
Dil de diya hai jaan tumhe denge, daga nahi karenge sanam
Ho… Rab di kasam yaara, rab di kasam
(Dil de diya hai, jan tumhe denge
Daga nahi karenge sanam) - 2

Friday, 9 November 2012

Manzilen Apni Jagah Hain!

A sad number from the movie 'Sharabi'. Really a very sad one.

Music Director: Bappi Lahiri
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Prakash Mehra

Manzilon Pe Aa Ke Lutte Hai Dilon Ke Caravan
Kashtiya Sahil Pe Aksar Doobti Hai Pyar Ki

Manzilen Apni Jagah Hain Raste Apni Jagah - 2
Jab Kadam Hi Saath Na De To Musafir Kya Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Mera - 2
Badh Ke Koyi Hath Na De Dil Bhala Fir Kya Kare
Manzilen Apni Jagah Hain Raste Apni Jagah

Doobne Wale Ko Tinke Ka Sahara Hi Bahut
Dil Bahal Jaye Fakat Itna Ishara Hi Bahut
Itne Par Bhi Aasman Wala Gira De Bijaliyan
Koi Batla De Zara Yeh Doobta Fir Kya Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

Pyar Karna Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gaya
Kabil-E-Mafi Hua Karte Nahin Aisi Dua
Sangdil Hai Yeh Jahan Aur Sangdil Mera Sanam
Kya Kare Josh-E-Junoon Aur Hausla Fir Kya Karen
Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Sath Na De To Musafir Kya Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Mera
Badh Ke Koyi Haath Na De Dil Bhala Fir Kya Kare

Wednesday, 7 November 2012

Aazmale Aazmale!

A mind wobbling song from the movie 'Taxi No. 9211'.

Music Director: Vishal Shekhar
Singer: Shekhar Ravijani
Lyricist: Dev Kohli, Vishal Dadlani

Aazmale aazmale, aaj khud ko aazmale,
Phirta hai kab se, ye dil sambhale...

Bol ye lab pe ruke hain
Tere sajde mein jhuke hain
Pal pal bikhre hain, kitne ujaale

Kya karun kya sochta hai
Chain dil ka dhoondta hai
Apni kismat ko jaga le
Beech ka parda utha le
Aazmale

Aazmale aazmale, aaj khud ko aazmale,
Phirta hai kab se, ye dil sambhale...

Bol ye lab pe ruke hain
Tere sajde mein jhuke hain
Pal pal bikhre hain, Kitne ujaale

Apne ghum se khelta hai
Dard kitne jhelta hai
Sochta tu aur kuchh hai
Aur kuchh tu bolta hai - 2
Apne dil ko tu mana le
Beech ka parda utha le
Aazmale

Aazmale aazmale, aaj khud ko aazmale,
Phirta hai kab se, ye dil sambhale...

Bol ye lab pe ruke hain
Tere sajde mein jhuke hain
Pal pal bikhre hain, Kitne ujaale

Kashmakash ko chhod de tu
Rukh hawa ka mod de tu
Khaali paimana hai tera
Ho sake to tod de tu - 2
Ek nai mehfil saja le
Beech ka parda utha le
Aazmale

Aazmale aazmale, aaj khud ko aazmale,
Phirta hai kab se, ye dil sambhale...

Bol ye lab pe ruke hain
Tere sajde mein jhuke hain
Pal pal bikhre hain, Kitne ujaale

Kya karun kya sochta hai
Chain dil ka dhoondta hai
Apni kismat ko jaga le
Beech ka parda utha le
Aazmale

Aazmale aazmale, aaj khud ko aazmale,
Phirta hai kab se, ye dil sambhale...

Bol ye lab pe ruke hain
Tere sajde mein jhuke hain
Pal pal bikhre hain, Kitne ujaale

Kitne ujaale.. - 3

Sari Sari Raat!

A good one from the latest movie 'Khiladi 786'.

Music Director: Himesh Reshammiya
Singer: Himesh Reshammiya
Lyricist: Shabbir Ahmed

Jo tenu vehkiyaa, sansen gayi tham
Sari sari raat, soye na hum - 2

Jo tenu vehkiya, sansen gayi thum
Sari sari raat, soye na hum - 2

Palkan di chavan, thandi hawavan
Main mangu duavan - 2

Oh rabba ve
Sari sari raat, soye na hum - 2
Jo tenu vehkiya, sansen gayi thum
Sari sari raat, soye na hum

Ik pal mein dil yeh betabiyon ko
Hale tamana kaise bataye
Sau afsane hain, sau sau batein hain
Jaan-e-tamanna kaise sunaye
Pehli mulakat pehli baat
Pehli baarish ki fariyaad....

Sari sari raat, soye na hum - 2
Jo tenu vehkiya, sansen gayi tham
Sari sari raat, soye na hum

Gili syahi se kore kagaz par
Naam tera hum likha karte the
Furkat mein hum yun aksar baith kar
Charon deeewaron ko dekha karte the
Tum ho sahara, tum ho wafa
Mere labon ki tum ho dua..

Sari sari raat, soye na hum - 2
Jo tenu vehkiya, sansen gayi tham

Sari sari raat, soye na hum - 2
Jo tenu vehkiya, sansen gayi tham...

Tuesday, 6 November 2012

Babul Ki Duaein!

I promise the hearer to make him cry after reading the lyrics! :) Its an really emotional song from the movie 'Neel Kamal(1968)'.

Music Director: Ravi
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi

Baabul ki duaein leti ja, ja tujh ko sukhi sansaar mile
Maike ki kabhi na yaad aye, sasural mein itna pyaar mile
Baabul ki duaein...

Naazon se tujhe paala maine, kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachapan mein jhulaaya hai tujh ko, baanhon ne meri jhoolon ki tarah -2
Mere baagh ki ai naazuk daali, tujhe har pal nai bahaar mile
Baabul ki duaein...

Jis ghar se bandhe hain bhaag tere, us ghar mein sada tera raaj rahe
Honthon pe hansi ki dhoop khile, maathe pe khushi ka taaj rahe -2
Kabhi jis ki jyot na ho phiki, tujhe aisa roop-singaar mile
Baabul ki duaein...

Beeten tere jeevan ki ghadiyaan, aaram ki thandi chhaon mein
Kaanta bhi na chubhne paye kabhi, meri ladali tere panvon mein -2
Us dwar se bhi dukh door rahen, jis dwar se tera dwar mile
Baabul ki duaein...

Zindagi Iss Tarah Se!

A soulful song from the movie 'Murder'. Its the female version of the song.

Music Director: Anu Malik
Singer: Anuradha Paudwal
Lyricist: Sayeed Quadri

Zindagi iss tarah se lagne lagi,
Rang ud jaaye jo deewaron se...
Ab chhupane ko apna kuchh na raha,
Jakhm dikhane lage dararon se...

Main tere jism ki hoon parchhayi,
Muhko kaise rakhoge khud se juda...
Bhul karna toh meri fitrat hai,
Kyun ki insaan hoon main, nahi hoon khuda - (2)...
Mujhko hai apni har khata manzoor,
Bhool ho jaati hai insaano se...
Ab chhupane ko apna kuchh na raha,
Zakhm dikhane lage dararon se...

Jab kabhi shaam ke andheron mein,
Raah pachhchi jo bhool jaate hai...
Woh subah hote hi meelon chalkar,
Apani shakhon pe laut aate hain - (2)...
Kuchh hamaare bhi saath aisa hua,
Hum yahi keh rahe isharon se...

Zindagi iss tarah se lagne lagi,
Rang ud jaaye jo deewaron si...
Ab chhupane ko apna kuchh na raha,
Zakhm dikhane lage dararon se...

Sunday, 4 November 2012

Chhoti Si Baat!

This one has so many memories connected from the movie 'Chhoti Si Baat'.

Music Director: Salil Chowdhury
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Yogesh Gaud

Naa jane kyun hota hai yeh zindagi ke saath
Achanak ye man, kisike jane ke baad
Kare phir uski yaad chhoti chhoti si baat
Naa jane kyun....

Jo anjan pal dhal gaye kal aaj woh
Rang badal badal man ko machal machal
Rahe hain chhal na jane kyun woh anjan pal
Saje bhi na mere naino mein, tute re hai re sapno ke mahal
Naa jane kyun....

Wohi hai dagar wohi hai safar
Hai nahi saath mere magar ab mera hamsafar
Idhar udhar dhunde nazar wohi hai dagar
Kaha gayi shame madhbhari
Woh mere mere woh din gaye kidhar
Naa jane kyun...

Thursday, 1 November 2012

Dua!

A close to my hart song from the movie 'Shanghai' - 2012.

Music Director: Vishal-Shekhar
Singer: Nandini Srikar, Arijit Singh, Shekhar Ravjiani
Lyricist: Kumaar

Kise poochun hai aisa kyu
Bejubaan sa ye jahaan hai

Khushi ke pal kahaan dhoondun?
Benishaan sa waqt bhi yahaan hai

Jaane kitne labon pe gile hai
Zindagi se kayi faasle hain

Base jitte hai sapne kyun aankhon mein
Lakeere jab chhoote in haathon se yun bewajah

Jo bheji thi dua
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa - 2

Saanson ne kahaan rukh mod liya
Koi raah nazar mein naa aaye
Dhadkan ne kahaan dil chhod diya
Kahaan chhode in jismon mein saaye
Yehi baar baar main sochta tanha main yahaan
Mere saath-saath chal raha hai yaadon ka dhuaan

Jo bheji thi dua
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa - 2

Nadan Parinde!

A super duper hit and a must read onr from the movie 'Rockstar'.

Music Director: A R Rahman
Singer: Mohit Chauhan
Lyricist: Irshad Kamil

O Nadaan Parindey ghar aaja - 3
Ghar aaja... Ghar aaja... Ghar aaja aa aa..

Kyun desh-bidesh phire maara,
Kyun haal-behaal thaka haara,
Kyun desh-bidesh phire maara,
Tu raat-biraat ka banjara,
O Nadan Parinde ghar aaja,
Ghar aaja... Ghar aaja... Ghar aaja aa aa..

Naadan Parinde ghar aaja....
Sau dard badan pe phele hain,
Har karam ke kapde mele hain...

Kaate chahe jitna paro se hawao'n ko,
Khud se na bach paayega tu,
Tod aasmaano ko,
Phook de jahaano ko,
Khud ko chhupa na payega tu,
Koi bhi le rasta, tu hai tu mein basta,
Apne hi ghar aayega tu...

O Nadaan ...
O Nadaan parindey ghar aaja
Ghar aaja... Ghar aaja... Ghar aaja aa aa..
Nadaan Parindey ghar aaja - 3

(Kaaga re kaaga re mori itni araj tose,
Chun chun khaaiyo maans) - 2

Arajiya re khaaiyo na tu naina more
Khaaiyon na tu naina mohe Piya ke milan ki aas,
Khaaiyon na tu naina more,
Khaaiyon na do naina mohe piya ke milan ki aas...

O Nadaan ...
O Nadaan parindey ghar aaja
Ghar aaja... Ghar aaja... Ghar aaja aa aa..

Naadaan Parindey ghar aaja - 8