Tuesday, 27 November 2012

Zindagi Ki Yahi Reet Hai!

Quite a motivational one from the movie 'Mr. India'.

Music Director: Laxmikant Pyarelal
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Javed Akhtar

Ooh ooh, ooh ooh, ooh ooh, ooh ooh

(Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baad hi jeet hai) - 2
Thode aansu hain, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi
Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baaz hi jeet hai
Thode aansu hai, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi
Zindagi ki yahi reet hai
Haar ke baad hi jeet hai

Zindagi raat bhi hai, savera bhi hai zindagi - 2
Zindagi hai safar aur basera bhi hai zindagi - 2
Ek pal dard ka daanv hai
Dusra sukh bhari chhaaon hai
Har naye pal naya geet hai
Zindagi ki yahi reet hai - 3

Gham ka baadal jo chhaaye to hum muskuraate rahe - 2
Apni aankhon mein aashaaon ke deep jalaate rahe
Aaj bigde to kal phir bane
Aaj roothe to kal phir mane
Waqt bhi jaise ek meet hai
Zindagi ki yahi reet hai - 2
Haar ke baad hi jeet hai
Thode aansu hai, thodi hansi
Aaj gham hai to kal hai khushi

Kasmein Wade Pyar Wafa!

A sad one from the movie 'Upkaar'.

Music Director: Kalyanji Anandji
Singer: Manna Dey
Lyricist: Indeewar

Koyi kisi ka nahi ye jhoothe,
Naate hain naato ka kya
Kasmein Wade Pyar Wafa sab,
Baatein hain baaton ka kya

Hoga masiha ...
Hoga masiha saamne tere,
Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagayega
Aasmaan mein ...
Aasmaan mein udne waale mitti mein mil jaayega
Kasmein Wade Pyar Wafa sab, baatein hain baaton ka kya

Sukh mein tere ...
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya wale ...
Duniya wale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain ...
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhodenge
Kasmein Wade Pyar Wafa sab,
Baatein hain baaton ka kya

Monday, 26 November 2012

Aaj Kehna Zaroori Hai!

A melodious romantic number from the movie 'Andaaz'.

Music Director: Nadeem Shravan
Singer: Udit Narayan, Alka Yagnik
Lyricist: Sameer

Aaj Kehna Zarori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Badi Mushkil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

(Teri Chaahate Tera Andaaz Dil Mein
Chupaye Hai Barson Se Yeh Raaz Dil Ne ) - 2
Baate Karoon Main Hamesha Tumhari
Bada Di Hai Tumne Meri Bekarari
Ab Har Pal Sindoori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

Badi Mushkil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2

(Zamane Ko Peeche Kahin Chode Hum
Chalo Aaj Saari Hade Tod De Hum ) - 2
Sanam Aashiqi Ka Kaisa Asar Hai
Kaha Aagaye Hai Nahin Aab Khabar Hai
Saans Tumbin Adhuri Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Aaj Kehna Zarori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 2
Badi Mushkuil Yeh Doori Hai - 2
Ke Tumse Pyaar Hua Hai - 4

Sunday, 25 November 2012

Aaj Kal Paon Zameen Par!

A very very lovely song from the movie 'Ghar'. A classic in the real sense.

Music Director: R D Burman
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar

aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere - 2
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jab Bhi Thama Hai Tera Hath To Dekha Hai - 2
Log Kehte Hain Ke Bas Hath Ki Rekha Hai
Humne Dekha Hai Do Taqdeeron Ko Judte Huye
aj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Neend Si Rehti Hai, Halka Sa Nasha Rehta Hai
Rat-Din ankhon Mein Ik Chehra Basa Rehta Hai
Par Lagi ankhon Ko Dekha Hai Kabhi Udte Huye
Bolo Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Jane Kya Hota Hai Har Bat Pe Kuchh Hota Hai
Din Mein Kuchh Hota Hai Aur Rat Mein Kuchh Hota Hai
Thaam Lena Jo Kabhi Dekho Humein Udte Huye
Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere
Bolo Dekha Hai Kabhi Tumne Mujhe Udte Huye

Aaj Kal Paon Zameen Par Nahin Padte Mere

Tuesday, 20 November 2012

Bedardi Tere Pyar Ne!

A sad one in a very beautiful voice, rfom the movie 'Heena'.

Music Director: Ravindra Jain
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Ravindra Jain

Bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne

Apni khabar hain na dil ka pata
Kuch mujhe yaad nahi tere siva
Dekhoon jidhar tu hi nazar aaye dilruba
Duniya ke har khayal se begana kar diya
Duniya ke har khayal se begana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne

Kho gayi yoon tere pyar me sanam
Kahi rakhti hoon kahi pade hain kadam
Nayi khushi tadap nayi tera hai karar
Mujhko meri hi rah se anjana kar diya
Mujhko meri hi rah se anjana kar diya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
Mujhe deewana kar diya kahi bhi lage na jiya
O ho bedardi tere pyar ne deewana kar diya
Bedardi tere pyar ne