Wednesday, 17 October 2012

Kahan Tak Yeh Man Ko Andhere Chhalenge!

This song is very touching and motivating. Really an awesome one from the movie 'Baton Baton Mein".

Music Director: Rajesh Roshan
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Yogesh

Kahan tak yeh man ko andhere chhalenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kabhi sukh kabhi dukh yahi zindagi hai
Yeh patjhad ka mausam ghadi do ghadi hai - 2

Naye phool kal phir dagar me khilenge
Udasi bahre din kabhi to dhalenge

Bhale tez kitna hawa ka ho jhonka
Magar apne mann mein tu rakh yeh bharosa - 2

Jo bichhde safar mein tujhe phir milenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kahe koyi kuchh bhi magar sach yahi hai
Lehar pyar ki jo kahin uth rahi hain - 2

Use ek din to kinare milenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kahan tak yeh man ko andhere chhalenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge..

Mere Dil Ne Tadap Ke!

An oldie goldie from the movie 'Anurodh'.

Music Director: Lakshmikant Pyarelal
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Anand Bakshi

Aaja ho aaja - 4
Ke
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara -2
Kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon,
Tere intzaar ki main duniya sajaye baitha
Tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon,
Tere intzaar ki main duniya sajaye baitha.
Dekhe teri nazron ko bhaye na bhaye ye nazara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha,
Soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
Tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha,
Soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
Jane kya hoga jab hoga ye milan hamara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon,
Tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon,
Tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
Aisa na ho tu ye dil tode zamana hanse sara
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2
Kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2
Aaja ho aaja, Aaja ho aaja

Tuesday, 16 October 2012

Do Deewane Shehar Mein!

A romantic and a very melodious one from the movie 'Gharonda'!

Music Director: Bhupinder
Singers: Runa Laila, Bhupinder
Lyricist: Gulzar

Do diwaane shehar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aabodana dhoondhate hain,
Ek aashiyana dhoondhate hain

In bhool bhulaiya galiyon mein
Apanaa bhi koyi ek ghar hoga
Ambar pe khulegi khidki,
Ya khidki pe khulaa ambar hoga
Aasmani rang ki aakhon mein,
Basne ka bahana dhoondhate hain

Jab taare jameen par jalte hain,
Aakaash zameen ho jaata hai,
Us raat nahin fir ghar jaata,
Wo chaand yahin so jaata hai
Pal bhar ke liye in aakhon mein,
Hum yek zamaana dhoondhate hain...

Monday, 15 October 2012

Maine Poocha Chand Se!

A very sweet song from d movie 'Abdullah'!

Music Director: R D Burman
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Anand Bakshi

Maine poochha chand se ke dekha hai kahin mere yaar sa hasin,
Chand ne kaha, chandni ki kasam, nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se...

Maine yeh hijaab tera dhoondha, har jagah shabab tera dhoondha,
Kaliyon se misaal teri poochhi, phulon mein jawab tera dhoondha,

Maine poochha bag se, falak ho ya zameen, aisa phool hai kahin
Bag ne kaha har kali ki kasam nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se........

Ho, chaal hai ke mauj ki rawani, zulf hai ke rat ki kahani,
Honth hain ke aaine kawal ke, aankh hai ke maikado ki rani,

Maine poochha jaam se, falak ho ya zameen, aisi mae bhi hai kahin
Jaam ne kaha maekashi ki kasam nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se........

Khubsoorati jo tune payi, lut gayi khuda ki bas khudayi,
Mir ke gazal kahoon tujhe main, ya kahu khaiyyam ki rubayi,

Mai jo puchhoon shayaron se, aisa dil nashi koyi sher hai kahin,
Shayar kahe shayari ki kasam, nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se...

Saturday, 13 October 2012

Aaoge Jab Tum O Saajana!

A song worth listening repeat all with only single song in the playlist! :) A very nice song from the movie 'Jab We Met'!

Music Director: Pritam Chakraborty, Sandesh Shandilya
Singer: Ustad Rashid Khan
Lyricist: Sameer

Aaoge Jab Tum O Saajana - 2
Angana Phool Khilenge
Barsega Saawan, Barsega Saawan Jhoom Jhoomke
Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum O Saajana, Angana Phool Khilenge

Naina Tere Kajrare Hain, Naino Pe Hum Dil Haare Hain
Anjaane Hi Tere Naino Ne Waade Kiye Kayi Saare Hain
Saanson Ki Lay Madham Chalein, Kose Kahe
(Barasega Saawan - 2)
Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum Ho Saajana, Angana Phool Khilenge

Chanda Ko Taaku Raaton Mein, Hai Zindagi Tere Haanthon Mein
Palkon Pe Jhilmil Taarein Hain, Aana Bhari Barsaaton Mein
Sapnon Ka Jahaan, Hoga Kela Kela
(Barasega Saawan - 2)
Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge

Angana Phool Khilenge - 2