Monday, 17 December 2012

Dushman Na Kare!

This one is quite an angry one from the movie 'Aakhir Kyon'.

Music Director: Rajesh Roshan
Singers: Amit Kumar, Chorus, Lata Mangeshkar
Lyricist: Indeevar

FEMALE:
(Dushman na kare dost ne wo kam kiyaa hai -2
Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai) - 2

Tufaan mein humko chhod ke saahil pe aa gaye - 2
Saahil pe aa gaye
Naakhuda ka
Naakhuda ka humne jinhe naam diya hai
Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare

Pahale to hosh chhin liye zulm-o-sitam se - 2
Zulm-o-sitam se
Diwaanagi ka
Diwaanagi ka phir hamein ilzaam diya hai
Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare

MALE:
Apane hi giraate hai nasheman pe bijaliyaan -
Nasheman pe bijaliyaan
Gairo ne aa ke
Gairo ne aa ke phir bhi use thaam liyaa hai

Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare oa

FEMALE
Ban ke raqib baithe hai wo jo habib the - 2
Wo jo habib the
Yaaro ne khub
Yaaro ne khub farz ko ajaam diya hai

Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kam kiyaa hai
Umr bhar ka gham hamein inaam diya hai

Saturday, 15 December 2012

Madhubala - Tere Deewane!

I watch this serial just for this song!!
 
Male Version

Tera ishq hi mera junoon hai mahi
Bekarari ka hai yeh karar
Bujh ke na bujhegi pyaas oh rabba
Jaane yeh kaisa hai pyaar

Hum hain deewane tere deewane
Hum hain deewane tere deewane
Hum hain deewane tere deewane
Hum hain deewane tere deewane

Kitni baar hum milke bhichde
Tu hi jaane rabba
Duniya se hum begaane
Tu hai sirf meri
Phir bhi najane
Tu hai sirf meri
Phir bhi najane
Mujhko yeh tu bata
Dooriyan hai kyun darmiyan

Hum hain deewane tere deewane
Hum hain deewane tere deewane


Dooriyan kyun hain darmiyan........


FEMALE VERSION

Kaisa ishq, ye kaisa junoon hai mahi,
Bekarari mein tu hi qarar...
Tu reheke bhi door mujh mein hai aaj,
Jaane ye kaisa pyar...

Hum Hain deewane, tere deewane...
Hum Hain deewane, tere deewane...

Tujh se hai hasi, tujh se udasi,
Kashmakash hai rabba,
Roothi hoon phir bhi razi...
Tu hi hai maula, tu hi hai qazi - 2
Kya karoon main bayan,
Tere ishq pe jaan kurbaan...

Hum Hain deewane, tere deewane...
Hum Hain deewane, tere deewane...

Tuesday, 11 December 2012

Khoobsurat Hai Wo Itna!

A very khoobsurat  song from the movie 'Rog'.

Music Director: MM. Kareem, Gaudi
Singer: Udit Narayan
Lyricist: Neeleinsh Mishra

Khoobsurat hain wo itna
Saha nahi jata
Kaise hum khud ko rok lein
Raha nahi jata - 2

Chaand mein daag hain yeh jante hain hum lekin
Raat bhar dekhe bina usko
Raha nahi jata
Khoobsurat hain wo itna
Saha nahi jata

Jo mera ho nahi paayega
Ies jahan mein kahin
Rooh ban kar milunga usko
Aasman mein kahin
Pyaar dharti par farishton se
Kiya nahi jata
Khoobsurat hain wo itna
Saha nahi jata

Un nigahon mein mohabbat nahi
To kaho aur kya hai
Par wo mujh se yeh keh raha
wo kisi aur ka hain
Zara sa jhooth bhi dhang se
Kaha nahi jata
Khoobsurat hain wo itna
Saha nahi jata

Aankh mein kaid kiye baitha
Main ek haseen lamha
Jab main is neend se jagoonga
To dil tootega
wo mujhe khwaab koi kyun
Dikha nahi jata
Khoobsurat hain wo itna
Saha nahi jata

Monday, 10 December 2012

Kabhi Shaam Dhale!

A soft and sweet song from the movie 'Sur'.

Music Director: M. M. Kareem
Singers: Mahalaxmi
Lyricist: Nida Fazli

Aa, aa aa aa aa, aa, aa aa aa aa
Aa aa aa aa, aa aa aa aa

(Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana) - 2
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

Aa aa, aa aa aa aa aa aa
Oh oh, oh oh oh oh oh oh oh oh oh

Tu nahin hai magar phir bhi tu saath hai
Baat ho koi bhi teri hi baat hai
Tu hi mere andar hai, tu hi mere baahar hai
Jab se tujhko jaana hai, maine apna maana hai
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
(Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana) - 2

Oh oh aa, aa aa aa, aa aa
Aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa

Raat din ki meri dilkashi tumse hai
Zindagi ki kasam zindagi tumse hai
Tum hi meri aankhen ho sooni tanha raahon mein
Chaahe jitni doori ho, tum ho meri baahon mein
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam dhale, aah
Kabhi chaand khile, aah
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

Aa, aa aa aa aa, aa, aa aa aa aa

Friday, 7 December 2012

Kahin Pyar Na Ho Jaye!

A sweet romantic one. This one is a title song from the movie 'Kahin Pyar Na Ho Jaye'.

Music Director: Himesh Reshamiya
Singer: Alka Yagnik, Kumar Sanu
Lyricist: Rajesh Malik

Kahin pyar na ho jaye - 2
Pyar na ho jaye

(Ae dil bata yeh tujhe kya hua
Tu hai kyun bekarar itna) - 2
Kahin pyar na ho jaye - 4

Jee chahe jee bhar ke chahu use main
Chahat ka mausam na beete kabhi
Uske khayalon mein khoya rahoon main
Manzil mujhe to milegi wahin
Yeh hai aitbar dil ki pukar, sun mere yar, ho
Kahin pyar na ho jaye - 4
Ae dil bata yeh tujhe kya hua,
Tu hai kyun bekarar itna...

Sapnon mein jo mere aane laga hai, apna woh lagne laga hai mujhe
Harpal jo aankho mein rehne laga hai, pyara woh lagne laga hai mujhe
Mujhe bar bar hai intezar kab aye yzar ho
Kahin pyar na ho jaye - 4

Ae dil bata yeh tujhe kya hua,
Tu hai kyun bekarar itna
Kahin pyar na ho jaye - 4