Saturday, 5 January 2013

Phoolon Ka Taaron Ka!

A lovely song from the movie 'Hare Rama Hare Krishna'

Music Director: R D Burman
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Anand Bakshi

Phoolon Ka Taaron Ka Sabka Kehna Hai
Ek Hazaron Mein Meri Behna Hai
Sari Umar Hame Sang Rehna Hai

Ye Na Jaana Duniya Ne Tu Hai Kyon Udaas
Teri Pyaari Aankhon Mein Pyar Ki Hai Pyaas
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jabse Meri Aankhon Se Ho Gayi Tu Door
Tabse Sare Jeevan Ke Sapne Hain Choor
Aankhon Mein Neend Na Dil Mein Chaina Hai
Ek Hazaron Mein ...

Dekho Hum Tum Dono Hain Ek Dali Ke Phool
Maein Na Bhoola Tu Kaise Mujhko Gai Bhool
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jeevan Ke Dukhon Se Yun darte Nahin Hain
Aise Bachke Sach Se Guzarte Nahin Hain
Sukh Ki Hai Chaah To Dukh Bhi Sehna Hai
Ek Hazaron Mein...

Tuesday, 1 January 2013

Main Jahan Rahoon!

A really heart touching song from the movie 'Namaste London'.

Music Director: Himesh Reshamiya
Singer: Rahat Fateh Ali Khan & Krishna
Lyricist: Javed Akhtar

Main jahan rahoon,
Main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai

Kisi se kahoon
Ke Nahi kahoon
Yeh jo dil ki Baat hai

Kehne Ko saath apne Ek duniya chalti hai
Par chhupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saath hai - 3

Main jahan rahoon
Main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai

Kahin to Dil mein yaadon ki
Ek suli gad jaati hai
Kahin har ek Tasveer bhahut hi dhundhli pad jati hai
Koi nayi duniya ke naye rangon mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi yeh man hi man kehta hai

Kehne Ko saath
Apne Ek duniya chalti hai
Par chhupke is dil Main tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saath hai - 3

Kahin to beete kal ki jadein
Dil Main hi utar jaati hain
kahin jo dhage tute to
Malayen bhikar jaati hain
Koi dil mein jagah nayi baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palko Par yadon ke diye rakhta hai

Kehne Ko saath
Apne Ek duniya chalti hai
Par chhupke is dil Main tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai
Teri yaad saath hai - 3

Sunday, 30 December 2012

Tere Mere Milan Ki Ye Raina!

This one is a slow, sweet and romantic one from the movie 'Abhimaan(1973)'.

Music Director: Sachin Dev Burman
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Lyricist: Majrooh Sultanpuri

Tere mere milan ki ye raina
Naya koi gul khilayegi
Tabhi to chanchal hain tere naina
Dekho na
Dekho na, tere mere milan ki ye raina
       
(Nanha sa gul khilega angana
Suni batiyan sajegi sajana) - 2
Jaise khele chanda badal mein
Khelega vo tere anchal mein
(chadaniya gunagunayegi) - 2
Tabhi to chanchal hain tere naina, dekho na

(Tujhe thame kai hathon se
Milunga madbhari raton mein) - 2
Jaga ke ansuni si dhadkan
Balamava bhar dugi tera man
(nayi ada se satayegi) - 2
Tabhi to chanchal hai tere naina, dekho na

Sunday, 23 December 2012

Sathiya Ye Tune Kya Kiya!

One of the most romantic song from the movie 'Love'.

Music Director: Aanand-Milind
Singer: S. P. Balasubramanyam, Chithra K S
Lyricist: Majrooh Sultanpuri

Sathiya ye tune kya kiya, beliya ye tune kya kiya
Maine kiya tera intejar, itna karo na mujhe pyar - 2

Sathiya ye tune kya kaha, beliya ye tune kya kaha
Yu na kabhi karma intejar, maine kiya hai tumase pyar - 2

Itni mohabbat seh na sakunga, sach mano zinda reh na sakunga
Tujhko sambhalun ye mera zimma, main hoon to kya hai jane tamanna
Ab jeena marna mere janam tere hath hai
Maine kaha na sanam, ab tu mere sath hai
To phir samhal, le me chala
Jana kaha, aa dil me aa

Dil ke chaman ka hasna to dekha
Jagi najar ka sapana to dekha
Aise bane hum ek jaan ek dil tu hai ke main hoon
Kehena ho mushkil
Jhonka basanti hai tu, tan hai gulabi mera
Do rang milne ke bad hote nahi hain juda
To phir samhal, le me chala
Jana kahan, aa dil me aa

La lla la sathiya ye tune kya kiya
Beliya ye tune kya kaha

Thursday, 20 December 2012

Aaye Tum Yaad Mujhe!

This one is a very romantic song from the movie 'Mili'.

Music Director: Sachin Dev Burman
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Yogesh

Aaye Tum Yaad Mujhe
Gaane Lagi Har Dhadakan
Khushboo Layi Pawan Mehaka Chandan
Aaye Tum Yaad Mujhe

Jis Pal Naino Mein Sapana Tera Aaye
Us Pal Mausam Par Mehandi Rach Jaye
Aur Tu Ban Jaye Jaise Dulhan
Aaye Tum Yaad Mujhe, Gaane Lagi Har Dhadkan

Jab Main Raaton Mein Tare Ginata Hoon
Aur Tere Kadamon Ki Aahat Sunata Hoon
Lage Muze Har Tara Tera Darpan
Aaye Tum Yaad Mujhe, Gaane Lagi Har Dhadkan

Har Pan Man Mera Mujhse Kehta Hai

Jisake Dhun Main Tu Khoya Rehta Hai
Bhar De Phoolon Se Usaka Daman
Aaye Tum Yaad Mujhe, Gaane Lagi Har Dhadkan
Khushboo Layi Pawan Mehaka Chandan
Aaye Tum Yaad Mujhe, Gaane Lagi Har Dhadkan
'.