Sunday, 24 February 2013

Itna Na Mujhse Tu!

A sweet and simle song from the movie 'Chhaya'.

Music Director: Salil Chowdhury
Singers: Talat Mehmood, Lata Mangeshkar
Lyricist: Rajinder Krishan

-- Male --
Itna na mujhase tu pyaar badha
Ke main ek baadal awara
Kaise kisi ka sahara banun
Ke main khud beghar bechara
Itna na

-- Male --
Mujhe ek jagah araam nahi
Ruk jana mera kaam nahi
Mera saath kahan tak dogi tum
Main desh videsh ka bajara

-- Female --
Is liye tujhase main pyaar karu
Ke tu ek baadal awara
Janam janam se hoon saath tere
Ke naam mera jal ki dhara

-- Female --
O neel gagan ke deewane
Tu pyaar na mera pahachane 
Main tab tak saath chalun tere
Jab tak na kahe tu main hara

-- Male --
Araman tha gulshan par barsoon
Ek shokh ke daaman par barsoon
Afasos jali mitti pe mujhe
Taqadir ne meri de mara
Itna na...

Monday, 18 February 2013

Hazar Rahein Mud Ke Dekhin!

Very true lyrics and very close to my heart from the movie 'Thodi Si Bewafai' (1980).

Music Director: Khayyam
Singers: Kishore Kumar & Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar


Hazar rahein mud ke dekhin
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Jahan se tum mod mud gaye the
Ye mod ab hi wahin pade hain
Hum apne pairon mein jaane kitne
Bhanwar lapete hue khade hain

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Kahin kisi roz yun bhi hota
Hamari haalat tumhari hoti
Jo raat humein guzari marr ke
Vo raat tumne guzari hoti

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Tumhe ye zid thi ke hum bulate
Humein ye ummeed vo pukarein
Hai naam hoton pe ab bhi lekin
Aawaz mein pad gayi dararein

Hazar rahein mud ke dekhim
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Wednesday, 13 February 2013

Tadap Tadap Ke Is Dil Se!

A magical song from a very romantic movie 'Hum Dil De Chuke Sanam'.

Music Director: Ismail Darbar
Singer: Dominique Cerejo, K. K.
Lyricist: Mehboob

Bejaan ishq ko tere ishq ne zindaa kiya
Phir tere ishq ne hi is dil ko tabaah kiya
Tadap tadap ke is dil se aah nikalati rahi
Mujhako sazaa di pyaar ki aisaa kyaa gunaah kiya
To lut ga_e haa lut ga_e
To lut ga_e ham teri mohabbat me

Ajab hai ishq yaaraa pal do pal ki khushiyaan
Gam ke khazaane milate hai phir milati hai tanhaa_iyaa
Kabhi aansu kabhi aahe kabhi shikave kabhi naale
Teraa cheharaa nazar aa_e mujhe din ke ujaalo me
Teri yaade tadapaa_e raato ke adhero me
Teraa cheharaa nazar aa_e
Machal machal ke is dil se aah nikalati rahi
Mujhako sazaa di

Agar mile khudaa to puchhugaa khudaayaa
Jism de ke mitti kaa shishe saa dil kyu banaayaa
Aur us pe di ye fitarat ke vo karataa hai mohabbat
Vaah re vaah teri qudarat usape de di ye qismat
Kabhi hai milan kabhi furaqat
Hai yahi kyaa vo muhabbat
Vaah re vaah teri qudarat
Sisak sisak ke is dil se aah nikalati rahi
Mujhako sazaa di

Tuesday, 12 February 2013

Man Kyun Beheka!

This is a song which i have listened repeatedly 100 times in a go. Lovely song from the movie 'Utsav'.

Music Director: Laxmikant Pyarelal
Singers: Lata Mangeshkar, Asha Bhosle
Lyricist: Vasant Dev

Mann kyon beheka ri beheka aadhi raat ko
Bela mahaka ri mahaka aadhi raat ko
Kisane bansi bajayi aadhi raat ko
Jisane palaki churaayi aadhi raat ko

Jhaanjar jamake sun jamake aadhi raat ko
Usako toko naa roko, roko naa toko
Toko naa roko, aadhi raat ko
Laaj lage ri lage aadhi raat ko
Dena sindur ke so aadhi raat ko

Baat kahate bane kya aadhi raat ko
Aankh kholegi baat aadhi raat ko
Hamne pi chandani aadhi raat ko
Chaand aankho me aaya aadhi raat ko

Raat gunati rahegi aadhi baat ko
Aadhi baton ki pir aadhi raat ko
Baat puri ho kaise aadhi raat ko
Raat hoti shuru hai aadhi raat ko

Sunday, 10 February 2013

Tumse Milke Aisa Laga Tumse Milke!

A beautiful song from the movie 'Parinda'.

Music Director: R D Burman
Singers: Suresh Wadkar, Asha Bhosle
Lyricist: Khurshid Hallauri

--MALE--
(Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke) - 2
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, tumse na honge juda
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Mere sanam, teri kasam chhodenge ab na yeh haath
Yeh zindagi

--FEMALE--
La la la

--MALE--
Guzregi ab

--FEMALE--
La la la

--MALE--
Hamdam tumhaare hi saath
Apna yeh vaada raha, tumse na honge juda

--FEMALE--
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, tumse na honge juda
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Aah aah aah aah

--MALE--
Maine kiya

--FEMALE--
La la la

--MALE--
Hai raat din

--FEMALE--
La la la

--MALE--
Bas tera hi intezaar

--FEMALE--
Tere bina aata nahin ek pal mujhe ab qaraar

--BOTH--
Hamdam mera mil gaya, ab hum na honge juda - 2

--MALE--
Tumse milke

--FEMALE--
Tumse milke aisa laga
Tumse milke

--BOTH--
Armaan hue poore dil ke
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, ab hum na honge juda
La la la la, la la la la la la la la
La la la la la la la la

Thursday, 7 February 2013

Chehra Hai Ya Chand Khila Hai!

This is a real romantic song from the movie 'Sagar'.

Music Director: R D Burman
Singer : Kishore Kumar
Lyricist:

Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa

Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil
Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai
Kaise Kaise Khwaab Ye Dil
Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To
Jaata Lamha Tham Jaaye
Waqt Ka Dariya Behte Behte
Is Manzar Mein Jam Jaaye
Toone Deewana Dil Ko Banaaya
Is Dil Par Ilzaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya….

Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi
Tera Saath Nahin Paaun To
Khair Tera Armaan Sahi
Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho
Khamoshi Ke Mele Hon
Is Duniya Mein Koi Nahin Ho
Hum Dono Hi Akele Hon
Tere Sapne Dekh Raha Hoon
Aur Mera Ab Kaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya….

Wednesday, 6 February 2013

Jaoon Kahan Bata Ae Dil!

An immortal song from the movie 'Chhoti Bahen'.

Music Director: Shankar Jaekishan
Singer: Mukesh
Lyricist: Hasrat Jaepuri

Jaoon kahan bata ae dil
Duniyaa badi hai sangdil
Chandni aayi ghar jalane
Soojhe na koi manzil

Jaoon kahan bata ae dil
Duniyaa badi hai sangdil
Chandni aayi ghar jalaane
Soojhe na koi manzil
Jaoon kahan bata ae dil

Banke toote yahan aarzoo ke mahal
Ye zameen aasmaan bhi gaye hain badal
Kehti hai zindagi is jahan se nikal
Kehti hai zindagi is jahan se nikal

Jaoon kahan bata ae dil
Duniyaa badi hai sangdil
Chandni aayi ghar jalaane
Soojhe na koi manzil
Jaoon kahan bata ae dil

Haye is paar to aansuon ki dagar
Jaane us paar kyaa ho kise hai khabar
Thokaren kha rahi har kadam par nazar
Thokaren kha rahi har kadam par nazar

Jaoon kahan bata ae dil
Duniyaa badi hai sangdil
Chandni aayi ghar jalaane
Soojhe na koi manzil
Jaoon kahan bata ae dil

Sunday, 3 February 2013

Yaara Sili Sili!

This one is an awesome song from the movie 'Rudali'.

Music Director: Hridyanath Mangeshkar
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulzar

Yaara Sili Sili, Yaara Sili Sili
O Yaara Sili Sili, Dhola Sili Sili
Yaara Sili Sili, Birha Ki Raat Ka Jalna
Yeh Bhi Koi Jeena Hai, Yeh Bhi Koi Jeena Hai
Yeh Bhi Koi Marna

Yaara Sili Sili, Birha Ki Raat Ka Jalna
Yaara Sili Sili, Dhola Sili Sili

(Tooti Hui Choodiyon Se Jodoon Yeh Kalaai Main
Pichhli Gali Mein Jaane Kya Chhod Aayi Main) - 2
Beeti Hui Galiyon Se, Beeti Hui Galiyon Se
Phir Se Guzarna

Yaara Sili Sili, Dhola Sili Sili
O Yaara Sili Sili, Birha Ki Raat Ka Jalna

Yaara Sili Sili, Dhola Sili Sili

(Pairon Mein Na Saaya Koi, Sar Pe Na Saanyi Re
Mere Saath Jaaye Na Meri Parchhaayi Re) - 2
Baahar Ujaala Hai, Baahar Ujaala Hai
Andar Viraana
Yaara Sili Sili, O Dhola Sili Sili
O Yaara Sili Sili, Birha Ki Raat Ka Jalna

Yaara Sili Sili, Dhola Sili Sili
Yaara, Dhola, Yaara, Dhola, Yaara, Dhola