Wednesday 31 October 2012

Main Pal Do Pal Ka Shayar Hoon!

'Kabhi Kabhi', a superhit movie with super duper hit songs. This one is a very
melodious and touching too.

Music Director: Khayyam
Singer: Mukesh
Lyricist: Sahir Ludhiyanvi

Main pal do pal ka shayar hoon,
Pal do pal meri kahani hai,
Pal do pal meri hasti hai,
Pal do pal meri jawani hai,
Main pal do pal ka shayar hoon...

Mujhse pahele kitne shayar aaye aur aakar chale gaye,
Kuch anhein barkar laut gaye kuch nagme gaa kar chale gaye,
Woh bhi ek pal ka kissa thhey main bhi ek pal ka kissa hoon,
Kal tumse jhuda ho jaunga jo aaj tumhara hissa hoon,
Main pal do pal ka shayar hoon...

Kal aur ayenge nagmon ki khilti kaliyan chunnewale,
Mujhese behetar kahenewale tumse behetar sunnewale,
Kal koyi mujhko yaad kare kyon koi mujhko yaad kare,
Masroof zamana mere liye kyon waqt apna barbadh kare,
Main pal do pal ka shayar hoon...

Monday 29 October 2012

Jiyein Kyun!

This is an amazing song. Very emotional one from the movie 'Dum Maaro Dum'.

Music Director: Pritam Chakraborty
Singer: Papon
Lyricist: Jaideep Sahni

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun pilaoge
Na aaye ho, na aaoge, na din dhale sataoge
Na raat ki nashili bye se neendh mein jagaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na dooriyaan mitaoge
Na thaam ke woh josh mein yun hosh se udaoge
Na aaye ho, na aaoge, na jhoot se sunaoge
Na rooth ke sihane mein, remote ko chupaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Aankh bhi tham gayi, na thaki
Raat bhi na bhati, na kati
Raat bhi cherti marrti
Neendh bhi lutt gayi, chiin gayi
Raat bhi na sahi, na rahi
Raat bhi laazmi, zaalmi
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun churaoge

Saturday 27 October 2012

Hosanna!

A lovely cute romantic song from the movie 'Ekk Deewana Tha'!

Music Director: A R Rahman
Singer: Leon D’Souza, Suzanne & Blaaze
Lyricist: Javed Akhtar

Dil hote jo mere seene mein do.
Doosra dil bhi main tumhe deta todne ko...

Hosanna..Hosanna..Hosanna
Ho..Sannna...Hosanna..Ho...

Dilkash thi woh shaam pehle pehal,
Jab ke tumse mili thi nazar,
Aisa chakraya ki ab ye na jaanu,
Ke jaaun to jaaun kidhar,
Hosanna tum samne thi pal,
Hosanna Agle hi pal thi ojhal,
Ab kya bataaun main,
Kis haal mein hoon main,
Yahaan-wahaan bas apna dil aur hosh dhoodta hoon main...

Hosanna.. (Madhoshi deewanagi)
Hosanna.. (Main aur teri bandagi)
Hosanna.. (Ab hai yehi zindagi)
Hosanna..

Everybody wanna know I feel like A, feel like A,
I really wanna be here with you
Is that enough to say that
We are made for each other is all that is Hosanna true

Hosanna... be there when you are calling i will be there
Hosanna... feeling like my life's changed
I never wanna be the same..
Its time we re-arrange i take a step
You take a step and me calling out to you

Helloooo... Hellooooo... Helloooo oooo
Yooo Hosanna

Ho..sanna.....oooo...

Udti hui titli ki rangeen parchhaai reh jaati hai phoolon mein
Waise hi tum ek tasveer ke jaise chhaye ho inn aankhon mein
Hosanna, Tum jo mera khwaab ho
Hosanna, Dil kyon na betaab ho
Kahoon to kya kahoon
Main kyun deewana hoon
Tumhare baare mein hi har ghadi main sochta hoon kyun.

Hello.. Hello.. Hello...
Hosanna... (ab din ho ya raat ho)
Hosanna... (dil chahe tum saath ho)
Hosanna... (bas haathon mein haath ho)
Hosanna....

Dil hote jo, mere seene mein do
Doosra dil bhi main, tumhe deta todne ko

Friday 26 October 2012

Chup Chup Ke!

Another latest romantic pick from the movie 'Rush' again.

Music Director: Pritam Chakraborty
Singer: Shaan
Lyricist: Sayeed Quadri

Pehle kabhi hua karti thi
Dil se meri dosti
Pehle kabhi raha karta tha
Ye dil mere paas hi
Phir hua isay jane kya
Mujhko hui na khabar
Mera sab kuch le gaya
Mujh se bacha ke nazar
Kehne ko hai mera par meri sunta nahin
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahin
Kahin toh mere seene se ye dil nikalta nahin

Kuchh iss tarah milta hai jaise - Ajnabi
Aur meri is halat pe khata taras bhi nahin
Jaane kis ke dhang me khud ko hai dhaale huey
Mere kitne hi raaz hai khud mein sambhale huey
Par iske raaz hain mere liye raaz hi

Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahin
Kahin toh mere seene se ye dil nikalta nahin
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahin
Kahin toh mere seene se ye dil nikalta nahin

Mumkin Nahin!

A latest on from the movie 'Rush'. This 2012 movie is  looking quite promising.

Music Director: Pritam Chakraborty
Singer: Tulsi Kumar, Anupam Amod
Lyricist: Kumaar

Janoon main na jane dil, kya khwahish jagi hai
Kyun aankhon ko bhi kuch hua
Jaagi jaagi rehti hain, kahaan neendein gayi hain
Kya hone laga hai tu bata

Tere labon pe hai mili mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon mere liye mumkin nahin
Meshsoos ye hota hai tu mere liye hai laazmi
Saaya tera ab chhod kar lamhe chale mumkin nahin
Mumkin nahin... Mumkin nahin...

Woh oh...
Mujh ko chhipa le tu, khud mein hi kahin pe
Main bhool jaaun ye jahaan
Faasla kabhi naa ho, dil chahe yehi toh
Dhadkan tere bin hai kahaan

Meri nazar kehne lagi tu saamne ho har ghadi
Bas ik tere chehre bina duniya meri mumkin nahin
Paaya tujhe to hai laga poori hui koi kami
Tujhse juda main ab rahoon khwabon mein bhi mumkin nahin
Mumkin nahin... Mumkin nahin...

Monday 22 October 2012

Chhodo Na Mujhe Yun Bekarar Sa!

Quite a bubbly song from the movie 'Rules - Pyar Ka Super Hit Formula'.

Music Director: Sandesh Shandilya
Singer: Kunal Ganjawala
Lyricist: Subrat Sinha

Ho o o o o o ho o o o o o o...........
Chhodo na mujhe yun bekarar sa
Kar bhi do izhar tum apne pyar ka
Tumhare dil ki hai yeh manzil mera deewana dil, bolo tum bolo
Ho o o o o o ho o o o o o o...........

Kar doge inkar toh zi na payenge
zo kar doge ikrar toh mar hi zayenge
Tumhare dil ki hai yeh manzil mera deewana dil, bolo tum bolo
Ho o o o o o ho o o o o o o........... Yeah

Itne paraye jo ho tum, pehale kabhi bhi nahi the
Mere zahan mein gamon ki, tum toh vajah hi nahi the
Dil se mere tum khud ko nikalo, ya phir mujhe hi apna bana lo
Bolo tum bolo
Ho o o o o o ho o o o o o o...........

Ho o o o o o ho o o o o o o...........
khoyi khoyi zindagi ki, rahon mein ab aa bhi jao
Jo tum nahi aana chaho mujhko hi paas bulao
Kab tak jiyenge aise batao, muzhko nahi tum yun aazmao, bolo tum bolo

Ho o o o o o ho o o o o o o...........
Chhodo na mujhe yun bekarar sa
Kar bhi do izhar tum apne pyar ka
Tumhare dil ki hai yeh manzil mera deewana dil, bolo tum bolo
Ho o o o o o ho o o o o o o...........

Saturday 20 October 2012

Ishq Jab Ek Taraf Ho!

Another good pick from the movie 'Hungama'.

Music Director: Nadeem, Shravan
Singer: Kumar Sanu
Lyricist: Sameer

Ishq Jab Ek Taraf Ho To Saza Deta Hai
Ishq Jab Dono Taraf Ho To Maza Deta Hai - 2
Ishq Jab Ek Taraf Ho

Aankh Milti Hai Jaha Pal Mein Tadap Jata Hai
Dil To Deewana Hai Yeh Dhak Se Dhadak Jata Hai
Ishq Karte Hai Sabhi Fark Sirf Itna Hai
Koi Khamosh Rahe Koi Bata Deta Hai
Koi Khamosh Rahe Koi Bata Deta Hai
Ishq Jab Dono Taraf Ho To Maza Deta Hai
Ishq Jab Ek Taraf Ho To Saza Deta Hai
Ishq Jab Dono Taraf Ho To Maza Deta Hai
Ishq Jab Ek Taraf Ho

Ishq Ke Roop Kai Ishq Ke Hai Rang Bade
Teer Nazron Se Chale Aake Kaleje Mein Gade
Ishq Hai Khel Yahan Yaar Bas Naseebon Ka
Koi Karta Hai Wafa Koi Daga Deta Hai
Koi Karta Hai Wafa Koi Daga Deta Hai
Ishq Jab Dono Taraf Ho To Maza Deta Hai
Ishq Jab Ek Taraf Ho To Saza Deta Hai
Ishq Jab Dono Taraf Ho To Maza Deta Hai
Ishq Jab Ek Taraf Ho

Chain Aapko Mila!

This one is a good one! :) Its from the movie 'Hungama'.

Music Director: Nadeem, Shravan
Singers: Shaan, Sadhna Sargam
Lyricist: Sameer

Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangi Mili
Hosh Aap Ko Mila Mujhe To Bekhudi Mili
Phir Bhi Pyaar Aapse Hi Karat Hai Dil
Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangi Mili
O Ho Hosh Aap Ko Mila Mujhe To Bekhudi Mili
Phir Bhi Pyaar Aapse Hi Karat Hai Dil
Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangi Mili

Manao To Ise Main Kaise Yeh Dil Deewana Hai Na Mane
Batao To Main Kaise Yeh Ishq Kya Hai Yeh Na Jane
Shedayi Main Tera Hua Tujhko Nahi Hai Yeh Pata
Jaam Aapko Mila Mujhe To Berukhi Mili
O Ho Hosh Aap Ko Mila Mujhe To Bekhudi Mili
Phir Bhi Pyaar Aapse Hi Karat Hai Dil
Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangi Mili

Koi Kisi Pe Jaan De De Koi Kare Hai Bewafai
Yeh Faaslo Ka Dard Kya Hai Yeh Jaanti Hai Bas Judai
Tujhse Mili Jabse Nazar Deewani Main Ho Gayi
Neend Aap Ko Mili Mujhe To Bebasi Mili
Ha Ha Ha Hosh Aap Ko Mila Mujhe To Bekhudi Mili
Phir Bhi Pyaar Aapse Hi Karat Hai Dil
Chain Aap Ko Mila Mujhe Deewangi Mili
Ha Ha Ha Hosh Aap Ko Mila Mujhe To Bekhudi Mili

Friday 19 October 2012

Baahon Ke Darmiyaan!

This one is a rare one from the movie 'Khamoshi - The Musical'.

Music Director: Jatin-Lalit
Singers: Hariharan, Alka Yagnik

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand
Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Surmayee Ankhiyon Mein!

A beautiful lori from the movie 'Sadma'.

Music Director: Ilayaraja
Singer: Yesudas

Surmayee Ankhiyon mein
Nanha Munna Ek Sapana De Jaa Re
Nindiya Ke Udate Paakhi Re
Ankhiyon Maon Aaja Saathi Re

Raa Rii Raa Ram O Raaree Ram

Sachcha Koi Sapanaa Dejaa
Mujhako Koi Apanaa Dejaa
Anajaana Sa, Magar Kuchh Pehchaana Sa
Halka Phulka Shabanami
Resham Se Bhi Reshmi

Surmayee Ankhiyon mein
Nanha Munna Ek Sapana De Jaa Re
Nindiya Ke Udate Paakhi Re
Ankhiyon Maon Aaja Saathi Re

Raa Rii Raa Ram O Raaree Ram

Raat Ke Rath Par Jaane Vaale
Neend Ka Ras Barsaane Vaale
Itana Kar De Ki Meri Aankhen Bhar De
Ankhon mein Basthaa Rahe, Sapana Ye Hasthaa Rahe

Surmayee Ankhiyon mein
Nanha Munna Ek Sapana De Jaa Re
Nindiya Ke Udate Paakhi Re
Ankhiyon Mein Aaja Saathi Re

Thursday 18 October 2012

Jab Tak Hai Jaan Dialogue!

A must read from the latest movie 'Jab Tak Hai Jaan' by 'Aditya Chopra'. A ultimate romantic dialogue or u can say a poem!

Teri aankhon ki namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wednesday 17 October 2012

Main Aashiq Hoon Bahaaron Ka!

A bubble and a naughty number from the movie 'Aashiq(1962)'.

Music Director:Shankar Jaikishan
Singer: Mukesh
Lyricist: Shaharyar

Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron ka - 2
Main mastaana musaafir hoon
Jawan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon bahaaron ka

Sadiyon se jag mein aata raha main
Naye rang jeewan me laata raha main
Har ek des me nit naye bhesh me
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron ka
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon bahaaron ka

Kabhi maine hanske deepak jalaaye
Kabhi banke baadal aansoo bahaaye
Mere rastaa pyaar ka raasta
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron ka
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon bahaaron ka

Chala gar safar ko koi besahaara
To main ho liya sang liye ektaara
Gaata hua kuchh bhulaata hua
Main aashiq hoon bahaaron ka
Nazaaron ka fizaaon ka ishaaron ka
Main mastaana musaafir hoon
Jawaan dharti ke anjaane kinaaron ka
Main aashiq hoon bahaaron ka

Tumse Door Rehke!

Truely romantic number from the movie 'Adalat'.

Singers: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Gulshan Bawra
Music Director: Kalyan Ji Anand Ji

MALE:
Oh tumse door rehke
Oh tumse door rehke humne jaana pyaar kya hai
Dil ne mana yaar kya hai

FEMALE:
Oh tumse door rehke
Oh tumse door rehke humne jaana pyaar kya hai
Dil ne mana yaar kya hai, oh oh

BOTH:
Oh tumse door rehke

MALE:
Tumko paake na pehlu main lagta tha yun
Jeete hain kis liye aur zinda hai kyoon

FEMALE:
Hum bhi rehte the bechain se har ghadi
Bin tumhare to veeraan thi zindagi - 2

MALE:
Oh tumse door rehke

BOTH:
Oh tumse door rehke

MALE:
Dooriyaan kis liye mil gaye hain jo hum
Ab to hone do armaan poore sanam

FEMALE:
Waqt aane se mit jaayengi dooriyaan
Jab na hongi zamaane se majbooriyaan - 2

Kahan Tak Yeh Man Ko Andhere Chhalenge!

This song is very touching and motivating. Really an awesome one from the movie 'Baton Baton Mein".

Music Director: Rajesh Roshan
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Yogesh

Kahan tak yeh man ko andhere chhalenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kabhi sukh kabhi dukh yahi zindagi hai
Yeh patjhad ka mausam ghadi do ghadi hai - 2

Naye phool kal phir dagar me khilenge
Udasi bahre din kabhi to dhalenge

Bhale tez kitna hawa ka ho jhonka
Magar apne mann mein tu rakh yeh bharosa - 2

Jo bichhde safar mein tujhe phir milenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kahe koyi kuchh bhi magar sach yahi hai
Lehar pyar ki jo kahin uth rahi hain - 2

Use ek din to kinare milenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge

Kahan tak yeh man ko andhere chhalenge
Udasi bhare din kabhi to dhalenge..

Mere Dil Ne Tadap Ke!

An oldie goldie from the movie 'Anurodh'.

Music Director: Lakshmikant Pyarelal
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Anand Bakshi

Aaja ho aaja - 4
Ke
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara -2
Kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon,
Tere intzaar ki main duniya sajaye baitha
Tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon,
Tere intzaar ki main duniya sajaye baitha.
Dekhe teri nazron ko bhaye na bhaye ye nazara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha,
Soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
Tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha,
Soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
Jane kya hoga jab hoga ye milan hamara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2

Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon,
Tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon,
Tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
Aisa na ho tu ye dil tode zamana hanse sara
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2
Kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
Mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara - 2
Aaja ho aaja, Aaja ho aaja

Tuesday 16 October 2012

Do Deewane Shehar Mein!

A romantic and a very melodious one from the movie 'Gharonda'!

Music Director: Bhupinder
Singers: Runa Laila, Bhupinder
Lyricist: Gulzar

Do diwaane shehar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aabodana dhoondhate hain,
Ek aashiyana dhoondhate hain

In bhool bhulaiya galiyon mein
Apanaa bhi koyi ek ghar hoga
Ambar pe khulegi khidki,
Ya khidki pe khulaa ambar hoga
Aasmani rang ki aakhon mein,
Basne ka bahana dhoondhate hain

Jab taare jameen par jalte hain,
Aakaash zameen ho jaata hai,
Us raat nahin fir ghar jaata,
Wo chaand yahin so jaata hai
Pal bhar ke liye in aakhon mein,
Hum yek zamaana dhoondhate hain...

Monday 15 October 2012

Maine Poocha Chand Se!

A very sweet song from d movie 'Abdullah'!

Music Director: R D Burman
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Anand Bakshi

Maine poochha chand se ke dekha hai kahin mere yaar sa hasin,
Chand ne kaha, chandni ki kasam, nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se...

Maine yeh hijaab tera dhoondha, har jagah shabab tera dhoondha,
Kaliyon se misaal teri poochhi, phulon mein jawab tera dhoondha,

Maine poochha bag se, falak ho ya zameen, aisa phool hai kahin
Bag ne kaha har kali ki kasam nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se........

Ho, chaal hai ke mauj ki rawani, zulf hai ke rat ki kahani,
Honth hain ke aaine kawal ke, aankh hai ke maikado ki rani,

Maine poochha jaam se, falak ho ya zameen, aisi mae bhi hai kahin
Jaam ne kaha maekashi ki kasam nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se........

Khubsoorati jo tune payi, lut gayi khuda ki bas khudayi,
Mir ke gazal kahoon tujhe main, ya kahu khaiyyam ki rubayi,

Mai jo puchhoon shayaron se, aisa dil nashi koyi sher hai kahin,
Shayar kahe shayari ki kasam, nahi nahi nahi,
Maine poochha chand se...

Saturday 13 October 2012

Aaoge Jab Tum O Saajana!

A song worth listening repeat all with only single song in the playlist! :) A very nice song from the movie 'Jab We Met'!

Music Director: Pritam Chakraborty, Sandesh Shandilya
Singer: Ustad Rashid Khan
Lyricist: Sameer

Aaoge Jab Tum O Saajana - 2
Angana Phool Khilenge
Barsega Saawan, Barsega Saawan Jhoom Jhoomke
Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum O Saajana, Angana Phool Khilenge

Naina Tere Kajrare Hain, Naino Pe Hum Dil Haare Hain
Anjaane Hi Tere Naino Ne Waade Kiye Kayi Saare Hain
Saanson Ki Lay Madham Chalein, Kose Kahe
(Barasega Saawan - 2)
Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum Ho Saajana, Angana Phool Khilenge

Chanda Ko Taaku Raaton Mein, Hai Zindagi Tere Haanthon Mein
Palkon Pe Jhilmil Taarein Hain, Aana Bhari Barsaaton Mein
Sapnon Ka Jahaan, Hoga Kela Kela
(Barasega Saawan - 2)
Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge

Angana Phool Khilenge - 2

Wednesday 10 October 2012

Jaane Woh Kaise Log The!

A very old but a golden song from the movie 'Pyaasa'.

Music Director: S D Burman
Singer: Hemant Kumar
Lyricist: Sahir Ludhianvi

Jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar mila
Humne to jab kaliyan mangi katon ka haar mila...

Bichhad gaya har sathi dekar pal do pal kaa sath,
Kisko phursat hai jo thame deewane ka haath,
Humko apna saya tak aksar bezaar mila...
Humne to jab...

Isko hi jeena kehte hain to yun hi jee lenge,
Uff na karenge, lab see lenge aansu pee lenge,
Gham se ab ghabrana kaisa gham sau bar mila,
Humne to jab...

Thursday 4 October 2012

Aashayein!

Another very motivational song from the movie 'Iqbal'. Enjoy!

Music Director: Salim-Sulaiman
Singers: KK, Salim Merchant | Chorus : Dominique & Clinton
Lyricist: Irfan Siddique

Aashayein ...
Aashayein ...
Kutch Paane Ki Ho Aas Aas
Kutch Armaan Ho Jo Khaas Khaas
Aashayein ...
Har Koshish Mein Ho Vaar Vaar
Kare Dariyaon Ko Aar Paar
Aashayein ...
Toofano Ko Cheer Ke
Manzilo Ko Chheen Le
(Aashayein Khile Dil Ki
Ummeedein Hanse Dil Ki
Ab Mushkil Nahi Kutch Bhi
Nahi Kutch Bhi) - 2

O Ho O...

Udd Jaaye Leke Khushi
Apne Sang Tujhko Wahan
Jannat Se Mulakat Ho
Poori Ho Teri Har Dua
(Aashayein Khile Dil Ki
Ummeedein Hase Dil Ki
Ab Mushkil Nahi Kutch Bhi
Nahi Kutch Bhi) - 2

Aashayein ...
Guzre Aaisi Har Raat Raat
Ho Khwaahishon Se Baat Baat
Aashayein ...
Lekar Suraj Se Aag Aag
Gaaye Ja Apne Raag Raag
Aashayein ...
Kutch Aaisa Karke Dikha
Khud Khush Ho Jaaye Khuda
(Aashayein Khile Dil Ki
Ummeedein Hase Dil Ki
Ab Mushkil Nahi Kutch Bhi
Nahi Kutch Bhi) - 2

Tuesday 2 October 2012

Ye Zameen Ga Rahi Hai

Another peppy number from the movie 'Teri Kasam'(1982).

Music Director: R D Burman
Singer: Amit Kumar
Lyricist:

Yeh zameen ga rahi Hain, asmaan ga raha Hai
Sath Mere Ye sara, Jahaan ga raha Hai

Shaukh Kaliyon Ke Ghoonghat Sarakane Lage Hain
Mast Foolon Ke Dil Bhi Dhadakane Lage Hai
Ye Bahaaron Kaa Dilkash Samaa ga raha Hai

Jhoomakar Parabaton Pe Ghataa Chhaa rahi Hai
Pyaar Ki Umar Shaayad Kareeb Aa rahi Hai
Mera Dil Pyaar Ki Ye Daastaan ga raha Hai

Bhool Kar Raah Koyi Haseen Aa Naa Jaaye
Is Jagah Koyi Parada nasheen Aa Naa Jaaye
Is Jagah Aaj Yek Naujawan ga raha Hai...
Sath Mere Ye Sara Jahan Ga Raha Hai...

Koi Roko Na Deewane Ko!

An old song from the movie 'Priyatama'. A peppy number with beatiful beats.

Music Director: Rajesh Roshan
Singer: Kishore Kumar
Lyricist:

Koi Roko Na Deewane Ko
Mann Machal Raha Kuch Gaane Ko
Koi Roko Na Deewane Ko
Mann Machal Raha Kuch Gaane Ko
Koi Roko Na

Yeh Bheega Bheega Mausam
Yeh Bheegi Bheegi Raahen
Chale Do Hum Raahi
Baahon Mein Daale Baahen
Ho Phoolon Ne Khilke Kaha Yeh Dil Se
Hai Din Suhana Mausam Salona
Daman Se Baandh Lo Pyara Sama
Koi Roko Na Deewane Ko
Ki Mann Machal Raha Kuch Gaane Ko
Koi Roko Na

Umar Ke Safar Mein
Jise Jo Yahan Bhaaye
Usi Ke Sapnon Mein
Yeh Mann Rang Jaaye
Ho Rangon Mein Bheeg Ke Range Rangeela
Gaale Tarana Jo Yeh Raseela
Albela Geet Woh Bhoole Kahan
Koi Roko Na Deewane Ko
Hey Mann Machal Raha Kuch Gaane Ko
Koi Roko Na Deewane Ko
Mann Machal Raha Kuch Gaane Ko
Koi Roko Na

Monday 1 October 2012

Breathless!

A breathless song from the Album 'Breathless'(1998). Nice One!

Music Director: Shankar Mahadevan
Singer: Shankar Mahadevan
Lyricist: Javed Akhtar

Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha jaise,
Meri saari dumiya mein,
Geeton ki rut aur,
Rangon ki barkha hain,
Khushboo ki aandhi hain,
Behki hui si ab saari fizaayein hain,
Mehki hui si ab saari havaayein hain,,
Khoyi hui si ab saari dishaayein hain
Badli hui si ab saari adaayein hain
Jaagi umange hain dhadak raha hain dil,
Saanson me toofan hain, hothon pe nagme hain,
Aankhon me sapne hain,
Sapno mein beete huye saare woh lamhe hain,
Jab koi aaya tha,
Nazro pe chaaya tha,
Dil me samaya tha,
Kaise mai bataun tumhe,
Kaise use paaya tha,
Pyaare se chehre pe,
Bikhri jo zulfein to aisa lagta tha jaise
Kohre ke peeche ek os me dhula hua,
Phool khila hain jaise,
Baadal me ek chaand chupa hain,
Aur jhaank raha hain jaise,
Raat ke parde mein,
Ek savera hain roshan roshan,
Aankhon me sapno ka saagar jisme,
Prem sitaaron ki chaadar jaise jhalak rahi hain,
Lahro lahro baat kare to jaise moti barse,
Jaise kahi chaand ki paayal goonje,
Jaise kahi sheeshe ke jaam gire aur chann se tootey,
Jaise koi chip ke sitaar bajaye,
Jaise koi chaandani raat me gaaye,
Jaise koi haule se paas bulaye,
Kaisi meethi baate thi wo,
Kaisi mulakate thi woh,
Jab maine jaana tha,
Nazro se kaise pighalte hain dil aur,
Aarzoo paati hain kaise manzil,
Aur kaise utarta hain chaand zameen par,
Kaise kabhi lagta hain swarg agar hain to,
Bas hain yahi par,
Usne banaya mujhe,
Aur samjhaya mujhe,
Hum jo mile hain humein,
Aise hi milna tha,
Gul jo khile hain unhe,
Aise hi khilna tha,
Janmo ke bandhan,
Janmo ke rishtey hain,
Jab bhi hum janme to,
Hum yuhi milte hain,
Kaano me mere jaise shahad sa ghulne lage,
Khwaabo ke dar jaise aankhon me khilne lage,
Khwaabo ki duniya bhi kitni hasi aur kaisi rangee thi,
Khwaabo ki duniya jo kehne ko thi par kahi bhi ni thi,
Khwaab jo toote mere,
Aankh jo khuli meri,
Hosh jo aaya mujhe,
Maine dekha maine jaana,
Wo jo kabhi aaya tha,
Nazro pe chaaya tha,
Dil me samaya tha,
Jaa bhi chuka hain aur,
Dil mera hain ab tanha tanha,
Na to koi armaa hain na koi tamanna hain,
Aur na koi sapna hain,
Ab jo mere din aur ab jo meri raate hain,
Unme sirf aansoo hain,
Unme sirf dard ki ranjh ki baate hain aur faryaade hain,
Mera ab koi nahi,
Main hu aur khoye huye,
Pyaar ki yaadein hain-3